Path: Lehigh.EDU!Lehigh.EDU!sm0e
From: sm0e@Lehigh.EDU (SAMIUDDIN MOHAMMED)
Newsgroups: rec.music.indian.misc
Subject: Gulzar becomes Ludhianwi !! :-)
Date: 17 Jul 1995 20:34:40 GMT
Organization: Lehigh University
Lines: 141
Distribution: world
Message-ID: <3uehh0$17lj@fidoii.cc.lehigh.edu>
NNTP-Posting-Host: ihb103h.cc.lehigh.edu
Keywords: Humour, Sahir, Gulzar
DISCLAIMER: This article is NOT to be taken seriously. I have deep regard for
both Sahir and Gulzar and this is not meant to belittle Gulzar in any way. I'm
sure if Gulzar were to read this himself, he'd chuckle rather than get enraged
:-)
ACKNOWLEDGMENT: I'd like to thank Preetham whose hilarious comment (via e-mail
reg. Sahir/Gulzar) gave rise to the idea behind this post.
**** Gulzar becomes Ludhianwi !! ****
Sahir and Gulzar: Each one a great lyricist in his own right. Yet, both have
distinct styles of their own. While Sahir often expressed deep ideas in simple
terms, Gulzar was an expert at weaving a complex picture in a beautiful
manner.
I have a few problems with Gulzar's style. First, he tends to use non-poetic
terms such as "bartan" etc. in his lyrics. Second, he tends to make things
more complex than necessary. And third, simple ideas are often made to sound
profound using self-contradicting lines. These minor complaints have been
blown out of proportions in an attempt at humour in the following passages.
There are major exaggerations :-) Those who can't tolerate them, please quit
now!
THE SCENE: Sahir's work has been banned by the Govt. of India due to some
political reasons. HMV has approached Gulzar to rewrite some of Sahir's famous
songs. Here's the most probable output :-)
[Knowledge of both Sahir and Gulzar's famous songs is assumed in the foll.
discussion]
PART I: Gulzar's extraordinary vocabulary! (Words such as bartan, chappal, taxi,
bus, train, etc :-) )
S. Sahir
G. Gulzar
1S. Haseen champaee pairon ko jabse dekha hai
Nadi ki mast sadaen bula rahi hain tumhe
1G. Haseen champaee pairon ko jabse dekha hai
Bata ki Hawaai chappal bula rahi hai tumhe
2S. Dil ki bechaen umangon pe karam farmaao
Itna ruk ruk ke chalogi to quayaamat hogi
2G. Tum aaoge to noor aa jaega
Itna ruk ruk ke chalogi to local train chooT jaegi
4S. Aap jo phool bichae unhe hum THukraaen
Humko Dar hai ke ye tauheen-e-mohabbat hogi
4G. Tumne to aakaash bichaaya
Mere nange paaon me zamin ki gard hai
Mohabbat maili ho jaegi
5S. Pyaar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi
Tu bataade main tujhe pyaar karun ya na karun
5G. In pyaar ki lambi sadkon par, public bus to chalti nahin phir bhi
Jo ghoomti phirti rehti hain, main woh taxi hire karun ya na karun
PART II: The complex Gulzar. Simple things expressed in an unnecessarily
complex manner. "Ghoomake dena" :-)
6S. Lo aaj humne toR diya rishta-e-ummeed
Lo ab gila karenge na kisi se hum
6G. Neele aakaash ke ghoonsle par jo ummeed ke boodhe baba thhe unhe humne
alvida keh diya
Duniya ke samandar ko gile-shikwon ki boondh se na chheRenge hum
7S. Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai
7G. Sust raste aur tez quadam raahen tumhe meri yaad nahin dilaae to kya
Pathhar ki haweli se sheeshe ke gharondon tak meri rooh tumhaare ehsaas ko
mehsoos karegi
8S. GHam aur KHushi me farq na mehsoos ho jahan
Main dil ko us muquaam pe laata chala gaya
8G. GHam ka kinara jahan KHushi ke kinare se bachkar kinare se milta hai
Usi kinare par maine apne dil ke kinare ko kinare laga diya
9S. Tum agar mujhko na chaaho to koi baat nahin
Tum kisi aur ko chahogi to mushkil hogi
9G. Tere bina zindagi se koi shikwa to nahin lekin
Barfili sardion me kisi bhi pahaad par
Bhool bhulayyan galion me kisi ajnabi ke saath
Tumhe uRte hue dekhunga to mushkil hogi
10S. M: Hum aapko KHwaabon me la la ke sataenge
F: Hum aapki aankhon se neenden hi uRaden to ?
10G. M: Hum aapko KHwaabon me la la ke sataenge
F: Aankhon me neend na hogi, aansu hi tairte honge
Aansu ke samandar me neend ki naaov (boat) nahin aa paaegi
PART III: The ultra-complex Gulzar. Jab kuchh samajhme na aae, then use
contradictory lines to make things look profound :-)
11S. Hum intezaar karenge tera quayamat tak
KHuda kare ke quayamat ho aur tu aae
11G. Koi waada nahin kiya lekin, kyun tera intezaar rehta hai
Tere aa jaane ke baad bhi, hume tera intezaar rehta hai
12S. Main pal do pal ka shaer hun
Pal do pal meri kahani hai
Pal do pal meri hasti hai
Pal do pal meri jawani hai
13G. Main pal do pal ka shaer hun
Woh pal, jo aanewaala thha, lekin jaanewaala bhi hai
Jab main isme zindagi bitane ki sonchta hun
To duniya mujhpe hansti hai
Sami Mohammed (A Naushad fan)... who likes quite a few Gulzar songs.
*******************************************************************************
Lines for the day:
UTHaae phirte thhe ehsaan dil ka seene par
Le tere quadmon me, ye quarz bhi utaar chale
Gulzar in "Ruke ruke se quadam, ruk ke baar baar chale..."
*******************************************************************************