Pasndeeda Ghazlain
PASANDEEDA GHAZLAIN

Chorh dain gay iss jahan ko jab bhi fermayein gay aap
Waqt Rukhsat meri turbat per to aa jaayein gay aap

Phair ker monh gar chalay jayein gay bin daikhay hamain
Khud zamanay bhar main herjai to kehlayein gay aap

Kiya karogay jab dasain gi raat ki tanhaiyan
Din main jab apnay hi saaye say bhi dar jayein gay aap

Mil sakay gi jab tumhain na zindagi ki ik khushi
Phir bhala kiss kiss kay aagay hath phailayein gay aap

Doston ki apni mehfil main raqeebon ka zikar
Dushmani main kiya khaber thi had say gir jayein gay aap

Chand waa'day aour qasmain yaad hain abb tak mugar
Inn khilonon say kahan tak dill ko behlayein gay aap

SOCHTA HOON APNAY ANSOO KUCH BACHA KER RAKH HI LOON
KUCH TO HOGA PASS APNNAY JISS GHARHI AAYEIN GAY AAP

Log jab Almas poochein gay judai ka sabab
Kaon sa monh lay kay us mehfill main phir jayein gay aap

___________
SHART-E-WAFA

Iss zamaanay say na ham koi gilaa rakhain gay
Dil lagayein gay to na shart-e-wafa rakhain gay

Na dikhayein gay kabhi dil pay lagay zakhm unhaein
Dard uthay ga magar dil ko daba rakhain gay

Jaan day dain gay agar aik ishaara ker dain
Ham usay apnay liye bhi na bacha rakhain gay

Sab hata dain gay teri rah ki rukawat hamdam
Ghar kay darwazay ko her waqt khula rakhain gay

Unki her baat ko bhoolay say na bhoolain gay kabhi
Unki yaadon ko bhi seenay say laga rakhain gay

Toot bhi jaayegi umeed jo teray aanay ki
Ik diya phir bhi hawaaon main jala rakhain gay

Khak ho jayein gay Almas yeh duniya waalay
Jalnay walon ko bhi ham aour jala rakhain gay



DO KHOOBSOORAT KHAYAL

*******************

KIYA KAHAIN


*******************

Doston ki mehrbani kiya kahein
Gham diya achi nishani kiya kahein

Dil nay to aksar tha samjhaya bohat
Ham nay hi uski na mani kiya kahein

Bad gumani ka hooi kaisay shikaar
Dosti apni purani kiya kahein

Aour kis kis bat par royein gay ham
Aap aour yeh chairh khani kiya kahein

Be wafai kay sunay kisay teray
Duniya walon ki zubani kiya kahein

Aour kab tak yeh sunein gay log bhi
Tootay dil ki ab kahani kiya kahein

Dagh daaman per lagay kaisay mitein
Na raha ankhon main pani kiya kahein

Teray waa'don ki na tooti talkh dor
Katt gayi apni jawaani kiya kahein

Zakham-e-dil Almas apnay seenay main
Aap ki di ik nishani kiya kahein



+++++++++++++++++++++++

QAZA LAY URHAY GI


+++++++++++++++++++++++

Kahein khushk patay Fizaa lay urhay gi
Kahein zinagi ko qazaa lay urhay gi

Darkhton say bichrhay hooay zard patay
Hawa jab chali to hawa lay urhay gi

Hamaaray muqader ki do chaar khushiyan
Kisi Ghair ki badd doo'aa lay urhay gi

Jawaani ki aankhon ka kajraaya kaajal
Zamaany ki tehrhi nigaah lay urhay gi

Woh ishq-o-mohabat wafaon kay waa'day
Kisi sangdil ki jafaa lay urhay gi

Mohabat ka jaaga sa dil main tasawar
Kisi khoobroo ki adda lay urhay gi

Labon ki woh surkhi woh galon ka ghaza
Khulay aam shar-o-haya lay urhay gi

Bharosaa hay Almas kiya zindagi ka
Jisay maot day ker dagha lay urhay gi


___________
SAZA DAY RAHA HAY

|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|

Mohabat main koi sazaa day raha hay
Keh her zakhm-e-dil abb maza day raha hay

Mujhay khatm kernay ki thani hay uss nay
Main khush hoon woh sharf-e-qaza day raha hay

Kater ker meray bal-o-par keh raha tha
Khuli her taraf yeh fizaa day raha hay

Jo maqtal main ham nay jhukaya th sar ko
Woh samjha Adab-e-raza day raha hay

Bharosa hay kaya abb meri zindagi ka
Yeh dil be wafa hay dagha day raha hay

jhalak ik dikha ker barha teer mara
Wafaon ka kaisa sila day raha hay

Hay Almas uss ki inayet nawazish
Keh deedar waqt-e-nazah day raha hay

|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|

STEVE ALMAS


App ki Tashreef Awari ka Shukriya


In Saf'aat ki taa'meer jari rahay gi, Aatay rehiye.








powered by lycos
SEARCH: Tripod The Web