Urdu Poetry of Faiz
Faiz Ahmed Faiz


___________
Kalam-e-Faiz

MUJH SAY PEHLI SI MOHABAT MERI MEBOOB NA MANG

Mujh say pejli si mohabat meri mehboob na mang

Main nay samjha tha keh too hay to darakhshan hay hayat
Tera gham hay to gham-e-dehr ka jhagrha kiya hay
Teri soorat se hay aalam main baharon ko sabaat
Teri ankhon kay siva duniya main rakha kiya hay

Too jo mil jaye to taqdeer nigoon ho jaye

Uoon na tha, main nay faqat chaha tha uoon ho jaye
Aour bhi dukh hain zamanay main mohabat kay siva
Rahatein aour bhi hain wasl ki rahat kay siva
Unginat sadiyon kay tareek bahimana talism
Rasham-o-atalas-o-kimkhaab main bunwaye hooay
Jabaja biktay hooay koocha-o-bazar main jism
Khaak main lithrhay hooay khoon main nehlaye hooay

Jism niklay hooay amraz kay tanooron say
Peep behti hooi galtay hooay nasooron say
Laot jaati hay idher ko bhi nazar kaya keejay
Abb bhi dilkash hay tera husn, magar kaya keejay

Aour bhi dukh hain zamanay main mohabat kay siva
Rahatain aour bhi hain Wasl ki rahat kay siva
Mujh say pehli si mohabat meri mehboob na mang

(Naqsh Faryadi)
******************************

PASS RAHO

Tum meray pass raho
Meray qatil, meray dildar, meray pass raho
Jiss gharhi raat chalay
Asmanon ka lahoo pee kay siyah raat chalay
Maham-e-mushk liye nashtar-e-almas liye
Bain kerti hooi hansti hooi, gati niklay
Dard kay kasni pazaib bajati niklay
Jiss gharhi seenon main doobay hooay dill
Asteenon main nihan hathon ki rah taknay lgain
ass liye
aour bachon kay blaknay ki tarah qulqul-e-may
Behr-e-nasoodgimachlay to manaye na manay
Jabb koi bat banaye na banay
Jabb na koi baat chalay
Jiss gharhi raat chalay
Jiss gharhi matami, sunsan, siyah raat chalay
Pass raho
Meray qatil, meray dildar meray pass raho

Masko 1963.
********************************

Tari umeed tera intezar jab say hay
Na shab ko din say shikayet, na din ko shab say hay

Kissi ka dard ho kertay hain teray nam raqam
Gila ho jo bhi kisi say teray sabab say hay

Hooa hay jabb say dil-e-nasaboor bay qaboo
Kalam tujh say nazar ko barhay adab say hay

Agar sharer hay to bharhkay, jo phool hay to khilay
Tarah tarah ki tal'ab teray rang-e-lab say hay

Kahan gaye shab-e-furqat kay jagnay walay
Sitara-e-sahari ham kalam kab say hay

Bombay 1957
***************************************

Yeh jafaye gham ka chara, woh najat-e-dill ka aalam
Tera husnn dast-e-Eeasa, teri yaad roo-e-maryem

Dill-o-jan fidye rahhay kabhi aakay daikh hamdam
Sar-e-kooye dill figaran shabey aarzoo ka aalam

Teri deed say siva hay teray shaoq main baharan
Woh zamein jahan giri hay teray gais'woon ki shabnam

Yeh ajab qiyamtain hain teri rahguzar main guzraan
Na hooa keh mar mitain ham, na hooa keh ji uthain ham

Lo suni gayi hamari, uoon phiray hain din keh phir say
Wohi gosha-e-qafas hay, wohi fasal-e-gull ka maatam

Lahore Jail
February 1959.
*****************************************

KAHAN JAAO GAY

Aour kuch dair main lutt jaye ga her bam pay chand
Aks kho jayei gay aainey tar'as jayein gay
Aarsh kay deeda-e-namnak say baari baari
Sabb sitaray sar-e-khashak baras jaein gay
Aas kay maaray thakay haaray shabistanon main
Apni tanhai sametay ga, bichaye ga koi
Bevafai ki gharhi, tark-e-madarat ka waqt
Iss gharhi apnay siva yad na aaye ga koi
Tark-e-duniya ka samaan, khatm-e-mulaqat ka waqt
Iss gharhi aaye dill-e-aawara kahan jaao gay
Iss gharhi koi kisi ka bhi nahein rehnay do
Koi iss waqt milay ga hi nahein rehnay do
Aour milay ga bhi to iss ta'our keh pachtaaogay
Iss gharhi aaye dill-e-awara kahan jaoogay

Aour kuch daer theher jaao keh phir nashtr-e-subh
Zakhm ki tarah her aankh ko bedar karay
Aour her kushtaa-e-wamandgi-e-aakhir-e-shab
Bhool kar saa'at-e-darmandagi-e-aakhir-e-shab
Jaan pehchan mulaqaat pay israar karay

December 1961.
**************************************

SHAAM

Iss tarah hay keh har ik pairh koi mandar hay
Koi ujrha hooa, bay noor purana mandar
Dhoondata hay jo kharabi kay bahanay kab say
Chak har baam, har ik dar ka dam-e-aakhir hay
Asman koi parohat hay jo har baam talay
Jism par rakh mala, maathay pay sandoor malay
Sar nigoon baitha hay chup chaap na janay kab say
Iss tarah hay keh pas-e-pardaa koi saahir hay
Jiss nay aafaq pay phailaya hay uoon sahr ka dam
Daman-e-waqt say paewast hay uoon daman-e-sham
Abb kabhi sham Bujhay gi na andhera hoga
Abb kabhi raat dhalay gi na sawera hoga

Asman aas liye hay keh yeh jadoo tootay
Chup ki zanjeer katay, waqt ka daaman chootay
Day koi sankh doohai, koi payel bolay
Koi bu't jagay, koi sanwali ghoongat kholay

*******************************************

QAID-E-TANHAI

Door aafaq pay lehrai koi noor ki lehr

Khaab hi khaab main bedaar hooa dard ka shehr

Khaab hi khaab main betab nazar honay lagi

Adm abad-e-judai main saher honay lagi

Kaasa-e-dill main bhari apni saboohi main nay

Ghoal kar talkhi-e-dair-o-zamein may amrooz ka zahr

door aafaq pay lehrai koi noor ki lehr

Aankh say door koi sub'ha ki tamheed liye

Koi naghma, koi khushboo, koi kafir soorat

Adm aabad-e-judai main musafir soorat

Bekhabar Guzri, Pareshni-e-umeed liye

Ghoal ker talkhi-e-dair-o-zamein amrooz ka zahr

hasrat-e-roz-e-mulaqat raqam ki main nay

Dais perdais kay yaraan-e-qdah khwar kay naam

Husn-e-aafaq, Jamal-e-lab-o-rukhsar kay naam

Zindan-e-qila Lahore
March 1959.
*********************************************




Sign My Guestbook Guestbook by GuestWorld View My Guestbook

___________
Nedstat Counter