Selected By Mohammad Z. Tambra (Chand),
From Sialkot City, Pakistan 


Main aur meri tanhayee, Aksaar yeh baatein kerte hai,
Tume hoti, to kaisa hota..
Tum yeh kehti, tum wo kehti..
Tum is baat pay haira'a(n) hoti,
Tum aus baat pay kitni haasti..
Tum hoti to aaisa hota,
Tum hoti to waisa hota.
Main aur meri tanhayee, Aksaar yeh baatein kerte hai...

Yeh raat hai, yeh tumhari zulfay kholi huwi hai,
Hain chandni ya tumhari naazron say meri raatein dhuli huwi hain...
Yeh chand hai, ya tumhara kangan, Sitaray hai ya tumhara anchaal?
Hawa ka jhoka hai, ya tumharay badan ki khusboo?
Yeh patio ki hai sar sarahaat kay tumne chupke se kuch kaha hai?
Yeh sochta hu main kab se ghum suum, kay jab ke mujko bhi ye
khabaar hai, tum nahi ho... Kahi nahi ho, magar yeh dil hai kay
kehraha hai kay, TUM yahi ho, yahi h kahi ho...

Majboor yeh halaat idhaar bhi hai, audhaar bhi...
Tanhayee ki raat idhaar bhi hai, audhaar bhi...
Kehnay ko bohot kuch hai, magar kisay kehay hum?
Kab tak yuhi khamoosh rahai, aur saahay hum?
Dil kehta hai duniya ki haar rasam utha de, dewaar jo hum dono mein hai,
AJJ GIRADAY HUM!!! QUI DIL MEIN SULAGTE RAHAI, LOGO KO BAATA DAY HUM!!
HAI HUM KO MOHABAAT HAI, MOHABAAT HAI, MAHABAAT HAI...
Aur dil mein yahi baat idhaar bhi hai, audhaar bhi... :(


Tum ho khafa mujh say, yeh mujhko khabaar hai.
Tum dur ja rahi ho, yeh mujhko pata hai.
Tum bhaithi ho kisi kinare mein kay meri awaaz bhi nahi aati.
Tum kitni naraaz ho kay ab, meray paas bhi nahi aati.
Tum bhool gaye wo sab baatein, aur ab tumko yaad bhi nahi aati,
Tum jo soti thi maray kandho pay apna sar rakh ke...
Tumko bhi sari raat kya neind nahi aati?
Main rahai gaya hu yu tanha'a, ab teray khayaalo mein...
Kay ab teray siwa kisi ki arzoo bhi nahi hoti!!
Kisi ki tamanna bhi nahi hoti...


Funny version...

Tum ho khafa mujh say, yeh mujhko khabaar hai.
Tum dur ja rahi ho, yeh mujhko pata hai.
Tum bhaithi ho kisi kinare mein kay meri awaaz bhi nahi aati.
Tum kitni naraaz ho kay ab, meray paas bhi nahi aati.
Tum bhool gaye wo sab baatein, aur ab tumko yaad bhi nahi aati,
Tum jo soti thi maray kandho pay apna sar rakh ke...
Tumko bhi sari raat kya neind nahi aati?
Tum jo marti thi raato ko panja, WO nishan mai abbi dekh ta hu...
Tum thi meri pheli bili(cat), tumko main abbhi dundta hu!!!


Maine pucha chand se kay dekha ha kahee, meray yaar sa hasee(n).?
Chand ne kaha chandni ki kasam nahi, nahi, nahiiii...
Maine yeh hijaab tera dundha, haar jagay shabaab tera dundha.
Kaliyo se misaal teri puchi, phoolo mein jaawaab tera dundha.
Maine pucha baad se falak ho ya zamee(n), aaisa phool hai kahi?
baagh ney kaha haar kali ki kasaam, nahi, nahi, nahiiii...
Maine pucha Chand se...
Chaal hai kay moojh ki rawani, zulf hai ya raat ki kahani,
Hooth hai kay aainey kawaal kay, aankh hai kay ma'akado ki rani.
Maine pucha jaam se falak ho ya zamee(n) aaisa mai'a hai kahi?
Jaam ney kaha, mai'a kasheeki kasaam, nahi, nahi, nahiii....
Maine pucha chand se...
Khubsuraty jo tuney pa'aee, loot gayee khuda ki baas khudaee.
Mir ki ghazaal kaho tujhay main, ya kahu khayaam ki rubayee.
Main jo puchu shairo say, aaisa dil nashi, koi shair hai kowee?
Shayaar kahain shairee ki kasaam, nahi, nahi, nahiii...
Maine pucha chand se kay dekha ha kahee, meray yaar sa hasee(n).?
Chand ne kaha chandni ki kasam nahi, nahi, nahiiii...

Mast nazaro(n) se Allah bachaye, Maha-jamalo se Allah Bachaye.
Haar bala sar pe aajaye lakin, husn walo se allah bachaye..
Mast nazaro(n) se Allah bachaye, Maha-jamalo se Allah Bachaye.
Inki masoomiyat par na jana.
Inkay dhookay may hargis na ana.
Loot lay tay hain yeh muskura ker.
Inki chalo se allah bachaye.
Mast nazaro(n) se Allah bachaye, Maha-jamalo se Allah Bachaye.
Bholi surat hain baatey hain bholi...
Mu main kuch hain, magaar dil main kuch hain.
Lak chehara sahi chand jaisa.
Dil kay kalo se Allah bachaye.
Mast nazaro(n) se Allah bachaye, Maha-jamalo se Allah Bachaye.
Inki fitraat main hai bewafayee.
Jaanti hain yeh sari khudayee Achay acho ko detey hain dhoka.
Bhole bhalo se Allah bachaye.
Mast nazaro(n) se Allah bachaye, Maha-jamalo se Allah Bachaye.
Haar bala sar pe aajaye lakin, husn wala se allah bachaye..
 
Nusrat Fateh Ali.. A ghazal or love song with contemporary lyrics..."Beware of these killing beauties, for they will take your heart away."

Aur bhi cheezain bohat si lutt chukin hain dil kei saath.
Yeh batayaa doston nei ishq furmanei kei baad.
Ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon mein.
Ek tere aane se pehley ek tere jaane kei baad.

Khanjaar se karo baat, na talwaar say pucho...
Main Qataal huwa kaise, bas meray yaar se puchoo.

Hu main tujh se dur abhi, merzi ye meri nahi.
Gunjti hai(n) awaaz, aur dil mein bas surat teri
Hai(n) wajha'a tujh se dur rahai ne ki...
Daar lag ta hai, badnaam tu hona jaye kahee.
Ho shukarmand tu khuda ki, kay sab ko saat mera mil ta nahi...
Hai(n) jo Asad ab saat teray, to koi bhi bala tujhey chu sakti nahi 
Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aa'h bhethay.
Ho kay zameen ki khakh aasman se dil laga bhethay... 
Dil si cheez haai, dey nay ko haai to deday...magar koi kabeel bhi to ho.
Hum to jaan dey kay bhi khush haan, magar koi qateel bhi to ho. 
Chand raat ko sab dekhay,Hilal-e-Eid ko.
Ika hamara hi naseeba, hadiya turwa gaya.
Chaat pay hum thay chand kay nazaare mai khoway huwa...
Bas achanak chand ka abba wahan par aagaya. :) 
Ya rab dil-e-Asad main, ek zinda tamana hai.
Tu khuwaab kay piyaase ko tabir ka dariya de.
Is baar makaan badlu, to aaisi parosan ho...
Jo dil ko grama de aur roor ko taarpa de. 
Kaha ik falsaphi say ik ter-o-taza si aurat nay.
Hamari terha lambi umar mardo ki nahi hoti.
Ye sun kay falsaphi kuch muskuraya, aur bolo...
sabab yeh hai key aurat ki biwi nahi hoti. 
T.V kay ik, ik channel se ganoo ka dariya behata hai.
Ye zulm bichara Asad hi, bas apni jaan pay sahaita hai.
Ab raat ko sone se phelay, Papu Mummy se keta hai...
Meray samne wali kheerki main, ik chand ka tukra rahai ta hai. 
kaate nahi hai lamhe intazaar kay.
Nazaare jamaa kay bhethay hai raaste pay yaar kay.
Dil ne kaha, dekha jo jald-e-husane yaar kay...
Laya hai kon inko falak se autaar kay. 
Gaarcha pura musalmaan to nahi lakin.
Main apney din se rista to jo sakta hu.
Namaz-o-roza-o-hajj-o-zakat...
kuch na sahi, Shabay braat patakha to chor skata hu. 
sher dar'asal wohi hai, 'Hasrat',
jo sunte hi dil me utar jaae.
Mian Abdul Kuduus (Keyleywale)

Khudhi ko ker bulund itna, ke har taqdeer se phele
Khuda bande se puchay..."Bata Teri Raza Kya Hai."
by Allama Iqbal.

Yu Tho Syed bhi ho, Mirza bhi ho, Afghan bhi ho.
Tum sabhi kuch ho, batao kya musalman bhi ho.
by Allama Iqbal

Tu shaheen hai basera kar, Paharo kay chatano par.

Allama Iqbal
Zubaan-e-yaare maan turki. Wamaan turki nami da'num.
Unknown

Baazichaye Atfaal, hai Duniya meray aage. Hota subho roz, tamasha mera aage.
Ghalib

Sawale rang ne, dil hamara jeethi leya.
Log aurra tay hai maza, meri is dillagi ka.
Gore rang ka hai zamana, sawalay ka nahi.
Hum to wo pasand ker tay hai, JO Zamane Ko Nahi
Asad A.Rizvi (an awesome shayar)

Ye hakiqaat hai kay wo ta hai, aasar baato mein.
Tum bhi kuljao ge do char mulaqato mein.
Unknown

Teray waadey ne hamay, ghar se nikal ne na diya.
Log mausam ka maza ley gaye barsaato mein.
Unknown

Aus zulf pe phapti shab-e-dejur ki sujee
Andhay ko andheri mein bari dur ki sujee
Unknown

Is waqt to yun lagta hai, ke ab khuch bhi nahi hai.
Mehtab na suraj na andhera na sawera.
Aankhon ke darichon mein kisi husn ke chilman.
Aur dil ki panahon mein kisi dard ke dera.
Shakhon mein khayalon ke ghane paer ki shayad.
Ab aa ke kare ga na koi khuwab basera.
Mana ke yeh sunsaan ghari sakht kari hai.
Lekin mere dil yeh to faqat ik hi ghari hai.
Himmat karo jine ko to ik umr pari hai.
Himmat karo jine ko to ik umr pari hai.
Unknown

Ab meray pass tum aaie ho to kya aaie ho.
Meine mana ke tum ik paiker-e-ranaio ho.
Chaman-e-dehar mein, rooh-e-chaman aa'raie ho.
Talat-e-mehr ho, Firdaus ki bar naie ho.
Bin-e-mehtaab ho, gardun say utar aaie ho.
Mujh se mill ne mein ab andaish-e-ruswai hai.
Mein ne khud apne kiye ki ye sazaa paie hai.
Majaaz

*COMEDY*
Maazbani ka hai ye taqaza, ke mahamaan aaye to muskurado.
Lekin dil ye karta hai ke, Gale melo aur gala daba do.
Unknown

Zinda hai wo log jo maut se takrate hai.
Aare, murdo se baadter hai wo log jo maut se gabrate hai.
Unknown

Asad A.Rizvi
Baat karo na auski, jo mohabaat mein jhoot bole.
Dil tor ke mera kisi aur ke saang dole.
Asad A.Rizvi
Dost hi nahi merey aaseer hai.
Dushman bhi kahatey hai, ke aankhen hasin hai.
Unknown

Kamata nahi hu itni, kay tujh ko roz khilao.
Ati hai to aja, ya kisi aur ko pataoo.
Asad A.Rizvi
*This shair is for a very especial friend...*
Kon rakh ta hai yaad naamo ko,
logh chaharo ko bhool jatey hai,
tum samader kee baat karti ho,
logh ankho mein doob jatey hai,
Mohabat jisney ker ni ho.
wo mohabat kya janey,
Mera dil tumhi ab bhi chahata hai....
teray dil ko khuda jaanay!!,
Asad

(death)
TERI DUA SE KAZA TO BADAL NAHI SAKTI
MAGAR HAI IS SE YEH MUMKIN KE TU BADAL JAYE.
TERI DUA HAI KE HO TERI AARZOO POORI
MERI DUA HAI TERI AARZOO BADAL JAYE.
Although you can not change your destiny, you can change yourself.
The next line means that you should not keep any Aarzoos.
Allama Iqbal

chupake chupake raat din aaNsu bahaanaa yaad hai
humko ab tak, aashiqui ka, wo zamaanaa yaad hai  
 
Go Back                Go To Table of Content.