Majaz Dehlavi
Sabka mudawa kar daala, apna hi mudawa kar na sakay
Sabkey to gireybaan see daaley, apna hi gireybaan bhool gaye
Ay gham-e-dil kya karoon
Taskeen-e-dil mehzu na huee
Ab mere paas tum aaye ho to
Aaj ki raat
Shehr ki raat aur main, naashad-o-naakaara- phirun
Jagmagati, jaagtee, sadkon pey aawaraan phirun,
Ay gham-e-dil kya karoon, ay vehshatey dil kya karoon
Yeh rupehli chaaon, yeh aakash par taaron ka jaal
Jaise sufi ka tassavur, jaise aashik ka khayal
Aah lekin, kon samjhey, kaun jaaney jee ka haal
Ay gham-e-dil kya karoon, ay vehshatey dil kya karoon
Raastey main ruk key dam loon, yeh meri aadat nahin,
Laut kar wapis chala jaoon, yeh meri fitrat nahin
Aur koyi humnawan mil jaaye yeh kismat nahin
Ay gham-e-dil kya karoon, ay vehshatey dil kya karoon
Har taraf rangeeniyan, ranaeeyan
Har taraf ishratain leytee huee angdaeeyan
Meri taraf magar badee aatee hain ruswaiyaan
Ay gham-e-dil kya karoon, ay vehshatey dil kya karoon
Mahal ki aad se woh nikla peela mahtaab
Jaise mullah ka amaaman, jaise baniye ki kitab
Jaise muflis ki jawani, jaise bewa ka shabaab
Ay gham-e-dil kya karoon, ay vehshatey dil kya karoon
Jee main aata hai key zinda chaand taarey tod loon
Is kinaarey tod loon, us kinarey tod loon
Aik do ka zikr kya, saarey ke saarey tod loon
Ay gham-e-dil kya karoon, ay vehshatey dil kya karoon
Taskeen-e-dil-e-mehzu na huee, woh saiye karam farmaa bhi gaye
Is saiye karam ka kya kahiye, behla bhi gaye tadpa bhi gaye
Roodad-e-ghamey-ulfat unsey, kya kahiye kyonkar kahiyeh
Ek harf na nikla honthon sey, aur aankh main aansoo aa bhi gaye
Is mehfil-e-kaif-o-masti main, is anjuman-e-irfaani main
Sab jaam pakad kar baithey the, hum pee bhi gaye, chalka bhi gaye