SALAME    ISHQ    MERI    JAAN    ZARA    KABOOL    KARLO

Ishq Waalon se na punchho ki
unaki raat ka aalam tanahaa kaise guzarta hai
juda ho hamasafar jiska, wo usako yaad karta hai
na ho jiska koi wo milne ki fariyaad karta hai

Salaame-ishq meri jaan zara Kubool kar lo
tum hamse pyaar karne ki zara si bhool kar lo
mera dil bechain hai, mera dil bechain hai hamsafar ke liye

Main sunaon tumhein baat ik raat ki
chand bhi apani puri jawaani pe tha
dil mein tufaan tha, ek armaan tha
dil ka tufaan apani ravaani pe tha
ek baadal udhar se chala jhoom ke
dekhate dekhate chand par chha gaya
chand bhi kho gaya usake aagosh mein
uf ye kya ho gaya josh hi josh mein
mera dil dhadka, mera dil tadapa
kisi ki nazar ke liye
salaame-ishq meri jaan zara Koobul kar lo ...

Iske aage ki ab dastaan mujhse sun
sunke teri nazar Dabadaba jayegi
baat dil ki jo ab tak tere dil mein thi
mera daava hai honthon pe aa jayegi
tu masiha muhabbat ke maron ka hai
ham tera naam sunake chale aaye hain
ab dava de hamein ya tu de de zahar
teri mahafil mein ye diljale aaye hain
ek ehsaan kar, ehsaan kar,
ik ehsaan kar apne mehmaan par
apne mehmaan par ek ehsaan kar
de duaein, de duaein tujhe umr bhar ke liye
salaame-ishq meri jaan zara koobul kar lo ...