Agar guftagu ka aghaaz mein karta
 

Agar guftagu ka aghaaz mein karta
Jhiraktee bigartee magar maan jaatee
Jo mein barh kar us kay qadam rok leta
Woh paon patakhtee magar maan jaatee
Agar chund kaliyan usay paish karta
Woh daman jhataktee magar maan jaatee
Mein kehta "chalo sair tum ko karaon"
Akartee jhijhaktee magar maan jaatee
Jo mein us ko barhta galay sey laganey
Jhiraktee simattee magar maan jaatee
Jo mein husun ki us kay tareef karta
Woh bahain jhataktee magar maan jaatee
Woh meri shoukh batoon par khamosh rehtee
Dopatta katertee magar maan jaatee
Jo mein us ko takta ... zameen ko woh taktee
Angutha ragarhtee magar maan jaatee
Woh nazdeek aatee ... mein daman pakarta
Haya sey simattee magar maan jaatee
Jo peechay say aanchal ka phanda banata
Bohat tilmilaatee magar maan jaatee
Woh ghussay may jo mujh say naraaz hotee
Bikhartee taraptee magar maan jaatee
Jo ghairay may bahoon kay mein ghair leta
Bohat kasmasatee magar maan jaatee
Mein kehta keh parhnay ka choro bahana
Woh safhay palattee magar maan jaatee
Jo kehta keh "rahon pe chaliye sumbhal kar"
Uchaltee mataktee magar maan jaatee ....
 

 

Next >>

 

Home | Sign My Guest book  | My Hobbies | E-Mail | Free Education |  MP 3  |  Some Great Nazms
What is a Ghazal ? Shayari  | Pakistan some cool web sites |
  Mehfil-e-Ghazal |  Karachi |  Other Cities

Designed by Muhammad Aamir Khan