safey anam keh

anam : home page
a nazm a month: main page
bazm-e- urdu: return to bazm
khazaana-e- urdu: links to urdu resources

madhur swapn is by Harmohan Singh. This poem has a very good and liberal mix of both and Urdu and Hindi words.

The poet has been very successful in combining both Urdu and Hindi words, e.g. see the last line; "in tajveezoN par parihaas na karna." Both wordstajveez and parihaas doesn't stand out as words of two different language, rather they look like different flowers of same garden and their fragrance complimenting each other.

madhur swapan

Madhur swapn haiN wahi woh tum jin me aate ho,
Behoshi meiN sahi pyar to kar jaate ho.
Har shikwey, har giley kaa uttar paas tumhaarey,
Hairaani se taak rahe haiN chaand sitarey.
Shahad meri neendoN meiN priyatam ghol rahey ho,
Mun ko chhoo leta hai, jo kuchh bol rahe ho.
Un barsoN ki batoN ka anmol khazaana,
Liye yuheeN aksar merey sapnoN me aana.
Iss zariye se har ek uljhan chhaant sakeNgey,
Jo kuchh lamhey baaqi haiN woh baant sakeNgey.
Iss zariye se hum tum phir badnaam na hoNgey,
Duniya bhar ke hum tum par ilzaam na hoNgey.
Aoge to yeh bhi ek ehsaan rahega,
Nah aaye to yeh bhi ek armaan rahega.
Aas lagayee neendoN ko be aas na karna,
Meri in tajveezoN par parihaas na karna.

> > Harmohan Singh

madhur= meetha (sweet)
swapn= kHwaab
uttar= jawab (answer)
priyatam= mahboob
mun= dil
chhant= alaihada karna (to sort out)
tajveez= (suggestion)
parihaas= mazaaq urHana(to laugh about something)