Meri chand ghazleiN
  (metered and some unmetered)

saath beete hue din raat bahut yaad aaye
hijr meN vasl ke lamhaat bahut yaad aaye

bhoolna chaheiN to har baat bhuladeiN laikin
yaad aaye hai to har baat bahut yaad aaye

dil meN jaage the tujhe dekh ke jo pahlii baar
vo machalte huve jazbaat bahut yaad aaye

tum ko ab yaad rahii ho ki nahiiN, kyaa maaluum!
mujh ko to pahlii mulaaqaat bahut yaad aaye

jab bhi shahnaayi ki awaaz suni maiN ne
apne meNhdii se rache haath bahut yaad aaye

jin meN ham un se hameshaa ko judaa ho baiThe
phir 'shumaila' wahi halaat bahut yaad aaye

 
shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii
kisii ke khayaaloN meiN,khwaaboN meiN guzrii

kabhii manzil-e-ishq paanaa thaa aasaaN
magar justujuu tab saraaboN meiN guzrii

baDii be mazaa vasl kii raat thi jo
musalsal sawaaloN jawaaboN meiN guzrii

kahin ho na jaaye miraa ghar bhi raushan
isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii

kabhii sher ban ke ,kabhii ban ke naGhmaa
miree khasta haalii naqaaboN meiN guzrii

shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii

miree aah-o-zaarii nashaa ban ke aksar
sar-e-bazm-e-rindaaN sharaaboN meiN guzrii

woh kya jaane pur khaar rastoN ki shiddat
guzar gaah jiskii GhulaaboN meiN guzrii

naseehat hameiN kar rahaa hai woh naaSeH
sadaa umr jiskii KharaaboN meiN guzrii

agar hauslaa hai to ban ke dikhaa de
Woh LAILAA kabhi jo nisaaboN meiN guzrii!!!

 

 
maiN ne kabhee jo dekhe haiN sapne bahaar ke
manzar nazar meN ghoom gaye Khaar-zaar ke

kyuN tum ho intizaar meiN yuN Gham Gusaar ke?!
dekho kabhii KHUDAA ko bhi dil se pukaar ke

kitnii ujar gayi hoon maiN tere firaaq meiN
nazroN se dekh parda-e-nafrat utaar ke

aansoo bataa rahe haiN mujhe uske dil ka haal
'Woh jaa raha hai koi shab-e-Gham guzaar ke'

dil ke udaas panchi khabar de rahe haiN ye
mausam badal rahe haiN dil-e-khushgawaar ke

dete haiN bhook meiN mujhe raahat wahi samar
toRaa tha jinko maine kabhii sang maar ke

saaya shadeed dhoop meiN dete haiN woh mujhe
kyoNkar na hoN azeez shajar kuu-e-yaar ke

dil ko saraaye samjhaa thaa shayad :Shumaa'ilah:
aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke

 

 
sa'ate-e-vasl jagaane lagi armaaN kyaa kyaa
khwaab sajne lage yakdam sar-e-mizzghaaN kyaa kyaa

dekh kar teri wafaayeiN wo sar-e-bazm-e-aduu
dil ne phir yaad kiye waada-o-paimaaN kyaa kyaa

mujh ko buzdil na samajhnaa ke abhii dekhna tum
rang laayegii mirii quwwat-e-pinhaaN kyaa kyaa

dekheiN is baar du'aaoN meiN asar hai kitnaa
dekheiN barsaati hai woh raHmat-e-yazdaaN kyaa kyaa

mere naale,miri aaheiN ye bataa dengi tuMhe...
'gul khilaati hai naseem-e-Gham-e-pinhaaN kyaa kyaa'

raah-e-ulfat meiN faqat tuu hi khasaare meiN nahin
aa kabhii dekh sahe maine hain nuqsaaN kyaa kyaa

ye nazaare,ye manaazir kareiN shikwah mujh se
DhooNdte hain ye tire deeda-e-HairaaN kyaa kyaa??

dekhnaa tum miri bastii se guzar ke jaanaaN!
meri shoreeda saree ko mile unwaaN kyaa kyaa

zehn khaamosh,zubaaN chup,dil-e-khaanaa sunsaaN
Haaye! Jaate hue woh kar gaya veeraaN kyaa kyaa

roz-o-shab, shaam-o-seHar taj diye tere dar par
zindagii tujh pe karooN aur maiN qurbaaN kyaa kyaa?

 

 
mere apnoN ka mujhee se yuN khafaa ho jaanaa
aur kia hoga mire Haq meiN buraa ho jaana

kyaa yahii hota hai anjaam-e-wafaa ho jaanaa ?!
'rote rote gham-e-furqat meiN fanaa ho jaanaa' ?!

teri qasmoN,tire waadoN ka wafaa ho jaanaa
jaise ik khwaab ka aankhoN se rihaa ho jaanaa

is janam meiN na sahii duuje janam meiN milnaa
tum agar mere na ho paana,judaa ho jaanaa

yuN achaanak miri dunyaa meiN tiraa aa jaanaa
jaise maangaa huaa qismat se ataa ho jaanaa

ho na ho meri duaaoN ka asar hai jaanaaN
abr-e-shaadaaN ka tiree chath pe ghanaa ho jaanaa

Aye mire dushman-e-jaaN itna karam farmaanaa
jaate jaate dil-e-bismil ki dawaa ho jaanaa

baais-e-be kali ban jaaye na terii furqat
khwaab meiN hee sahi tuu jalwa numaa ho jaanaa

jab bhi niklooN maiN khule sar tiri yaadeN le ker
dhoop meiN Gham kii tuu khushyoN ki ridaa ho jaanaa

gar ye taqdeer nahii hai to bataa phir kyaa hai?
mere haathoN ki lakeeroN ka likhaa ho jaanaa

 

 
baat jo pehle mo'atabar na hui
aaj kaise woh be asar na hui

usko apnii har ik khushii de dii
zindagii phir bhi mukhtasar na hui

maine khud ko jalaa jalaa Daalaa
raushnee jab jahaaN jidhar na hui

woh miree dhaRkanoN meiN kab aaye
mere is dil ko bhii khabar na hui

aisi ujlat meiN zindagii guzrii
'do ghaRi chain se basar na hui'

jab se taareekiyoN ne aa ghaeraa
mere aanGan meiN phir sahar na hui

zeest ka meri ban gayaa hissa
justujuu jiski umr bhar na hui

aakhirii uski 'Call' thii shayad
phir kabhii baat bhool kar na hui

sunke uski wafaaoN ke charche
kaise keh doon ki chashm tar na hui

bhoolne kii 'Shumaa'ilah' usko
koi tadbeer kaargar na hui

 

 

Gham-e-hijr-e-yaar kab tak? rahooN be-qaraar kab tak?
mire dil! bataa yeh mujh ko, karooN us ko pyaar kab tak?

yeh hujoom-e-naa-muraadee, Gham-e-be-shumaar kab tak?
'tiree baat kaa bharosah, tiraa intizaar kab tak?!'

shab-e-hijr kee udaasee kaheeN mujh ko le nah Doobe!
miree dhaRkanoN peh ho gaa tiraa iKhtiyaar kab tak?

nah hee aaj kaa bharosah, nah hee kal kee haiN umeedeN
tiree reh-guZar takooN meN, shab-e-waSl-e-yaar! kab tak?

jahaaN dekhiYe andheraa! jahaaN sochiYe udaasee!
rah-e-zindagee meN yaa Rab! rahe gaa Ghubaar kab tak?

maiN nikal paRee thee tanhaa, liYe saare ranj dil par
magar phir Khayaal aayaa keh sahooN yeh baar kab tak?

miree aankheiN tak rahin hain tiri waapsi ki raahein
tu hi ab bataa de mujhko karun intizaar kab tak?!!

mujhe yooN to de gayaa hai woh dilaasah jaate jaate
magar ab yeh sochtee hooN, karooN e'tibaar kab tak?

bahut iltijaa ki us ne keh "Shumaa'ila! na jaao "
magar us kee be-dilee kaa bhalaa sehtee waar kab taK?

 
bahut lagta hai Dar tere jahaaN se
uThaa le Aye Khuda mujh ko yahaaN se

nikal kar gardish-e-wehm-o-gumaaN se
uTar aa tuu zameeN par aasmaaN se

chupaa rakhaa hai jo ahl-e-jahaaN se
kahiN zaahir na ho jaaye zubaaN se

dhu'aaN saa uTh rahaa hai aashiyaaN se
najaane kaun guzraa hai wahaaN se

wafaa hee uTh gayee jab darmiyaaN se
umeedeN kyaa rakh`ooN us mehrbaaN se?!

takabbur mein sabhi doobe hue hain
"nikal jaaye na kuch meri zubaaN se"

na de takleef khud ko tuu khudaaraa!
milega kuch nahi aah-o-fuGhaaN se

Rafeeqo! ab na khelo is qadar tum
miree barbaadiyoN kii daastaaN se!!!

mire haathoN hi ujRaa hai gulistaaN
mujhe shikwah naheeN kuch baaGhbaaN se!

chalee kyooN rooTh ke umr-e-guraizaaN?!
mirii to jung hai umr-e-rawaaN se!

 

 

ajab raat hai ye tilismaat kii
zameeN aasmaaN ne mulaqaat kii

sunaa raat jab hai inaayaat kii
sitaaroN ne shab bhar munaajaat kii

bhalaa baat kab thi ye ik raat kii
k har shab hi nainoN ne barsaat kii

zaraa intehaa dekh sadmaat kii
ke haalat bhi khastaa hai haalaat kii!

faqat baat kii thii musaawaat kii
havaa kyoN chalii ikhtilaafaat kii

nahii raas aati hai izzat jise
wahi baat kartaa hai auqaat kii

na ho shaad mujh ko yuN khush dekh kar
khushii to hai ye chand lamhaat kii

ishaaroN meiN jaane woh kyaa keh gaya
hui mujh pe baarish sawaalaat kii

jo qismat ne chheenaa miraa humsafar
miTaa diiN lakeereiN sabhii haath kii

ye sher-o-sukhan,ye mirii shaa'irii
sadaa-e-mohabbat hai har zaat kii!

 

jis ka Dar tha,wahi huaa aakhir
ho gaya unka saamnaa aakhir.

kar gayi kuch asar du'aa aakhir
'Haal-e-dil lab pe aagayaa aakhir'

dekh kar mujh ko ghamzadaa aakhir
tujh ko miltaa hai kyaa mazaa aakhir

mujh ko de de koi pataa aakhir
koii DhooNDe kahaaN wafaa aakhir?

kyoN sitam Dhaa rahaa hai tuu mujh par?
kyaa khataa hai miree,bataa aakhir?!

ho gayii teri aankh nam kyoNkar?
usne kyaa aisa likh diyaa aakhir?!

kitna bhii khud se jhooT bolo tum
sach bataa dega aa'inaa aakhir

kab talak zindagii kaTegi yuN hi?
jaane, kab aayegi qazaa aakhir?!

kis liye Aye 'shumaa'ilah' tum ho
is qadar zeest se khafaa aakhir?

 

1. qazaa aatee hai behad khaam'shii se
churaa le jaati hai woh zindagii se

2. koii hota nahiN mujrim khushii se
'khataa hoti hai Saahib aadmii se'

3. chaleiN jaayeiN na hum naaraazgii se
ab aise bhi na bolo berukhii se

4. achaanak ho chali raGhbat usii se
mujhe dekhaa tha jis ne saadgii se

5. kabhi jo guzre hain wo is galii se
chehek uTThe hain rasteiN bhi khushii se

6. zaraa tum jaa ke keh do raushnii se
mujhe to hai muhabbat teergii se

7. kabhii hoti hai aankhein nam khushii se
kabhii ro uThti hoon afsurdagii se

8. yahii seekhaa hai maine zindagii se
raqaabat tum nahi rakhnaa kisii se

9. milo sab se milo tum khushdilii se
magar tum door rehnaa dostii se

10. chupe rehte hain laakhoN Gham isii meiN
kabhi dhoka na khaana tum HaNsii se

11. abhi to ishq ka aaGhaaz hai jee!
abhi se Dar gaye tum aashiqii se?!

12. jakaR letaa hai hum ko ik fusooN meiN
woh ho ker lab.kushaa jaadoogarii se

13. hue hain aap jab se door humse
lagaa baiThe hain dil hum shaayrii se

14. laraz uThti hoon har aahaT pe maiN to
milaa hai Dar ye mujh ko aaghii se

15. ye kaisa shehr hai? yaaro!yahaan par
humeiN hotii hai wehshat aadmii se

16. saNbhal jaoo abhi se tum,Khudaara!
milegaa kuch nahii aawaargii se

 

 
phire haiN nange paaoN maare maare
'Hue masjid se gum joote hamaare'

sadaa qismat ke aaGe hum hain haare..
rahe gardish meiN har dam kyoN sitaare?!

kaho usse lage mat muuNh hamaare!
dikhaa denge use hum din meiN taare!

kahaaN jaake bhalaa hum muuNh chupaayeiN?!
paRe rehte hain peeche sab kuNwaare!

koii aisi jagah hum ko bataaoo
jahaaN ho khoobsurat sab nazaare!

bhari mehfil meiN woh aise ghire haiN
ki jaise chaand ko ghaere sitaare!

ajab woh shaks hai,hum kyaa bataayeiN
hai meeThee boli ,akhyoN meiN sharaare!

kisee soorat nahii sudhrenge woh to
koii kitnaa bhi unko ab sudhaare!

 

 
hunar aazmaane ke din aa rahe haiN
use ab bhulaane ke din aa rahe haiN

shamaa ko bujhaane ke din aa rahe haiN
ya khud ko jalaane ke din aa rahe haiN?


dukhoN ko ghaTaane ke din aa rahe haiN
khushii ko baRhaane ke din aa rahe haiN


guloN kii zubaanii sunaa kal ye maine
'chaman ko sajaane ke din aa rahe haiN '

 
GhamoN ko bhulaakar chalo muskuraayeiN
keh haNsne haNsaane ke din aa rahe haiN


mirii shaa'irii ko jilaa baksh do tum
Ghazal gungunaane ke din aa rahe haiN

 
huwe aaj jalwaa numaa is qadar kyoN?
tabaahii machaane ke din aa rahe haiN?


sunaa aa rahii hai wo barq-e-tajallii
nasheman bachaane ke din aa rahe haiN

 
miraa haath choRaa jo tum ne qasam se
lagaa daGmagaane ke din aa rahe haiN


dil-e-bekhabar ko khabar ye nahin hai
naye zakhm khaane ke din aa rahe haiN


kabhi toR laaoo sitaare falak se
keh aanchal sajaane ke din aa rahe haiN

 
phir usko rulaayaa bahut aaj maine
phir usko manaane ke din aa rahe haiN


woh shabnam jo gir ke tire lab pe Thehrii
wo shabnam churaane ke din aa rahe haiN


aseeroN ko zulfoN se aazaad kar do
rihaayii manaane ke din aa rahe haiN

 
bahut sun liye Heer Raanjhe ke qisse
kuch apnii sunaane ke din aa rahe haiN


ikhaTTa karo kiRchiyaaN khwaab kii tum
keh sapne sajaane ke din aa rahe haiN

 
khule aam hai qatl-o-Ghaarat ka manzar
ye kaise zamaane ke din aa rahe haiN?


agar ho sake to ise aaj see lo
girebaaN dikhaane ke din aa rahe haiN


muqaddar ne diN haiN baDii mujh ko maateiN
ab isko haraane ke din aa rahe haiN

 
nayii soch ke deep aaoo jalaayeiN
puraane bujhaane ke din aa rahe haiN

 

dheere dheere nazar se giraane lage
'Aap bhi mujh pe tohmat lagaane lage'

kaun si baat hai jo chupaane lage?
aap kyoN hum se nazreiN churaane lage?!

is tarah woh humeiN to jalaane lage
Ghair ki bazm meiN aane jaane lage!

jab se khaaboN meiN hum ghar basaane lage
log aa aa ke hum ko jagaane lage!

zindagii meiN ajab daur aane lage
hum raqeeboN se milne milaane lage!

haath mere,ye kaise khazaane lage?!
log kyoN cheena jhapTi machaane lage?!

jab se karne lage unki taareef hum
nit naye pairahan mein woh aane lage

aap ke aane se gham ke baadal chaTe
chaand,taare sabhii muskuraane lage!

hum ne ye kab kahaa deejiye hum ko jaaN?!
khwaamakhwaah aap baateiN banaane lage!

jab bhi chaahaa ke unse kaheiN haal-e-dil
muuh phiraa ke woh mehfil se jaane lage!

aalam-e-yaas ne jab bhi gheraa humeiN
aas ki jyot hum to jalaane lage!

 

 

mehrbaaN dushmanii na ho jaaye
yak-ba-yak dostii na ho jaaye!

itna khul ke milaa na kar sab se
raaz ifshaa koii na ho jaaye!

Koi sunta nahiN kisi ki yahaaN
Her taraf khaamushi na ho jaaye !

dil-e-muztar ki daastaaN sun kar
kahiN tuu bhii dukhii na ho jaaye!

kyuN chupaate ho apne chehre ko
chaar su teergii na ho jaaye!

shab-e-vaslat ka yeh haseeN manzar
Saa'at-e-aakhrii na ho jaaye!

har ghaRii Dar yahii sataata hai
har khushii aarzii na ho jaaye

mujh ko Dar hai tumhaari chaahat meiN
dheere dheere kamii na ho jaaye

baDe gusse meiN woh to aaye haiN
aaj aafat khaRee na ho jaaye

dil-e-naazuk lo aaj phir TooTaa
kahiN phir shaa'irii na ho jaaye!

Aye miree JAAN! teri furqat meiN
mukhtasar zindagii na ho jaaye

ye raqaabat "Shumaailah" phir se
baa'is-e-be-kalii na ho jaaye!

 

 

INKAAR meiN CHUPAA hua IQRAAR dekhiye!
CHEHRE pe GUSSA,DIL mein hai jo PYAAR dekhiye!

kin uljhanoN meiN DIL hai giraaftaar,dekhiye!
Humne to rakh diyaa sar-e-bazaar! dekhiye!

ik baar hii sahii,kabhi sarkaar dekhiye!
jazbaat se bhare mire aa'shaar dekhiye!

Waadaa kiyaa hai aane ka!,is baar dekhiye..
'Chaltaa hai yaar kaunsi raftaar dekhiye!'

hargiz nahii gawaara judaaii ka ik bhi lamha
kambhakt dil! ho jaayega beemaar dekhiye!

khanjar nahii hai haath meiN,talwaar bhii nahi
NAZRON se karta qatl hai dildaar,dekhiye!

maasoomiyat jhalakti hai baatoN se uski kitni
kartaa hai kis adaa se WO guftaar dekhiye!

KhushyaaN haiN us taraf,dil-e-naashaad is taraf
kaisii khaRii hai beech meiN deewaar dekhiye?!!

"aayegi TERE ghar meiN BHI bauchaar kaif ki!"
detaa hai YUN tasalli miraa yaar dekhiye!

aa jaaiye kahiN se ke bin aap ke huaa
jeenaa 'SHUMAA'ILAA' ka to dushwaar dekhiye!!

 

bach ke sabhi ki nazroN se aa kar churaa mujhe
chupke se apne khaana-e-dil mein chhupaa mujhe

ghaflat meiN hoon agar kabhi,aa kar jagaa mujhe
dunyaa ki rasm-o-raah se kar aashnaa mujhe

aksar ye sochti hoon k kyaa ho gayaa mujhe
jo ho sake kabhi to dikhaa aa'inaa mujhe

madhosh kar gayi tiri kaafir adaa mujhe
baiThe biThaaye bin piye aaya nashaa mujhe

maiN hoon agar abas sa diyaa to bujhaa mujhe
warnaa baDe qareene se dar pe jalaa mujhe

ab tuu na de Khudaa ke liye aasraa mujhe
tay karna hai akele hi ye faaslaa mujhe

jisko bhi dekhiye vo kahe hai buraa mujhe
ab tak na ik bhi chaahne waala milaa mujhe

kin ghaltiyon ki mil rahi hai ab sazaa mujhe?
har pal kyoN de rahe haiN sabhee bad du'aa mujhe?!

pehle to karti hai khafa mujhko ye zindagii
phir muuNh phiraa kahe hai,ab tuu manaa mujhe!

soorat ke saath saath ye seerat badal gayi
shohrat ka kyaa asar hai pataa ab chalaa mujhe!

laaoN kahaaN se ab maiN wo pehlaa sa hauslaa
tuu ne to kar diyaa hai mujhee se judaa mujhe

bhaaree paRaa bahut ye mohabbat ka silsilaa
jaate hue woh de gaya phir gham nayaa mujhe

sheroN meiN dhaal kar jise,ghazleiN,likhaa kiye
woh aaj keh raha hai 'Sanam bewafaa!' mujhe

jab haal-e-dil sunaa chuke unko,WO keh uThe
'Yeh tou janab pehle se maloom thaa mujhe!'

dast-e-duaa uThaake Khuda se 'SHUMAA'ILAA'
maange duaa yahii k,"bas ab TUU bulaa mujhe!"

 

 

Jaankar kyoN mujhe woh sataate rahe?
kyoN sadaa hii meraa dil jalaate rahe?!

pyaar ki raah meiN silsilaa ye raha
rooThte woh rahe,hum manaate rahe!

raat bhar yaad meiN unki royaa kiye
har gaRhii jo hume bas sataate rahe!

aag aisee lagii zindagii meiN,ke hum
bas bujhaate rahe!bas bujhaate rahe!!

kaT gayii umr sab ki khushii ke liye
log lekin miraa dil dukhaate rahe!

phool ne kar diyaa humko zakhmi bahut,
hum to kaaNToN se daaman bachaate rahe!

usne deke daghaa,hum ko apnaa kahaa!
aur hum the ke baatoN meiN aate rahe!

kar diyaa usne rusvaa bharii bazm meiN
raaz-e-dil hum jise sab bataate rahe!

kitne naadaan the jo samajh na sake
khwaab kii neev pe ghar banaate rahe!

Zindagii ne dikhaayiN bahut talkhiyaaN
phir bhi naghme khushii ke hi gaate rahe!

ranj-o-gham saare apne chupaate hue
muskuraate rahe!muskuraate rahe!!

 

Mohabbat ka apni,silaa chaahiye
mujhe tum se bas kuch wafaa chaahiye

zara sii khushii ka pataa chaahiye
'HumeiN aur dunyaa se kyaa chaahiye'

merii zindagii ko ye kyaa chahaiye?
na ho khatm jo,wo mazaa chaahiye?!

zamaane ne diiN haiN bahut thokareiN
saNbhalne ko ab aasraa chaahiye

judaa, paas rehke,hai honaa kathin
judaa hone ko,faaslaa chaahiye

ye manzar nahii ab mujhe dekhnaa
nazaaraa mujhe ab judaa chaahiye

kabhii aake kar do muqammal ise!
ghazal ko merii qaafiyaa chaahiye

nahii chaahiye aur kuch bhi mujhe
bahut jee liyaa,ab qazaa chaahiye

use bhoolne ke liye Aye Khuda!
'Shumaila' ko kuch hauslaa chaahiye

 

Aao chupke se kareiN zakhm-e-jigar kii baateiN
“ghar se baahar bhi chalii jaati hai ghar kii baateiN”

Jiss ko parwaa hi naheeN hai koi mere dil kii
Kyaa karooN uske ishaaraat-e-nazar kii baateiN

Jee jalaatii hai meraa,waada khilaafii uskii
Mujh se poocho na kabhi uske hunar kii baateiN

MaiN ne soucha tha karooN pyaar ki baateiN lekin
Tum sunaate hi rahe shams-o-qamar kii baateiN

Jaan jaate, mujhe tum say hai mohabbat kitnii
bhaaNp lete jo mere deeda-e-tar kii baateiN

Meri aankhoN meiN hai ek shahr-e-wafaa kaa manzar
Kaise bhoolooN mai’N terii raahguzar kii baateiN

Yaas meiN daaman-e-ummeed na chooTega kabhii
raat bhar karte hai’N hum noor-e-sahar kee baateiN

Kyaa ta’alluq hai 'Shumaila' mujhe is dunyaa se
kaun kartaa hai bhalaa daulat-o-zar kee baateiN!!

 

bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii
laboN par yeh banaawat kii haNsii achchii nahii lagtii

kabhii to khoob lagtii thii magar ye sochtii hoon ab
ke mujhko kyoN merii ye zindagii achchii nahii lagtii?!

tirii maujoodagii meiN to mujhe har baat bhaati thi
'terii furqat meiN koii baat bhii achchii nahii lagtii'

ko'ii to saaz chheRe, ko'ii to naGhma idhar gooNje!
bharii mehfil meiN itnii khaam'shii achchii nahii lagtii

kabhii hum bhii huaa karte the baadaakash magar jab se
tujhe dekha hai tab se maikashii achchii nahii lagtii

zara tuu paas aa,maiN poNchh doon ashkoN ko pallu se
tirii maasoom aankhoN meiN namii achchii nahii lagtii

miree aaNkhoN ne jab se jeena seekhaa hai aNdheroN meiN
kisii bhii qism kii ho raushnii,achchii nahii lagtii

mujhe har gaam pe dukh,dard,ranj-o-gham mile lekin
khudaaya aur ab uftaadgii achchii nahii lagtii!

na de har vaqt tuu dastak mire darvaaza-e-dil par!
k ab mujh ko yeh "tarz-e-dil-lagii" achchhi naheeN lagtii

agar tum chaah sakte ho,to dil se chaaho mujhko tum
mohabbat meiN merii jaaN bedilii achchii nahii lagtii

jhijhakte kyon ho kehne se?HumeiN maaloom hai sab kuch!
k tum ko ab HAMAARI dostii achchhi naheeN lagtii!

 

aab-o-hawaa mein teri tasveer nazar aaye
mujhko to harsoo meri taqdeer nazar aaye

woh keh raha tha usne de di mujhe rehaaii
qadmon mein mere phir kyon zanjeer nazar aaye

dekhe jo voh to patthar dil bhee pighal hee jaaye
 aaNkhoN meiN uss kee aisee taaseer nazar aaye

jiss lutf se voh sab se miltaa hai jhuk ke uss meiN
jazboN ko uss kee baKhshee tauqeer nazar aaye

kyoN pooChhte ho mujh se,maiN sochtee hooN kyaa kyaa
KhwaaboN kee meree woh to taabeer nazar aaye

kholee naheeN hai maiN ne dil kee kitaab uss kee
Dartee hooN jaane kaisee teHreer nazar aaye

guzree hai zeest meree taareekiyoN se kaisee
dekha tujhe to jaise tanweer nazar aaye

gar pyaar uss se bilkul tujh ko naheeN 'Shumaila'
phir kiska tere dil meiN ye teer nazar aaye ?

 

Hum ko kab tak vo aazmaayenge..
aur kitnaa humeiN sataayenge?!

gham-e-dauraaN ki kashmakash meiN humeiN
'kyaa khabar thi vo bhool jaayenge'!

do qadam saath chalte chalte phir
humko tanhaa vo choRh jaayenge!

saari qasmoN ko, saare va'adoN ko
ham to samjhe the, voh nibhaayeN ge!

ab bhee ummeed hai mire dil ko
kal ko shaayad vo lauT aayenge!

meri taareek zindagii meiN phir
pyaar ke deep vo jalaayenge!

gar mire pyaar pe yaqeeN na huaa
un ko dil cheer ke dikhaayenge!

bhool kar sab shikaayateN,un ko
pyaar se ham gale lagaa'eN ge

maaf karke khataooN ko unkii
phir se ghar apna hum basaayenge!!

muntazar hae :Shumaaila: un kee
laut kar jaane kab voh aa'eN ge !

 

Humne tumko,tumne humko,kho diyaa!
har gaDhii ye sochke dil ro diyaa

ho gaye ek doosre se hum judaa
beej furqat kaa ye kisne bo diyaa

umr bhar kaa rog kaisaa lag gayaa!
sochte haiN dil ye kyoN tum ko diyaa?

ho gaye kyoN hum se itne bad gumaaN
jo bhi tumne maanga,humne wo diyaa

tum se ab hum kyaa kareiN shikwaa gilaa
likkha tha qismat meiN,tumne jo diyaa

jaate jaate humne usse keh diyaa
dil hi kyaa,lo jaan de,tumko diyaa

cheenkar khushyaaN 'shumaila' kii,sabhii
Aye Khuda!gham itna kyoN usko diyaa?!!

 

kaT gayii raat aaNsoo bahaate huwe
apne ashkoN ko khud hee sukhaate huwe

woh musalsal mujhe aazmaate rahe
aur maiN thak gayii yuN nibhaate huwe

is qadar dukhbharii thii mirii daastaaN
ro paRi maiN bhi unko sunaate huwe

jaane kyaa baat thii unki baatoN meiN jo
haNs diye hum to aaNsoo bahaate huwe

bas yihii iltijaa hai ki jab bhii milo
'yun hi mujhse milo muskuraate huwe'!

jab bhi maazii ki yaadoN ne gheraa bahut
moond lee aankh sab kuch bhulaate huwe

bhoolkar talkh yaadoN ko maiN chal paRii
gungunaate huwe,geet gaate huwe!!

phir bhi lagtaa hai Dar kyoN mujhe aaj bhii
apne dil meiN kisii ko basaate huwe??!!

 

'Aa gayaa jis pe dil aa gayaa kyaa kareiN'
tuu bataa ab humeiN,Aye Khudaa!kyaa kareiN?!

tujh ko hum chaahne ke sivaa kyaa kareiN
jo huaa so huaa,ab bataa kyaa kareiN?

Hum wafaa jab kareiN,tuu jafaa hi kare!
maar Daalegi uff ye adaa! kyaa kareiN!

ab to khwaaboN meiN bhii aata rehta hai woh
Haaye! jis pe ye dil mar mitaa,kyaa kareiN!

us ko kaise kareN apne dil se judaa?
ab to dil meiN samaa woh gayaa, kyaa kareN?!

us ne jab bhi hameN kuchh Dilaasa diyaa
dard-e-dil aur bhi baRh gayaa,kyaa kareiN!

zindagi dono ki ham se hai shaadmaaN
bin tere zindagii kaa mazaa kyaa kareiN?!

hogi shaayad kamii hum hi mein,isliye
uske inkaar pe dil buraa kyaa kareiN

jab use hum se raghbat hi koii nahi
aise mein pyaar kii ibtedaa kyaa kareiN!

laakh samjhaaya dil ko,use bhooljaa
dar pe uske qadam phir uthaa,kyaa kareiN!

jo milaa,bewafaa hii milaa pyaar meiN
so faqat tujh se shikwaa gilaa,kyaa kareiN?!

kuu-e-qaatil se guzre to jaana hai ye
zakhm phir ho gaya hai haraa,Kyaa kareiN!

zindagaanii se hum thak gaye haiN bahut,
Waqt aasaaN nahiN kaaTnaa kyaa kareiN!

zindagii jeena ab apne bas meiN nahii
zindagi kii bhalaa ab du'aa,kyaa kareiN?!

 

rukh-e-raushan ko aaNchal meiN chhupaaye kaun baiTha hai
shab-e-mehtaab yeh jaadoo jagaaye kaun baiTha hai

milaa hai chain barsoN ba'd phir kis kee duaaoN se
ba-chashm-e-nam yeh haathoN ko uThaaye kaun baiTha hai

duaeiN meray jeenay ki na jaanay kaun karta hai
merii marne kii khaahish ko bhulaaye kaun baitha hai

bachakar apni nazroN ko guzar jaatay thay sab pahlay
inhi nazroN se ab nazreiN milaaye kaun baitha hai

taras khaayaa hai tanhaaii pe merii aaj ye kis ne
ye merii raah meN aaNkheN bichhaye kaun baiThaa hai

ye kis kii anjuman hai, jo usse apnii sii lagtii hai
'Shumaila' ke liye meHfil sajaaye kaun baiThaa hai

 

rote hain pardes mein,apne ghar kii yaad meiN
baagh,sehan,angne,deewar-o-dar kii yaad mein

humko ghaayal kar gayiN ek nigaah-e-yaar kii
aaj bhii khoye se hain,us nazar kii yaad mein

neend jab aankhon se ho jaati hai rukhsat,to hum
bas basar karte hain shab ek sahar kii yaad mein

kitni ghazleiN humne likh diiN firaaq-e-yaar mein
choRh aaye jisko,us ham-safar kii yaad mein

jab se bhoole baiThe hain unke ghar ka raasta
maare maare phirte hain unke dar kii yaad mein

naa ji naa shumaila! mat cheRho uske maazi ko
zakhm ho jaayenge taaza,zarar kii yaad mein

 

Aye dil khuda ki zaat pe, tu aitebaar rakh
paiwasta rah shajar se umeed e bahaar rakh

mai dagmaga ke doob na jaoN unhi mai phir
ankhoN ke sagharoN mai na itna khumaar rakh

lagta hai dar, ke tujh se zamaana na cheenle
Mujhko chupa ke khaana e dil mai tu yaar rakh

lamhoN ko qaid karle aur batoN ko kar raqam
jo ho sake to khushioN ki har yaadgaar rakh

mai kar chuki hoN tujhse to iqraar pyaar ka
izhaar kar ke khud bhi mera aitebaaar rakh

RaaheiN bahut kathin haiN 'shumaila' ye pyaar ki
qabu mai dil ko rakh ,magar itna na yaar rakh !!!

 

Hum ko tanhaaiOn mai jeene do
chupke chupke ye ashk peene do

apnii chaahat ka mat sahaaraa do
humko tanha ye zakhm seene do

dil se yaadeN na miTne paayeN gii
in ko aise hi dil mein jeene do

darti hooN phir kahiiN na beh jaaoN
rehne do tum na ye safeene do

wo hi dikhta hai meri aankhoN meiN
chaahe kitne bhii tum ayeene do

chheen lo haafizah 'Shumaila' kaa
bhoolne ke ya tum qareene do

 

dil kis ka kab raha hai kisi ekhtiyaar mai
shayed vo doob jaate hai chashm-e-khumaar maiN

mai kho gai thi qurb mai, uskay hisaar maiN
theiN kitni khoobiyaaN mere dilbar mai yaar meiN

sarmastiaN shabaab ki aur un se door ham
dhaya gaya hai ham pe ghazab ye bahaar maiN

majbooriyoN ke darmiyaN ham qaidiyoN se log
jhunjhla gaye haiN ham bhi bahut intezaar maiN

'shummu' batayeiN tumko kya beeti jo us pe hai
kitne chupe haiN zakhm dil-e-beqaraar meiN

dil ke daryaa meiN utar ke dekho
tum mohabbat mujhse karke dekho

phir tumheiN meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke dekho

ishq ka saagar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho

dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho

pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke dekho

mera gham mehsoos karna ho to
meri raahoN se guzar ke dekho

kya asar hota hai berukhii ka
meri chaahat se mukar ke dekho

jo 'shumaila' ne hai dekha,tum bhii
uski aaNkhoN meiN saNwar ke dekho

Apni aaNkhoN mein basaana chaahta hooN
tujh ko seene se lagaana chaahta hooN

jo gile shikwe tumhaare dil meiN haiN
aaj ki shab maiN mitaana chaahta hooN

apne pehlu meiN biTha kar jaan-e-jaaN
raaz-e-dil tujh ko bataana chaahta hooN

jis qadar bhi zakhm haiN dil meiN mire
aaj maiN tujh ko dikhaana chaahta hooN

tere aaNchal ke naram goshoN se maiN
apne ashkoN ko sukhaana chaahta hooN

teri zulfoN ke ghane saaye tale
shaam-e-gham apni bitaana chaahta hooN

apna sar rakh kar tumhaari god meiN
saari dunya ko bhulaana chaahta hooN

ham ne jo mil kar guzaare the kabhi
maiN woh har lamha dubaara chaahta hooN

Maut ka aaye 'Shumaila' jab lamha
Tere pehlu mein thikaana chaahta hooN !!!

vo nigaahoN se nigaahoN kaa milaanaa yaad hai
unhi nazroN ko hayaa se phir jhukaanaa yaad hai!

rait pe vo naam likh likh ke mitaanaa yaad hai
'hamko ab tak aashiquii kaa vo zamaanaa yaad hai'!

shab-e-qurbat meiN musawwair kii tarah,woh tera yuN
mere dil ko pyaar ke rangoN se sajaana yaad hai!

waada jo mujhse kiyaa milne ka usne aik din
intizaar-e-yaar meiN aankheiN bichaanaa yaad hai!

chupke chupke hijr meiN aaNsooN bahanaa yaad hai
vo tera milke achanak yun bicharnaa yaad hai!

yaad hai woh lamhe jab tum rooth jaaya karte the
aur phir tumko hamaaraa woh manaanaa yaad hai?!

daagh daaman-e-wafaa pe yuN lagaakar,vo mujhe
ruswa karke bazm-e-yaaraaN se uThaanaa yaad hai?!

waqt kii maujeiN bahaa kar le gayiN sab!ab to bas
shab-e-furqat meiN charaagh-e-dil jalaanaa yaad hai!

 
Apni aankhoN meiN haseeN sapne sajaa kar dekhiye!
meri maaneiN to kisii se dil lagaa kar dekhiye!

ho sake to aap humko aazmaa kar dekhiye
'kitni vusa't hai hamare dil meiN aakar dekhiye'

raakh meiN bhi aap paayenge hamaaraa naam hi
khat hamaare aap jee chaahe jalaa kar dekhiye!

zindagii ye khoobsoorat lagne lag jaayegi phir
dil meiN bas ik jazbaa-e-ulfat jagaa kar dekhiye!

le hi jaayegaa churaakar koi isko aik din
aap dil ko chaahe jitnaa bhii bachaa kar dekhiye!

thaam lungii,girne naa dungii kabhii,ye waada hai!
merii jaanib apne haathoN ko baRhaa kar dekhiye!

harf kii soorat kitaab-e-zeest meiN shaamil hokar
warq-e-dil pe daastaaN koii banaa kar dekhiye!

dil kii baateiN hoti haiN aaNkhoN se hii aksar ayaaN
raaz-e-dil ko chaahe jitnaa bhii chupaa kar dekhiye!

mausam-e-gul aa chukaa hai! baagh-e-dil meiN aap bhii
phool koii pyaar kaa ab to khilaa kar dekhiye!

ye tamanna hai ki ghazloN ko hamaarii aap bhii
dil hi dil meiN pyaar se khud gungunaa kar dekhiye!!

 

mere dil pe,dastaq deta hai,koi baar baar
mere jazboN ko,jhanjhoRta hai,koi baar baar

jitna mai door jaana chaahti hoon
utna hi paas,bulaata hai,koi baar baar

raaton mein merii yaadoN mein aa aakar
merii neendein,churaata hai,koi baar baar

kaan khade ho jaate hain zara si aahat par
aisa lagta hai,mujhko pukaarta hai,koi baar baar

raah chalte chalte kadam thahar jaate hain
Wallah!har shai mein,nazar aata hai,koi baar baar

aata rahta hai mere khayaloN mein bin bulaaye
rah rah kar,mere ehsaas ko,jagata hai,koi baar baar

mustaqbil mein bhala kaise rakhooN kadam
jab maazi ki yaad,dilaata hai,koi baar baar

haye ree! kismat ki maari 'Shumaila' ko
aaj phir,apnaa banana chaahta hai,koi baar baar !!!

 

AdaayeiN khoob woh bhi banaa lete haiN
anjaam-E-ishq poocho to nazreiN jhukaa lete haiN

kya kya sitam mere sanam mujhpe dhaate haiN
muskurakar raaz-E-ulfat dil me chupaa lete haiN

madhmast nighahoN se woh jo dekh lein ek baar
sooye armaanoN ko hum bhi jagaa lete haiN

pooche koi unse jo khamoshi ka sabab, to
lab-E-khaamosH ko woh aur bhi dabaa lete haiN

Dil dhadhak uThtaa hai unke ek deedar se
haye!woh jo zaraa sa chilman uThaa lete haiN

khayaloN mein rahte haiN unke khooye khooye
yaadoN mein unki beshumaar sapne sajaa lete haiN

jab hota hai zikr duniya mein mehjabinoN ka
unka naam le-lekar apne hoothoN ko thakaa lete haiN

jaaney woh humse pyaar karte bhi haiN ya nahi
ye soch soch ke sir apna hum khapaa lete haiN

karte to honge woh bhi pyaar humse ho na ho
warna woh kyon mere naam ki mehndi lagaa lete haiN

kabhi na kabhi to woh bhi ikraar kareNge hi
is umeed pe,dil-E-nadaaN ko hum samjhaa lete haiN

Ae meri azeez 'shumaila' ab tu hi duaa kar
chal teri duaooN ko bhi aaj hum aazmaa lete haiN !!!

 

ek pal mein ek sadii kaa mazaa hum se puuchhiye
marne se qabl jeene kii adaa hum se puuchhiye

kaise na doob jaate nigaahon mein yaar kii
aankhon mein unki tha jo nashaa hum se puuchhiye

muddat ke baad phir yaad unhe karte huwe
is dil se jo niklii thi sadaa hum se puuchhiye

hum to gaye the milne badii hasrat se unse
jis berukhii se parda hataa hum se puuchhiye

humne to chaaha unhe badii shiddat se magar
us pyaar ki milii jo sazaa hum se puuchhiye

lut jaata hai kya kuch sunte hain raah-e-ishq meiN
is pyaar mein jo kuch hai bachaa hum se puuchhiye

kyo kar diyaa hai badnaam tum ne use logoN!?
"kii thii 'shumaila' ne wafa!" Hum se puuchhiye!

 

paas itna kyon mere aa rahe ho
pyaar itna kyon jataa rahe ho

manzoor nahi humko pyaar tumhara
phir kyon mere peeche aa rahe ho

thak gayin hoon mai zakhm bharte-bharte
tum kyon inhe aur badhaa rahe ho

andheron mein seekh liya hai jeena
chiragoN ko kyon jalaa rahe ho

tanhaaii mein umar hai guzri
kyon mehfilon mein bulaa rahe ho

uljhi huyi hai merii zindagani
tum kyon ise suljhaa rahe ho

ghamoN se hai apna rishta purana
tum kyon inhe cheene jaa rahe ho

ho sakta nahi sach jo kabhi bhi
sapney aise kyon dikha rahe ho

rahne bhi do mujhe mere haal pe
kyon tum mujhe samjhaa rahe ho

mar chuki hai 'shumaila' kabki
laash uski,ab kyon jala rahe ho !!!

 

Mera gunaaH kya hai,zara bataa diijiye
aashiq huN tera,jo chahe sazaa dijiye

Bahut tarpaaya hai yaadoN meiN aakar
ab to zara chehraa dikhaa diijiye

sar-E-raah kaatein hi kaatein haiN
kuch phool aap hi bhichaa diijiye

Gin gin guzaare haiN din kitne,Haaye!
intizaar ka kuch to silaa diijiye

jaageiN haiN bahut uthkar raatoN meiN
ab aap hi chain ki neend sulaa diijiye

Koi gilaa shikwaa nahi hai phir bhi,
chaaheiN to apni Uzr-e-jafaa sunaa diijiye

saabiq!Aa ke lag jaa'iye gale ham se
ranjish-E-vaham mitaa diijiye

Bahut pee liya Maey-kadah me jaakar
ek baar phir,nazroN se pilaa diijiye

yuN to jab bhi mile,behijaab mile
ab kaisa hai pardaah,bataa diijiye

Gar waaqif nahiN,aankhoN ki zubaaN se
aap hi 'Shumaila' unhe samjhaa diijiye

Naa kaam har koshish rahi ab tak
Ya RAB!ab aap hi ham ko milaa diijiye !!!

 

aaj ke daur meiN,insaan insaan ke khoon ka pyaasa hai
jidhar bhi dekho,har soo yahi manzar hai,nazaara hai

laalach ki paTTi bandhi hai, is kadar aankhoN pe
paise ke ilaawa,kuch aur dekhna bhi nahi gaNwaara hai

kahiN taras jaate haiN log roTi ke ek tukre ko,aur
kahiN hota,ek din meiN caRoRoN ka waara niyaara hai

jaan,maal,izzat,aabru sabhi to khatre mein hai aajkal
buri nazar waaloN se na jaaney kya kya bachaana hai

aaye din hota hai yahan danga fasaad,mazhab ke naam pe
Allah jaaney kya hashr is khalq ka hone waala hai

kiska main thamooN haath,kaun apnaa hai,kaun paraaya hai
is matlubi duniya mein nahi hota koi kisi ka sahaara hai

apne juute ki nok pe logoN ko rakhne wale bereham aadmi
sun le, in juutoN ko bhi ek na ek din Ghis janaa hai

apni position,power ka galat istimaal karne wale logoN
mat bhoolo,tumhe bhi ek din mitti mein mil jaana hai

jaan lo,usi ka dil sabse zyaada chaknachoor hai
ghazloN aur sheroN mein jo apne ghamoN ko chupaata hai

sukh chain aafiyat ki zindagi ab kise naseeb hai
socho to lagta hai ki,ye sab to bas ek guzra zamaana hai

jab bahut pyaar mohabbat se,phuslaakar baat kare koi
to samajh lo 'Shumaila',daal me zaroor kuch kaala hai!!!

 

Copyright © 1999-2004
Shumaila production.