MERI MAZAAHIYA GHAZAL

 

 

 

phire haiN nange paaoN maare maare
'Hue masjid se gum joote hamaare'

sadaa qismat ke aaGe hum hain haare..
rahe gardish meiN har dam kyoN sitaare?!

kaho usse lage mat muuNh hamaare!
dikhaa denge use hum din meiN taare!

kahaaN jaake bhalaa hum muuNh chupaayeiN?!
paRe rehte hain peeche sab kuNwaare!

koii aisi jagah hum ko bataaoo
jahaaN ho khoobsurat sab nazaare!

bhari mehfil meiN woh aise ghire haiN
ki jaise chaand ko ghaere sitaare!

ajab woh shaks hai,hum kyaa bataayeiN
hai meeThee boli ,akhyoN meiN sharaare!

kisee soorat nahii sudhrenge woh to
koii kitnaa bhi unko ab sudhaare!

 

 

 

nayii saaRi laane ko jee chaahtaa hai
puraanii jalaane ko jee chaahtaa hai

pehen kar,mohalle ki sab aurtoN ko
ikhaTTa dikhaane ko jee chaahtaa hai

miyaaN jee ka bhaarii hua aaj baTwaa
so paise uRaane ko jee chaahtaa hai

jo baateiN suni thi paRosan ke ghar meiN
wo baateiN bataane ko jee chaahtaa hai

sunaa hai baRaa khoob ruu hai paRosii
Qasam se paTaane ko jee chaahtaa hai

ye halwaa jo maine pakaaya hai mujhko
use bhi khilaane ko jee chaahtaa hai

banii jab se sautan,sahelii hamaarii
humeiN bhaaG jaane ko jee chaahtaa hai

baRe mood meiN aaj aaya hai zaalim!
thoRaa sa tapaane ko jee chaahtaa hai

sunaa kar use apni ghazleiN dhaRaadhaR
musalsal pakaane ko jee chaahtaa hai

mujhe jitnaa usne sataayaa hai utnaa
use bhi sataane ko jee chaahtaa hai

nahii maiN bhi kam hoon kisi taur tumse
dikhaa dooN zamaane ko jee chaahtaa hai

 

 
raat bhar mujh ko jagaane ke liye
aa gaye machchar sataane ke liye

le nahi jaate ghumaane ke liye
ghar biThaate ho saRaane ke liye

dost ke bachche chale aate haiN roz
yaaN uDham sir pe machaane ke liye

baal sar ke uR gaye shauhar ke jab
kyaa na kar Daalaa chupaane ke liye

maine maNgwaayaa tha murGaa haaye woh
saaG le aaye pakaane ke liye

phir jalaa kar daal hooN tayyaar maiN
saasu maaN ki DaaNT khaane ke liye

beewiyaaN shauhar ko le jaati haiN saath
bojh shaaping kaa uThaane ke liye

apne zevar saas se kaise chupaayeiN?
baiTHi haiN woh kaaT khaane ke liye

uff najaane aaG kaise lag gayi...
phooNk maari thi bujhaane ke liye

peT meiN tere uThaa phir dard kyoN?
kuch hai baaqi kyaa bataane ke liye?!

kitna kaayar tha k usne toD daala
aa'ina bhi sach chupaane ke liye

aaj phir maine hazal likhkhii hai yaaro!
bazm meiN sab ko haNsaane ke liye!