anam directory

a nazm a month: home page
bazm-e- Urdu: a forum for contemporary Urdu poetry
khazana-e- Urdu: a list of Urdu resources

ghazal

merey mohsinoN merey dostoN mujhey zindagi ki dua na do
maiN to pyar ke qaabil nahiN mujhey dil meiN itnee jagah na do

mujhey shauq-e-zeest na rahaa mujhey zindagi ne diya hai kya
maiN murooN yeh mujh ko haque to hai, maiN jiyuN yeh mujh ko sazaa na do

woh baney thay merey jo humsafar wohi chal diye mujhey chor keh
maiN jahaN se aaya hooN ghamzada, mujhey phir waheen se sadaa na do

is zindagi ki shaam ka, mujhey dar tha is anjaam ka
mujhey aik ansoo ki tarah kaheen aankh se tum giraa na do

ALMAS is dayaar meiN ik saya-e- diwaar maiN
maiN jo so gayaa hooN chain se mujhey neend se phir jaga na do.

The shayar of this poem is Steve Almas. He can be contacted by e-mail.