MUDAT KE BAAD

Us ne yeh ahsan fermaya to he mudat ke baad
Ik payam-e-dilbari aaya to he mudat ke baad

Mujh ko saqi ne isharey se bulaaya he udher
Us ka yeh andaz phir paaya to he mudat ke baad

Maykashon ne rasm-e-makhana badal di dekhiye
Her kisi ko jam-e-may aaya to he mudat ke baad

Kis main he tab-e-nazar ab dekhna he yeh unhein
Rukh se khud pardey ko serkaya to he mudat ke baad

Phaili he her samt masti aour khushboo husn ki
Us ne anchal apna lehraya to he mudat ke baad

Merey zahn-o-dil main woh youn raqs kertey aagaye
Merey dil ko us ne behlaya to he mudat ke baad

Tum agar chaho to main haar pehna doon tuhain
Ashkon ka toofan uter aaya to he mudat ke baad

Aagayi he aaj RAHI phir se unki dil main yaad
Ziker her ik shehre main aaya to he mudat ke baad


INTEKHAB-E-GHAZAL
Ibtada
SHUKRIYA
By Steve Almas
PARSAON KE
By Steve Almas
HAM SE MILIYE
Kuch Apne Bare Main
ACHAA LAGA
By Steve Almas

Pasandeedgi ke izhar main likhiye

Steve Almas

Build Your Own Web Page

Build your own web site!
Free Web Page Builder



Sardaron    Ke    Kaam

Ker dikhaye hain woh ham ne aaj sardaron ke kaam
Dekh to lain aap bhi apne vafadaron ke kaam

Aap ne bhi aazma ker ham ko dekha he hazoor
Khote sikon ki tarah aaye na bazaron ke kaam

Meri nazron main teri moohn bolti tasweer he
Zindagi dena buton ko hain yeh fankaron ke kaam

Kehat saali jor-o-ghurbat muflisi bachargi
Ho nahein saktey kabhi yeh apni serkaron ke kaam

Doosron ko roshani deta rahoon ga hasher tak
Roshani dena hoova kerte hain mahpaaron ke kaam

Gham ki wadi teera-o-tareek he RAHI mager
Wadiye gham se guzarna he yeh gham kharon ke kaam

Shair se Raabta Ke Liye


YoG Rahi