Aap Ke Zaoq ki Taskeen ke liye

Hindi & Urdu Poetry list
Poetry for every one
Kuch Ghazlein, Chand Nazmein
By Sheikh Amjad
Web Page in Urdu Script
By Faisal Mehboob Chugtai
Shayari in Urdu Script
By Ahmad Safi
Poems in Urdu Script
By Tasneem Ahmad "Urdu Aashiq"
Urdu Page Composer
Urdu Word processor
PARDES
Urdu Magazine on the Net
Urdu poetry
Another site for Urdu Poetry
Mera Ghar
Urdu Poetry

Taskeen-e-Samaaat ke Rang

All India Radio
Aapki Pasand
All India Internet Radio
Superb Selection
Internet ki Awazz
News In Urdu
Digitized Pakistani Music
Ghazals And Qwalies
Radio India
Live from Canada

Click Here to Visit Our Sponsor
Get Sponsored

SHUKRIYA

Kitne tanhaiyon ne zulm dhaye hain
Aap ka shukriya aap laot aaye hain

Toor ke pas ho ga na unka jawab
Jalwey hise main marey jo aaj aaye hain

Apne hathon se hi aaj chun lijiye
Ham ne daman pe moti jo barsaye hain

Ab to hone laga raat ka kuch guman
Aap ne apne gaisoo jo bikhraye hain

Kitni viranian theein mare her taraf
Phool rahon main kis ne yeh mehkaye hain

Rooth ker ja rahi thei meri zindagi
Phir mana ker use aap ghar laye hain

Jhank lati he jhat besharam chandani
Parde ham no jo khirhki ke sarkaye hain

Ham ne ALMAS qadmon ki her chaap per
Sankron bar dhoke bohat khaye hain

Izhare khiyal ke liye likhiye

Steve Almas
Nedstat Counter

AOURAT

Khuda ne ajab cheez aourat banai
Koi khoj paaya na iski gehrai

Kahein per mohabat ka paker he yeh
Kahein her khazane se behter he yeh

Kahein husn ka he yeh shahkar bhi
Naseem-esaher ki he mehkar bhi

Kabhi tapta sehra balla ka he yeh
Kabhi khunk jhonka hawa ka he yeh

Kabhi he yeh fitna kharabat ka
Kabhi aik cheenta he barsat ka

Kabhi doobte ka sahara bane
Bhanwer main bhi reh ke kinara bane

Yeh chahe to nadiyon ka rukh maorh de
Jo toote hove hon woh dil jorh de

Kabhi chand taron bhari rat yeh
Kabhi mushkalon se bani bat yeh

Yeh shahon ke tajon ki zeenat rahi
Yeh rasmon rivajon ki zeenat rahi

Yeh maan, Behn, beti ke rishte ka maan
He izat muraavat haaya ka biyan

Mohabat ki taza kahani bhi he
Kabhi aag he aour pani bhi he

Dharhakte dilon ki hararat bhi he
Wafa ki haqiqi ibarat bhi he

Hanse to baharon ka maosam bane
Jo roae to kaliyon peh shabnam bane

Wajood is ka he to phir he kainat
Isi se yeh roshan hain din aour rat

Mohabat main tan man ki qurbani de
Adawat main merte ko na pani de

Haya ki mujasam yeh tasweer he
Jafa main yeh jalta hoova teer he

Kabhi rat main chandani ka saroop
Kabhi din main charhti hoovi tez dhoop

Jo sar charh ke bole talisam he yeh
Kabhi dil ke zakhmon ka marham he yeh

Nasha zindagi ka adda dilruba
Mohabat main maasoomiat pe na ja

Agar koi ALMAS ise piyar de
Yeh us ke liye zindagi har de

Click Here to Visit Our Sposor
Get Sponsored