Faiz Ahmed Faiz

FAIZ AHMED FAIZ



Faiz nay aik naya madrisa-e-shairi qa'im kiya. Unhon nay jis baseerat afroz ahsas, khaloos-o-fankarana chabakdasti say ishqia wardat ko doosray aham samaji masa'il say mutaeliq kerkay paish kiya, yeh Urdu ki Ishqia shairi main bilkul aik nai cheez thi aour qabil-e-qadr thi.
( Firaq Gorakhpoori )

Ahd-e-hazir kay shairon main Faiz tanha shair hay jo tasawrat say khalis husn ka aik dikash ba'hisht paida kerna chahata hay, laikin jis nay husn aour rooman kay sunehri pardon kay uss par haqeeqat ki aik jhalak bhi daikh li hay
( N. M. Rashid )

Faiz ki shairi main angraizi adab kay aik khushgawar asar, jadeed insan kay zahan, aour Aishiai tehzeeb kay qabil-e-qadr anasar ki aik qaos-o-qaza jalwa gar hay.
( Professor Aal Ahmed Saroor )


.
Kalam-e-Faiz
___________________________________________
Na ginwao nawak-e-neem kash dil raiza raiza ganwa diya
Jo bacahy hain sang samaot lo tan-e-dagh dagh luta diya

Meray chara gar ko naweed ho saf-e-dushmanan ko khabar karo
Jo wo qarz rakhtay thay jaan par wo hisab aaj chuka diya

karo kaj jabeen pay sar-e-kafan meray qatilon ko gum'an na ho
Keh gharoor-e-ishq ka banmpan pas-e-mergh ham nay bhula diya

Udhar aik harf keh kushtani yahan lakh uzr tha guftani
Jo kaha to sun kay urha diya jo likha to parh kay mita diya

Jo rukay to koh-e-giran thay ham jo chalay to jaan say guzar gaye
Rah-e-yaar ham nay qadam qadam tujhay yadgaar bana diya

( Dast-e-teh-e-sang )
__________________________________________

Teray gham ko jaan ki talash thi teray jaan nisar chalay gaye
Teri rah main kertay thay sar talab sar-e-rahguzar chalay gaye

Teri kaj adayi say haar kay shab-e-intizar chali gayi
Meray zabt haal say rooth kar meray ghamgusaar chalay gaye

Na sawal-e-wasl, na arz-e-gham, na hikaitain na shikaitein
Teray ahd main dil-e-zar kay sabhi akhtiyar chalay gaye

Yeh hamein thay jin kay lubas par sar-e-rah siahi likhi gayi
Yehi daagh thay jo saja kay ham sar-e-bazm-e-yaar chalay gaye

Na raha janoon-e-rukh-e-wafa, yeh rasan yeh daar karogay kiya
Jinhain jurm-e-ishq pay naaz tha woh gonah gar chalay gaye

( Dast-e-teh-e-sang ) July 1959.
________________________________________

KHUDA WOH WAQT NA LAAYE

Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho too

Sakoon ki neend tujhay bhi haraam ho jaye
Teri musarat-e-paiham tamam ho jaye
Teri hayat tujhay talkh jaam ho jaye

Ghamon say aai'na-e dil gudaaz ho tera

Hajoom-e-yaas say baitaab ho kay reh jaye
Wafoor-e-dard say seemab hokay reh jaye
Tera shabaab faqat khwaab ho kay reh jaye

Gharoor-e-husn saraapa niaz ho tera

Taweel raton main too bhi qaraar ko tarsay
Teri nigah kisi ghamgusaar ko tarsay
Khazan raseeda tamana bahar ko tarsay

Koi jabeen na teray sang-e-aastan pay na jhukay

Keh jins ajz-o-aqeedat say tujhay shaad karay
Faraib-e-wahda-e-farda pay ahtmad karay
Khuda woh waqt na laye keh tujh ko yaad aaye

Woh dil keh teray liye beqarar ab bhi hay
Woh aankh jis ko tera inteaar abb bhi hai

( Naqsh Fariyadi )
________________________________




Tripod Error [an error occurred while processing this directive]

404 - Page Not Found


Sorry, but the page or the file that you're looking for is not here.

Sponsors

Magic 21

Magic 21 -
Free card game. For each "21" you make, you could win up to $4,999 in cash! Go try your hand  »



[an error occurred while processing this directive]
Tripod Error [an error occurred while processing this directive]

404 - Page Not Found


Sorry, but the page or the file that you're looking for is not here.

Sponsors

Magic 21

Magic 21 -
Free card game. For each "21" you make, you could win up to $4,999 in cash! Go try your hand  »



[an error occurred while processing this directive]
Tripod Error [an error occurred while processing this directive]

404 - Page Not Found


Sorry, but the page or the file that you're looking for is not here.

Sponsors

Magic 21

Magic 21 -
Free card game. For each "21" you make, you could win up to $4,999 in cash! Go try your hand  »



[an error occurred while processing this directive]
CDnow
Find Music:

 Lycos Downloads 
Find free software now
 Tripod MP3 Search  
Artist or Song Name:
powered by lycos
SEARCH: Tripod The Web