Sher-e-nawaaz |
|
|
|
|
Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai
Dharti so rahi hai,Aasman so raha hai ama yeh sab kya ho raha hai? ****** Yeh tera chehra hai yaa kele kaa chhilka Jo dekha to dil phisal gaya. **** Mat pee sharab galib masjid mein baith kar Ek hi botal hai, kahin khuda na mang le ***** Maine tumhare yaadon mein ro ro ke tub bhar diya Magar tum itney be-wafa nikle ki nahake chal diye **** Aasmaan mein ud raha hai kabootar Aasmaan mein ud raha hai kabootar Flutter Flutter, Flutter Flutter ***** Tu hai haseen, main hun jawaan Main hu yahan, tu hai wahan Tujhe dekhte hi dil ne kaha Lifebouy hai jahan, tandurusti hai wahan ****** kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai .. ke kyon kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai?? **** aapne mere man se khela aapne mere tan se khela aapne mere dhan se khela well played! well played! well played!! ***** Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai Dharti so rahi hai,Aasman so raha hai Nonsense! yeh sab kya ho raha hai? ******* Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita Tan ki shakti, manki shakti, Bournvita ****** Jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu... magar teri bahti hui naak ne iraada badal diya.... ****** Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain...... JAISE KAL CHAMAK RAHE THE !!! ***** Tumko dekha to yeh khayaal aaya Ke kal raat maine itna kyon khaya. ****** Jo pyaali mein mazaa woh Thaali mein kahan Jo saali se mazaa gharwaali se kahan. ****** Khud ko kar buland itnaa.. Ke' Himaalay ki choti pe jaa pahunche.. aur khuda tumse puche.. 'Abe gadhe... ab utrega kaise ' ******* Door se dekha to kuchh dikha nahi... Dooor se dekhaaa... to kuchh dikha nahi... Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi ******* Door se dekha to Patthhar dikhta tha... Dooor se dekha... to Patthharr dikhtaa thaa... Paas jake dekha to... suchmuch Patthhar hi thaa. ****** Door se dekha to paani baras raha tha Door se dekha to paani baras raha tha Paas gaya... to bheeg gaya. ***** Tu hai Haseen, Main hu Jawaa Main hu yahan, tu hai wahan Tujhe Dekh ke he Dil Nai Kaha Lifebouy hai jahan, tandurusti hai wahan ******* Maine tumse pyar kiya, tere baap ne mujhe pita Maine tumse pyar kiya, tere baap ne mujhe pita Sin (Teta) / Cos(Teta) =Tan(Teta) ***** BEFORE MARRIAGE takdir hai magar kismat nahi khulti tajmahal banana chahata hoon lekin mumtaz nahi milti AN ODE TO ALL THE DEVDAS takdir hai magar kismat nahi khulti tajmahal banana chahata hoon, aji, mumtaz mil gayi hai magar woh shaadi nahi karti AFTER MARRIAGE takdir hai magar kismat nahi khulti tajmahal banana chahata hoon lekin mumtaz nahi marti! |
|
|
|
|
|