Kachchi Deewar hoon, Thokar na lagana mujhko


Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !


Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujko !


Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujko !


Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawaab poora jo na ho woh na dikhana mujko !


Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujko !


Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !


  Mein Teri yaad ko Dil se Mitata Kaisay?


Main teri yaad ko is dil say mitata kaisay
Tu koi rait par likhi hui tahreer naheen
Waqt kay saath jo mit jai, woh tasveer naheen
Main teri yaad ko is dil say mitata kaisay


Faaslay kitney hi paida, mere halaat karain
Door tujh say dil-e-Nashaad naheen ho sakta
Main teri yaad say azaad naheen ho sakta


Yaad phir yaad hai, tooti hui zanjeer naheen
Main teri yaad to is dil say mitata kaisay
Tu koi rait par likhi hui tahreer naheen


Dil hai seenay main dharakta hua, patthar to naheen
Yeh to khayalon ki tapish say bhi pighal jaata hai


Jab tasawwur main kabhi saamnay tu aa jaati hai
Teray milnay ko tarapta hai dil, bhoolta hi naheen
Bhool jaanay ki tujh ko koi tadbeer naheen


Main teri yaad ko is dil say mitata kaisay
Tu koi rait par likhi hui tahreer naheen


  Haai! Woh waqt-e-judaai ke hamare ansoo…

"Hakeem Nasir"


Haai! woh waqt-e-judaai ke tumhare ansoo...
Girr ke daman pe bane thay jo sitaare ansoo...


Laal-o-gauhar ke khazaane hai, ye sare ansoo
Koi aankho se churaa le na tumhare ansoo


Teri aankho mein agar ho, to Sitaare ansoo..
Meri aankho mein agar ho, to Be-chaare ansoo...


Inko "nasir" na kabhi aankh se girrne dena..
Un ko lagte hai, meri aankh mein pyaare ansoo...


  Tumko hum dil mein basa lenge

"Begum Mumtaz Mirza"

Tumko hum dil mein basa lenge tum aao to sahi...
Sari duniyaa se chupaa lenge, tum aao to sahi


Ek wada karo, aab humse na bichodege kabhi..
Naaz hum sare uttha lenge tum aao to sahi...


Ikhtalafaat bhi mitt jaainge reafta-rafta..
Jis tarha hoga nibhaa lenge, tum aao to sahi...


Be-wafa bhi ho, sitamgar bhi, Jafa-pesha bhi....
Hum khuda tumko banaa lenge, tum aao to sahi...


Yu to har simt, nazar utthti hai tareeki hai....
Pyaar ke deep jalaa lenge, tum aao to sahi...


Dil ki veeraano se ghabraa ke na moo ko modo...
Bazm ye phir se saja lenge.. tum aao to sahi...


  Barbaad Mohabbat Ka

Barbaad Mohabbat ka, Jub haal Suna hoga,

Dil todne wale ka, kyaa haal huwa hoga…

 

Nafrat hi sahi dil mein, Lekin teri mehfil mein…

Ek mere na hone se, toofaan uttha hoga…

 

Kyon tark-e-talluk ka, ilzaam mujh hi par hai

Kuch teri khataa hogi, kuch jurm mera hoga…

 

Ye dair-o-haram wale, dushman hai mohabbat ke…

Aye dard ke maare chal, Maikhaana khula hoga..


  Mein Is Umeed Pe Dooba

"Waseel"

Mein is umeed pe dooba ke tu bachaa lega

Aab iske baad mera imtehaan kyaa lega

 

Mein bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaaoonga

Koi charaagh nahi hoon ke phir jalaa lega

 

Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liya

Jo be-amal ho Wou badla kisi se kya lega

 

Mein us ho nahi sakta, bataa na dena usse

Lakeere(n) haatho ki apni wou sab jalaa lega

 

Hazaar tod ke aa jaao us se rishta "waseel"

Mein jaanta hoon, wou jab chaahega, bulaa lega …


  Rait pe likh ke mera naam, mitaaya na karo

"Mohsin"

Rait pe likh ke mera naam mitaya na karo

Aankhe sach bolti hai, pyaar chupaaya na karo

 

Log har baat ka afsana bana lete hai…

Sabko halaat ke roodaad sunaya na karo

 

Ye zaroori nahi, har shaks maseeha hi ho

Pyaar ke zakhm amaanat hai(n), dikhaaya na karo!

 

Shehar-E-Ahsaas mein, pathraaw bahot hai(n) "Mohsin"

Dil ko sheeshay ke jharokho(n) mein sajaya na karo..


  Khelne ke Waaste

"Muraad"

Khelne ke waaste, aab dil kisi ka chahiye

Umr aisi hai ke tumko ek khilona chahiye…

 

Mujhse kahiye haath mein mehndi lagana hai agar…

Khoon-e-dil doon ya ke phir, khoon-e-tamanna chahiye

 

Bazm mein aao kisi din kar ke tum solha singaar…

Ek qayaamat waqt se pehlay bhi aani chahiye…

 

Tum kaho to marr bhi jaao mein magar ek shart hai…

Bas kafan ke waaste, aanchal tumhara chahiye

 

Kal talak thaa dil zaroori raah-e-ulfat mein "Muraad"

Aaj ke is daur mein, chaandi-o-sona chahiye…


  Mumkin ho aapse, to bhulaa deejiyea mujhe

"Shehzaad"

Mumkin ho aapse, to bhulaa deejiyea mujhe..

Patthar pe hoon lakeer, mitaa deejiyea mujhe

 

Har roz mujhse taza shikaayat hai aapko…

Mein kya hoon, ek baar bataa deejiyea mujhe

 

Mere siwaa bhi hai koi mauzoo-e-guftgoo…

Apna bhi koi rang dikhaa deejiyea mujhe

 

Mein kya hoon, kis jagha hoon, mujhe kuch khabar nahi..

Hai(n) aap itni door, sadaa deejiyea mujhe…

 

Ek maine apne jurm ki tash`heer jaan-ba-jaan…

Mein maanta hoon jurm, sazaa deejiyea mujhe..

 

Qaayam to ho sake koi rishtaa gohar ke saath

Gehray samandaro(n) mein bahaa deejiyea mujhe….

 

Shab bhar kiran kiran ko tarasne se fayada?

Hai teergi to aag lagaa deejiyea mujhe…

 

Jalte dino(n) mein khud pas-e-deewaar baithkar…

Saye ki justjoo mein lagaa deejiyea mujhe

 

"Shehzaad" yu to sholaa-e-jaan sard ho chuka

lekin bhadak utthoo(n) to hawaa deejiyea mujhe…


  Log Kehtay hai ke

 

Log kehtay hai ke um tumse kinaara kar le..

Tum jo keh do to sitam ye bhi gawaara kar le..

 

Aab to phir tumse mulakaat nahi hone ki

Mil bi jaao to koi baat nahi hone ki

 

Aakhiri baar faqat zikr tumhaara kar le…

Tum jo keh do to sitam ye bhi gawaara kar le…

 

Aakhiri baar khyaalo mein la lei(n) tumko

Aakhiri baar kalejay se lagaa le tumko…

 

Aur phir apne tadaapne ka nazaara kar le..

Tum jo keh do to sitam ye bhi gawaara kar le…


  Achcha tu karam

"Farosh"

 

Achcha tu karam hum pe aye saiyaad kare hai…

Par noch kar aab qaid se azaad kare hai…

 

Aye baad-e-sabaa unse ye keh deejiyo jaakar

Pardes mein ek shaks tumhe yaad kare hai…

 

Aawe hai teri yaad to hans dewe hai aksar…

Deewaana tera yu bhi tujhe yaad kare hai..

 

Farzaana ujjaade hai bhare shehro(n) ko lekin…

Deewaana to sehraa ko bhi abaad kare hia…

 

Likh-likh ke mitaa dewe hai, tu naam ye kiska…

Sach kahiyo farosh, aaj kise yaad kare hai


  Mein Maajraa-E-Chaman

 

Mein Maajraa-E-Chaman kyaa karoo bayaan saiyaad….

Khuli hai kunj-e-kafas mein, meri zubaan saiyaad

 

Udaas dekh ke mujhko chaman dikhaata hai..

Bahot dino mein huwa hai, mizaajdaa(n) saiyaad…

 

Dikhaaya kunj-o-kafas humko aab-o-daane ne..

Wagarna daam kaha, hum kaha, kaha saiyaad…

 

Paro(n) ko khol de zaalim jo qaid karta hai..

Kafas ko le ke mein udd jaaoonga kaha saiyaad…


 Dum labo(n) par aa gaya…

 

Dum labo(n) pe aa gaya, jeenay ke laale pad gaye

Jab se hum aye shaam-e-furkat, tere paale padd gaye…

 

Chain se dum bhar na baithaa, ashiyaane mein kabhi..

Mere peechay jab se ye, gulzaar wale padd gaye..

 

Aye kamar aab tak na aaya koi kaasid laut kar..

Likhte-likhte khat unhe, haatho mein chaale padd gaye..

 

Aur kya rota bhalaa mein intezaar-e-yaar mein..

Putliyaa pathraa gayee, aankho mein jaale padd gaye..


  Arzoo ye hai..

"Akbar Allahbadi"

 

Arzoo ye hai ke nikle dum tumhaare saamne…

Hum tumhaare saamne ho, tum hamaare saamne….

 

Katl kar dalo hume ya jurm-e-ulfat baksh do

Lo khade hai haath baandhe, hum tumhaare saamne…

 

Aab ye be-baaki, who din yaad hai jab chup gaye…

Aa gaya jab koi naamo-haram tumhaare saamne…


  Kuch Chuneeda Ashaar

 

  Na dena kabr ko mitti mitti, Lehad tak hi chale aana…

Mein khud dab jaaoonga zer-e-zameen, is baar-e-ahsaan se..

 

  Ek naam kya likhaa tera saahil ki rait par…

Phir umr bhar hawa se meri dushmani rahi

 

  Hikaarat se na dekhe ahl-e-saahil, ahl-e-toofaan ko..

Kabhi aisa bhi hota hai, kinaare doob jaate hai…

 

  Aayaa hi thaa khyaal ke ansoo chalak gaye..

Aansoo kisi ki yaad ke kitne kareeb thay..

 

  Yu hi tanhaai mein, hum dil ko saza dete hai,

Naam likhte hai tera, likh ke mitaa dete hai…

Aab tasalli bhi nahi dee jaati hai mareez-e-dil ko..

Dekhne wale bhi marrne ki duaa karte hai…

 

  Tamaam ped jalaakar khud apni raaho mein…

Ajeeb shaks hoon, saye talaash karta hoon…

 

  Padaa kuch waqt aisa, gardish-e-aiyaam se..

Zindgi sharmaa rahi hai zindgi ke naam se….

Is se badh ke dost duniyaa mein koi hota nahi….

Sab judaa hote hai lekin, gham judaa hota nahi.

 

  Chahaa thaa unhe, rooh ki gehraaiyo(n) ke saath,

Zinda hoon apni zaat ki tanhaaiyo(n) ke saath…

Roka nahi thaa usko bichaadne ke waqt bhi…

Apni wafa pe naaz thaa, sachchaaiyo(n) ke saath.

 

  Maine masoom bahaaro mein tujhe dekha hai

Maine pur-noor sitaaro mein tujhe dekha hai…

Mere mehboob teri parda-nasheeni ki kasam

Maine ashko ki kataaro mein tujhe dekha hai

 

  Wahi mehsoos karte hai khalish dard-e-mohabbat ki…

Jo apne aap se badhkar kisi ko pyaar karte hai..

 

  Sab ek nazar dekh ke badh jaate hai aage..

Mein waqt ke bazaar mein chup-chaap khadaa hoon…

Ek aaina thaa jo kabhi kamre mein sajaa thaa…

Aab girr ke jo tootaa hoon, to raste mein padaa hoon…

 

  Mujhe gham nahi hai iska, ke badal gaya zamaana

Tum zindgi ho meri, kahi tum badal na jaana…

 

  Mere daaman mein to kaanto ke siwa kuch bhi nahi…

Aap phoolo(n) ke khareedaar nazar aate hai…