Qamar Jalalwi
Muntakhib Ashaar

Qamar Jalalwi ki biaz say

Ina'am yafta Ashaar

Woh daikh charaghon kay shohlay manzal say ishara kertay hain
Too himat hara jata hay, himat kahein hara kertay hain

Khushki-o-tari par qadir hay asan meri mushkil kerday
Sahil ki taraf kishti na sahi kishti ki taraf sahil kerday

Daba kay qaber main sab chal diye dooa na salam
Zaraa si dair main kiya ho gayaa zamanay ko

Raat ki raat mujhay bazm mai rehnay deejay
Aap daikhain gay sahar ko na Qamar ki soorat

Qamar afshan chuni hay rukh pay uss nay iss saleeqay say
Sitaray asman say daikhnay ko aaye jatay hain

Woh kiya hain aaj unkay farishtay bhi aayein gay
Waa'day ki shab nahein hay yeh din hay hisab ka

Dooa bahar ki mangi to itnay phool khilay
Kahein jaga na rahi meray aashiyanay main

Mera mo'hn kafn say khola, mujhay daikh ker woh bolay
yah naya lubas kiuon hay, yeh kahan kay hain iraday ?

Bas itni bat per cheeni gayi hay rahbari ham say
Keh ham say karwan manzal pay lutwaye nahein jatay

kab mera nasheman ahl-e-chaman gulshan main gawara kertay hain
Ghunchay apni awaazon main bijli ko pukara kertay hain

Qamar iss qadar unn ko jaldi thi ghar ki
Woh ghar chal diye chandani dhaltay dhaltay

Sub-e-furqat main Qamar aankh kay aansoo na rukay
yeh woh taray hain jo din main bhi gira keraty hain

Na chairh itna unhain aaye wahda-e-shab ki pashaimani
Keh abb to Eid milnay per bhi woh shermaye jatay hain

Kiss qadar ansoo bahaye tum nay sham-e-gham Qamar
Itnay taray to falak say bhi kabhi tootay na thay

Husn say ruswa na hoga apnay deewanay ka nam
Shama ro day gi magar lay gi na pawanay ka nam

Yeh raz-e-bahar-e-gulshan hay iss raz ko samjhay kiya koi
Shabnam ko rulaya phoolon nay ya rat ko shabnam khud roi

Pareshan baal, aansoo ankh main, utri hooi soorat
Naseeb-e-dushmanan aaye ho aisay main kahan hoker

Zara rooth janay pay itni khushamad
Qamar tum bigarho gay aadat kisi ki

Gaye baras ki Eid ka din kitna acha tha
Chand ko daikh kay uska chehra dakha tha

Tumharay chand say rukh ki qasam main hi hoon Qamar
Jigar ka dagh dikha doon jo aet'bar na ho

Qafas kay ho liye ham to magar aaye ahl-e-gulshan tum
Hamein bhi yad ker laina chaman main jab bahar aaye

Kuch husn-o ishq main farq nahein, gar hay to faqat ruswai ka
Tu ho keh gawara kar na sakay, ham hain keh gawara kertay hain

Ishq main wajh-e-tabahi nahein hota nahein koi
Apna dill hota hay, ya apni nazar hoti hay

Fateha parh kay meri qabr say qaatil jo utha
Khak urh urh kay lipatnay lagi arman ho kar

Sirf chehray ki udasi say bhar aaye aansoo
Dill ka aalam to abhi aap nay dakha hi nahein

Rang,khusboo,saba,chad,taray,kiran,phool,shabnam,shafaq,aabjoo chandani
Unkay dilkash sarapa ki takmeel main husn-e-fitrat ki har chees kaam aagai

Luta hay karawan jab aa chuki hay saamnay manzil
Kahan tooti hain umeedain, kahan taqdeer bigrhi hay

Na jaanay kaun saa zulm aour rah gaya hay Qamar
Dooa woh maangatay hain mari zindagi kay liye

Yeh keh kay jalway say bahosh ho gaye Moosa
Nigah tujh say milaoon meri majal nahein

Maana keh un say raat ka waa'da hay aaye Qamar
Kaisay woh aa sakain gay agar chandani hooi

Bandh ker ahd-e-wafa mujh say gaya hay koi
Aaye mari umer-e-rawan aour zara ahista

Peeri say kham nahein hay kamer main mari Qamar
Main jhuk kay dhoondata hoon jawani kidhar gayi

Zaoq-e-alam main Haq say dooa mangata hoon main
jitnay bhi mujh ko dainay hain, day'day alam mujhay

Aik ja rahna nahein likha mari taqdeer main
Aaj gar sahra main hoo, kal khana-e-zanjeer main

Fasana kah rahay hain aaj woh apni mohabat ka
Khuda aisa karay mara kahein par naam aa jaye

Jan ab kay bach gayi to Qamar ahd bhi yeh hay
ab dill lagaein gay na kisi seemtan kay saath

Maray mehboob nay waa'da kiya hay panchwain din ka
Kisi say sunn liya hoga keh duniya char din ki hay

Qamar tasbeeh parhtay jaa rahay ho soo-e-maikhana
Koi dakhay to yeh samjhay barhay Allah waalay ho

Toor pay talib-e-deedar hazaron aatay
Tum tamasha na banatay jo tamashai ka

Meri lahad pay patangon ka khoon hota hay
Hazoor shamma na laaya karain jalanay ko

Qamar zara bhi nahein tum ko khaof-e-ruswai
Chalay ho chandani shab main unhain bulanay ko

Go baza'har maray afsanay pay woh hanstay rahay
Aankh main aansoo magar bay akhtiyar aa hi gaya

Saikrhon ranj-o-alam, Dard-o-museebat, shab-e-gham
Kitni hangama talab hay meri tanhai bhi

Chandani dakh kar yaad aatay hain kaya kaya woh mujhay
Chand jab shab ko Qamar jalwa numa hota hay

Hijr ki raat bhi hoti hay ajab raat Qamar
Taray hanstay hain falak par mujhay gham hota hay

Kaon saahal pay dooa mang raha hay Ya'Rabb
Bach kay toofan mari kashti say guzar jaata hay

Pursash ko aap aaye hain deewanay shaad hain
Qismat bhi khul gayi hay dar-e-zindan kay saath sath

Aap nay mahfil-e-aghiyar ki raonaq to kahi
Mujh say kuch haal na poocha shab-e-tanhai ka

Saabat hooa kah mujh say mohabat nahein rahi
Woh shakhs mujh ko daikh kay aankhain chura gaya

Aap ik phool bhi daydain gay to iss ahsan kay sath
Jaisay gulzar ka gulzar diye daitay hain

Woh shab bhi yaad ahay keh main pohncha tha bazm main
aour tum uthay thay roanaq-e-mehfil liye hooay

bas aaj raat ko teemar dar so jayein
Mareez abb na kahay ga sahar nahein hoti

Hath uthaye thay keh haron ki larhi toot parhi
Sadqa phoolon nay utara teri angrhai ka

Lakh koshash ki magar phir bhi nikal ker hi rahay
Ghar say Yoosaf, khuld say Aadam, Teri mehfil say ham

Dill ko khabar nahein hay aour dard hay jigar main
Hamsaya so rahaa hay bay fikr apnay ghar main

Jaati hooi meay'at daikh kay bhi Lilah tum uth kar aa na sakay
Do char qadam to dushman bhi takleef gawara kartay hain

Zaalam woh daikh pass say uthtay hain chara gar
Taray mareez-e-hijr nay torha hay dam abhi

Mujh ko uss miti say khliq nay banaaya hay Qamar
Rah gayi tho jo azal kay din wafa kay waastay

Majoon wohi bana, usay pather parhay Qamar
Deewar-e-ishq jiss nay phalangi khushi khushi

Chupaein gay kahan tak raz-e-mehfil shamah kay aansoo
Kahay khaak-e-parwana keh parwanay pay kaya guzri

Abb nazaah ka aalam hay mujh par tum apni mohabat wapas lo
Jabb kashti doobnay lagti hay to bojh utaara kertay hain

Paseena, ashk, hasrat, beqarari, aakhri hichki
Akatha ker raha hoon aaj saman-e-safar apnaa

Zabat karta hoon to ghut'ta hay qafas main mara damm
Aah karta hoon to sayaad khaffa hota hay

Khuda rakhay tumhain rang-e-hinna say itna dartay ho
Abbi to sankrhon kay khoon bahaanay hain jawan ho kar

Hazaron waa'da-e-shab uss nay iss soorat say talay hain
Kbhi mehndi lagaai hay, kabhi gaisoo sanbhaalay hain

Pooncho na arq rukhsaaron say, rangeeni-e-husn ko barhnay do
Suntay hain keh shabnam kay qatray phoolon ko nikhara kertay hain

Taron ki baharon main bhi Qamar tum afsurda say rahtay ho
Phoolon ko to daikho hans hans kay kanton main guzara kertay hain



This page is under construction

Please visit
other links for more
Ghazals, Nazms &
Ashaars

Steve Almas

Winnipeg
Manitoba
Canada
Nedstat Counter