Shehron   Ke   Intekhab   Ne....

...Ruswa kiya mujhey.

__________________________________

Yeh ahtiyat itna tzabzab he kis liye
Mera khiyal unko kaheen rokta na ho
Chup chup ke woh chaley to gaye bazm-e-yar main
Murh murh ke dekhtey hain koi dekhta na ho

Main hadees-e-dil yeh mana kisi razdan se kehta
Tera gham ager na milta to ghazal kahan se kehta
Wohi bat jo zara si yeh dilon main pal rahi he
Jise tum na keh sake ho use main kahan se kehta

Jab bhi mila woh zakham ka tohfa diya mujhe
Dushman zaroor he woh magar baasool he
Us par abb to koi tera muntazir nahein
Kache gharhe pe tair ke jana fazool he

Kisi ka gham bhi nahein aour ratjagey bhi nahein
Bohat dinon se mohabat ke silsley bhi nahein
Jo dekhon usko khuli ankh se to door lagey
Jo ankh band karon main to fasley bhi nahein

Paon phelaye to phir dekhi na chader ham ne
Tujh ko chaha to phir aoqat se barh ker chaha
Zeest aasan bhi ho sakti thi lekin ham ne
Teri chahat ko her ik bat se barh ker chaha

Yeh mana woh mujhe bhooley hoowe hain
Yeh hichki kiyon musalsil aa rahi he

Us se kab ham ne mulaqat ka wahda chaha
Door reh ker to use aour ziyada chaha

Ik nam kiya likha tera sahil ki reyat per
Phir umer bhar hawa se meri dushmani rahi

Teri nazar main tery dil main tery koochey main
Jahan miley gi jaga ham muqam ker lain ge

Judaiyan bhi yeh mana barhi qiyamat hain
Rifaqton main bhi dukh kis kader hain kiya kahiye

Hijer ki shab meri tanhai pey dastak degi
Teri khushbu merey khoye howe khwabon ki tarah

Woh aik chehra jo ankhon main aa basa tha kabhi
Tamam umer meray ansoowon main qaid raha

Ab to ankhon ki lakeerain bhi miti jati hain
Us ko kho ker to meray pas raha kuch bhi nahein

Aap ko takerkey taaloq pey hey israr to khair
Aap ke khat hain merey pas yeh latey jaein

Phir youn howa keh rastey yakja nahein rahey
Main bhi ana parast tha woh bhi ana parast

Tersaya he aber-e gurezan ne is kader
Bersey jo boond bhi to sumander lagey mujhey

Dhoop nikli to merey jism se saya nikla
Is karhey waqt main yeh bhi to paraya nikla

Bicherh ke tujh se na dekha gaya kisi ka milap
Orha diye hain parindey shajer pe baythey hoowe

Tanha koi miley to karein dil ki bat bhi
Her aadmi ke sath hey saya laga hoowa

Aansoo merey tham jaein to phir shawq se jana
Aisey main kahan jaaogey barsat bohat hey

GHairon ko kiya parhi he keh ruswa karein hamin
In sazishon main hatth kisi ashna ka hey

Main ney jis shakh ko phoolon se sajaya tha Faraz
Merey seeney main usi shakh ka kanta utra

Roz kha laetey hain hanstey howe chehron se fareb
kaya karein apni nighahon main murawat hey abhi

kuch aour barh gaey hain andheray to kiya hoowa
Mayoos to nahein hain taloo-e-saher se ham

Waqt-e-rukhsat unka bhi roomal tha bheega hoowa
Aour ham bhi ro parhey they rasta detey hoowe

Mojain hon pur sakoon to gehrayon main jhank
Soorat badal ke aatey hain toofan kabhi kabhi

Cheez karhwi he mager dhoop se bachney ke liye
Neem ka pearh bhi angan main laga letey hain

Band kerlo aaj key insan ko shocase main
kiya khaber yeh kiya se kiya agley baras ho jaye ga

Ye Naya silsla app ke liye hey
is main apni pasand ke ashaar bhajiye

______________________________

Aapki nazar karam ke liye

INTEKHAB-E-GHAZAL
Udher Ghazal Ki Ibtada Ho Gayi

ACHAA LAGA

Sath tera jan-e-jan achaa laga
Tujh ko pa kar yeh jahan achaa laga

Pee liya jis din se in ankhon ka jam
Maekada mujh ko kahan achaa laga

Nazar na lag jaye tere husn ko
Gal per till ka nishan achaa laga

Woh bhaley chilman giraye bethe hain
Chand perday main nihan achaa laga

Piyar ki her bat ankhon se kahi
Unka yeh tarz-e-bayan achaa laga

Piyar ka paoda jo seencha khoon se
kis kader ho ker jawan achaa laga

Dard meetha meetha sa woh piyar ka
Kuch wahan aour kuch yahan achaa laga

Kuch nigah-e-yar main chahat ka rang
Kuch zamana mehrban achaa laga

Ham jalaye bethe they ALMAS dil
Unko uthta bas dhoowan achaa laga

Sajdey

Bitha ke pehloo main merey hamdam main zidagi bher ka piyar doonga
Jo bach gaye hain main un dinon ko teri qurbaton main guzar doonga

Chupey bhi kaise nazer se meri woh chand jaisa haseen pertive
Hata ke bikhri ghata si zulfain haseen chehra nikhar doonga

Chaman ke her phool main base too rahe jo kaliyon main ban ke khushboo
Khazan ka jis per parhe na saya sada main aisi bahar doonga

Haseen labon ke liye shafaq se main mang loonga yeh sari surkhi
Phir asaman ke sitare laker yeh maang teri sanwar doonga

Bicher ke tujh se rahoon jo zinda bhala woh kaise yeh mujh se hoga
main bhool jaoon woh waqt kaise jo pas tere guzar doonga

Main kehkashan se sitare laker saja ke rakhoon ga teri rahain
qadam too rakhe gi jis zamein per use main sajdey hazar doonga

Main sochta tha keh zindagi main kuch aisa hota ya waisa hota
jo tum miley ho to dil main uthi her aik khawahish ko mar doonga

mera wajood aour meri hasti sabhi he ALMAS tujh main pinhan
koi jo poochey ga nam mera to nam tera pukar doonga