Toor

Yahin ki thee muhabbat ke sabaq ki ibteda meine
Yahin ki jurrat-e-izhar-e-harfe-mudduaa meine
Yahin dekhe thay ishw-e-nazon andaaz-e-haya meine
Yahin pahle suni thee del dharkane ki sadaa meine

Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Dilon mein izdaham-e-aarzoo lab band rahate thay
Nazar se guftugu hoti thee dum ulfat ka bharate thay
Na mathay par shikan hoti, na jab tevar badalate thay
Khuda bhi bhee muskura deta thaa jab hum pyar karate thay

Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Woh kya aata ke goya daur mein jaam-e-sharab aata
Woh kya aata rangilee ragani rangin rabab aata
Mujhe ranginiyon mein rangane woh rangin sahab aata
Labon ki may pilane jhumata mast-e-shabab aata

Yahin kheto mein pani ke kinaro yaad hai ab bhi

Haya ke bojh se jab har qadam par laghzishen hoti
Fazan mein muntashar rangin badan ki larzishen hoti
Rabab-e-dil ke taron mein musalsil jumbishen hoti
Khifa-e-raaz ki purlutf baham koshishen hoti

Yahin kheo mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Bah jate thay baithe ishq ke zarri safinay mein
Tamannaon ka tufan karawaten leta tha seene mein
Jo chhu leta tha maine usko woh naha jata pasine mein
May-e-do aatisha ke se mazey aate thay jeene mein

Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Bala-e-fikre farda hamse koson door hoti thee
Surur-e-sarmadi se zindagi mamur hoti thee
Hamari khilwat-e-masoom rashke toor hoti thee
Mulik jhula jhulate thay ghazal-khwan hoor hoti thee

Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Na ab woh khet baqi hain na woh aab-e-rawan baqi
Magar us aish-e-rafata ka hai ik dhundhla nishan baaqi


Home: ANAM home page