Eid Na Guzray
Meri Passand

Eid kay mao'zoo per Ashaar jo her ik kay dilli Jazbaat ki tarjumani kertay hain

Eid

Bin Dhaikhay usay ya Rabb yeh Eid na guzray
Ker paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzray
Duniya ko dikhaya hay, ik chand jo too nay
Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray
Steve Almas

Rasm-e-duniya Bhi hay.....

Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb
Jin kay dam say ham bhi hain aour hay hamaari Eid bhi

Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main
Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand

Eid aayi hay musarat ki payami ban ker
Woh musarat jo teri deed say wabasta hay

Eid ka din bhi shab-e-matam hay meray wastay
Jis khushi main woh na aaye woh khushi achi nahein

Iss Eid par bhi mil na sakay ham to kaya hooa
jazbon main jo khaloos to Eidain hazar hain

Phir aa gayi hay Eid magar dill udas hay
Khushiyon ki hay naveed magar dill udas hay

Eid kay din na sahi Eid kay kuch ba'ad sahi
Eid to ham bhi manayein gay teri deed kay ba'ad

Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko
Tumhari yad par qurban ker diya main nay

Un kay abroo-e-khameeda ka tarah teekha hay
Apni aankhon main barhi daer chubha Eid ka chand

Ghairon main hay jo shad usay Eid mubarak
Ham jis ko nahein yaad usay Eid mubarak

Khat main likha tha Eid kab hogi
Ham ko tareekh likh kay bhijwayein
Choonkeh jhagrha tha iss liye ham nay
Likh diya Aap jabb bhi aa jayein

Aaj kay din saaf ho jata hay dill aghiyar ka
Aao mill lo Eid, yeh maoqa nahein takraar ka

Khoob roya main lipat kar gham-e-tanhai say
Koi bhi aa kay galay say na laga Eid kay din

Meray aangan main dabay paaon naye rog liye
sall kay sall koi Eid chali aati hay

Kab tery milnay ki taqreeb bana Eid ka chand
Teri yaad aayi to dekha na gaya Eid ka chand

Dekha hilal-e-Eid to aaya tera khiyal
Woh Asman ka chand hay to mera chand hay

Kuch musarat mazeed ho jaye
Iss bahanay say Eid ho jaye
Eid milnay jo aap aa jayein
Meri bhi Eid, Eid ho jaye

Moyasar jin ko apnay doston ki deed hoti hay
Jo sach poocho to duniya main unhi ki Eid hoti hay

Kitni palkon say fizaon main sitaray tootay
Kitnay afsanon ka unwan bana Eid ka chand

Chand jab aaya nazar uss bam par
Rashk aaya apni her ikk sham par

Eid ka din hay galay aaj to mil lay zaalim
Rasm-e-duniya bhi hay, maoqa bhi hay dastoor bhi hay

Yeh Eid kay pakwan ka kuch aisa asar hay
Mehboob ki zulfain bhi lagti hain sawayan



Tripod Error [an error occurred while processing this directive]

404 - Page Not Found


Sorry, but the page or the file that you're looking for is not here.

Sponsors

Magic 21

Magic 21 -
Free card game. For each "21" you make, you could win up to $4,999 in cash! Go try your hand  »



[an error occurred while processing this directive]