to bharosa hai mujhay
by Bina

kabhi socha naH tha is moRh peH aa jaooN-gi
meray jiwan ki siyah ratoN se, daaman apna maiN chhuRhaa paooN-gi
kitnay toote huay sapnay,kai be-rang kHayaal
unheiN maiN joRh nayaa raNg bhi de paooN-gi
yaad-e-maazi se joH wahshat si mujhay hoti hai
uss aziyat se maiN kab tak nikal paooN-gi
toonay di aas,ummeedeiN haiN bandhai meri
hosla mujh ko diya, phir se haNsee kHwaboN ka

tu agar sath mera de to bharosa hae mujhay
maiN kahkashaN meiN sitaroN ko bhi chhoo paooN-gi
maiN dard-o-yaas ki duniya peH fatah paooN-gi
teray dil me teray jiwan meiN samaa jaooN-gi
tu agar sath mera de to bharosa hai mujhay


anam- pahla  safaH bazm- a forum for contemporary Urdu poetry khazana- a treasure for Urdu lovers write to kashif- the webmaster



October 3rd, 1997