Ghazals by Qateel Shifaai

  Sadma to hai mujhe bhi


Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon mein
Lekin ye sochta hoon, Ke aab tera kyaa hoon mien


Mein Khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf
Apne Badan ki kabr mein, Kab se Gadhaa hoon mein


Kis kis ka naam laao Zubaan par ke tere saath
Har roz ek shaks naya Dekhta hoon mien


Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam
Duniyaa Samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon mein


Le mere Tajrubo(n) se sabak, aye mere raqeeb
Do-Chaar saal umr mein, Tujhse bada hoon mien


Jagaa huwa zameer woh aiyeena hai "Qateel"
Sone se pehlay roz, jise dekha thoon mein


  Tu ne ye phool jo, zulfo(n) mein sajaa rakha hai...

 

Tu ne ye phool jo, zulfo(n) mein sajaa rakha hai..

Ek diya hai jo andhere mein jala rakha hai

 

Jeet le jaai, koi mujhko naseebo wala...

Zindgi ne mujhe daavo pe laga rakha hai...

 

Jaane kab dil mein koi jhaankne wala aa jaai...

Is liye maine, girebaan khula rakha hai...

 

Imtehaan aur mere zabt ka tum kya loge...

Maine dharkan ko bhi, seenay mein chupaa rakha hai...

 

Dil thaa ek shola, magar beet gaye din woh qateel,

Aab kuredo na isse, raakh mein kya rakha hai...


  Mein Samandar bhi hoon

 

Mein samandar bhi hoon, Moti bhi hoon, Gauta-zan bhi…
Koi bhi naam mera le ke bulaa le mujhko!


Tune dekha nahi aainay ke aagay kuch bhi…
Khud-parasti mein kahi tu na gawaa de mujhko!


kal ki baat aur hai, mein aab sa rahoon, Ya na rahoon…
Jitna jee chaahe tera, aaj sata le mujhko!


Khud ko mein baant na daloo(n) kahi Daman-Daman
Kar diya tune agar, mere hawaale mujhko!


Baa`dah phir baa`dah hai, mien zehar bhi pee jaao "Qateel"
Shart yeh hai, koi baaho(n) mein sambhaale mujhko!


  Jo bhi Ghuncha


Jo bhi ghuncha tere hontho(n) pe khila lagta hai
Who meri Tangi-e-damaan ka gilaa lagta hai…


Dair se aaj mera sar hai tere zaano pe…
Ye wooh rutba hai, Jo shaaho(n) ko mila karta hai…


Mein to baithaa hoon, Dabaai huwe Toofaano(n) ko…
Tu mere dil ki dharkan ka gilaa lagta hai..


Raat yo chaand ko dekha hai nadee mein raks`aan…
Jaise jhoomar tere maathe-pa-hilaa lagta hai…


Kaun kaafir, mujhe Ilzaam-e-Tagaa`ful dega
Jo bhi karta hai, Mohabbat mein Gilaa Karta hai


  Ye Mojzaa bhi mohabbat kabhi dikhaai mujhe

 

Ye Mojzaa bhi mohabbat kabhi dikhaai mujhe

Ke sang tujh pe gire, aur chot aai mujhe

 

Mein apne paao tale, raund`taa hoon saye ko

Badan mera hi sahi, dopehar na bhaai mujhe

 

Mein ghar se teri tamanna pehan ke jab nikloo

Barhana shehar mein koi nazar na aai mujhe!

 

Who mera dost hai, saare jahaan koi hai maloom

Daghaa kare who kisi se to sharm aai mujhe..

 

Mein apni zaat mein neelaam ho raha hoon "qateel"

Gham-e-hayaat se keh do, khareed laai mujhe…


  Tum poocho aur mein na bataao

 

Tum poocho aur mein na bataao, aise to halaat nahi

Ek zara sa dil toota hai, aur to koi baat nahi

 

Kisko khabar thee, saawle baadal bin barse udd jaate hai..

Sawan aaya lekin apni kismat mein barsaat nahi

 

Mana jeewan mein aurat, ek baar mohabbat karti hai

Lekin mujhko ye to bataa de, kyaa tu aurat zaat nahi

 

Khatm huwa aab mera afsaana, aab ye ansoo phch bhi lo..

Jis mein koi tara chamke, aaj ki rat wooh raat nahi

 

Meri ghamgeen hone par ahbaat hain yu hairaan "qateel"

Jaase mein patthar hoon, mere seenay mein jazbaat nahi…


  Apne haatho ki lakeero mein basaa le mujhko…

 

Apne haatho ki lakeero mein basaa le mujhko…

Mein hoon tera, naseeb apna banaa le mujhko

 

Mein jo kaanta hoon, to chal mujhse bachaa kar daaman…

Mein ho gar phool, to jooday mein sajaa le mujhko..

 

Mein khule dar ke kisi ghar ka hoon samaan pyaare

Tu dabe paao, kabhi aa ke churaa le mujhko…

 

Tark-e-ulfat ki kasam bhi koi hoti hai kasam

Tu kabhi yaad to kar, bhoolne wale mujhko…

 

Mujhse tu poochne aaya hai wafa ke maane

Ye teri sada-dili maar na daale mujhko..


  Mein apna umr bhar ka chain

 

Mein apna umr bhar ka chain jab us dar pe chod aaya

Mili hai tab kahi jaa kar zari si ba- kasi mujhe..

 

Mein who gulshan-gazeeda hoon ki tanhaai ke mausam mein

Nahi hote agar kaante to dasti hai kali mujhko

 

May-rangee aankho ko ye kaisa husn bakshaa hai..

Ke jaisi hi koi soorat nazar aai bhali mujhko..

 

Mohabbat thee usse lekin mera iflaas jab dekha

Pareeshaa si nazar aai, who naazo ki pali mujhko…

 

"Qateel", aabaad janb ghar thaa to kya mujh par kahee ghazle

ye tana jaate-jaate de gaye, ek dil-jali mujhko…


  Tere gale mein agar motiyo ki mala hai

Tere gale mein agar motiyo ki mala hai

Ye soch kisne makaan apna bech dala hai

 

Hamesha jhooth hum aapas mein bolte aaye

Na tere dil mein, na teri zubaan pe chaala hai

 

Jo sabne dekh liya mien bhi usko dekh sakoo

Koi bataai who kis rang ka ujaala hai

 

Kitaab-e-umr na chupaa saka mein aaj tak..

Ke har baras pe tera naam ka hawaala hai..

 

Nahi zaroor ke ho pyaar ek baar "qateel"

Ye meetha rog kayee baar humne pala hai..


  Namaa`bar apna hawaao ko banaane wale

 

Namaa`bar apna hawaao ko banaane wale

Aab na aainege palat kar kabhi jaane wale

 

Kyaa milega mujhe bikhre huwe khwaabo ke siwaa

Rait par chaand ki tasveer banaane wale..

 

Mai`kade band huwe, dhoondh raha hoon tumko..

Tu kaha hai mujhe aankho se pilaane wale..

 

Kaash le jaate kabhi maang kar aankhe meri,

Ye musawwir meri tasveer banaane wale..

 

Tu is andaaz mein kuch aur haseen lagta hai

Mooh se mooh pher ke ghazle meri gaane wale…


  Sabne pehna thaa bade shauk se kaagaz ka libaas…

 

Sabne pehna thaa bade shauk se kaagaz ka libaas…

Jis kadar log thay baarish mein nahaane wale..

 

Adal ke tum na hume aas dilaao…

Katl ho jate hai, zanzeer hilaane wale…

 

Kisko hogi yeyhaan taufeek-e-anaa mere baad…

Kuch to socho mujhe soolhi pe chadhaane wale…

 

Marr gaye hum to ye katbe pe likhaa jaaiga…

So gaye aap zamaane ko jagaane wale…

 

Dar-o-deewaar pe hasrat si barasti hai "qateel"

Jaane kis des gaye pyaar nibhaane wale…


  Thoda sa gham-e-tark-e-talluk

 

Thoda sa gham-e-tark-e-talluk hai mujhe bhi

Sharminda jo tu hai to hai nidaamat hai mujhe bhi..

 

Mein teri tarha dil ko samajhta nahi sheesha

Warna ishi duniyaa se shikyaat hai mujhe bhi…

 

Mein bhi hoon is hi daur ka sehmaa huwa insaan…

Thode se tabassum ki zaroorat hai mujhe bhi…

 

Jab zakhm lage, raks ke andaaz mein tadpoo(n)…

Qatil ki taraf se ye hidaayat hai mujhe bhi

 

Faarig ho to aa jaao zara pyaar hi kar le…

Kuch roz se is khel ki fursat hai mujhe bhi…


  Rachi hai rat-jago ki chaandni jinki jabeeno mein…

Rachi hai rat-jago ki chaandni jinki jabeeno mein…

"Qateel" ek umr guzri hai hamaari in haseeno mein..

 

Who jinke aanchalo se zindgi takhleek hoti hai..

Dhadaakta hai hamra dil abhi tak un haseno mein…

 

Zamaana paar`saai ki hado se hum ko le aaya…

Magar hum aaj tak bhi ruswaa hai apne hum nasheeno mein…

 

Talaash unko hamari to nahi poocho zara unse…

Who kaatil jo liye phirte hai khanjar aasteeno mein…

 

Sukoonat baar ban jaai buniyaad-e-rafeekat par,

Makaan takseem ho jaate hai khud apne makeeno mein…


  Meharbani se agar pesh bhi aai kuch log

 

Meharbani se agar pesh bhi aai kuch log

Dhoop mein lipte huwe de gaye saaye kuch log…

 

Mein ne awaaz uthaai thee riwaazo ke khilaaf

Barchiyaan lekar gharo se nikal aai kuch log

 

Jab who bach nikla to pani mein mujhe phaink diya..

Kood kar maine jo dariyaa mein bachaai kuch log..

 

Kaam ke log watan mein bhi nahi thay kam`yaab…

Phir bhi kuch logo(n) ne baahar se mangaai kuch log..

 

Baarhaa maine jawaani ke chauraaho mein "Qateel"

Pe ke apna hi lahoo jhoomte paai, kuch log…


  Wafa ke sheesh-mehal mein saja liya hai maine…

 

Wafa ke sheesh-mehal mein saja liya hai maine…

Wuh ek dil jise patthar bana liya maine…

 

Ye sochkar ke na ho taak mein khushi koi..

Ghamo ki ot mein sab khud ko chupaa liya maine…

 

Kabhi na khatm kiya maine roshnii ka mujaaz..

Agar chiraag bujhaa, dil jala liya maien…

 

Kalaam ye hai ke dushman pe jo chalaana thaa…

Wuh teer apne kaleje pe khaa liya maine…

 

"Qateel" jiski adaa wat men ek pyaar bhi thaa…

us aadmi ko gale se laga liya maine


  Koi makaam-e-Sukoon raaste mien aaya nahi…

 

Koi makaam-e-Sukoon raaste mien aaya nahi…

Hazaar peid hai lekin kahi bhi saya nahi…

 

Bhatak rahe hai abhi tak musaafir`aane wisaal…

Tere jamaal ne koi diya jalaaya nahi…

 

Bikhar gaya hai khila mein kiran-kiran hokar…

Who chaand jo kisi pehloo mein jag`magaaya nahi..

 

Ujjad gaya thaa kisi zal-zale mein shehar-e-wafa

Na jaane phir usse humne bhi kyon basaya nahi…

 

"Qateel" kaise katengi ye dopehar gham ki…

mera naseeb mein un gaysoo(n) ka saya nahi…


  Yu lage yaar! Tera mujh se judaa ho jana…

 

Yu lage yaar! Tera mujh se judaa ho jana…

Jis tarha phool ka khushboo se judaa ho jana..

 

Ahl-e-dil se ye tera tark-e-taaluk

Waqt se pehlay aseero ka rihaa ho jana..

 

Ye agar ho to jahaan mein koi kaafir na rahe…

Moujza! Tere wade ka wafa ho jana…

 

Zindgi mein bhi chaloonga tere peechay peechay

To mera dost ka naqsh-e-kaf-e-paa ho jana

 

Jaane who kaunsi kaifiyat-e-gham khwaari hai…

Mere peete hi "Qateel" usko nashaa ho jana…


Chand Ashaar’s

 

  Do-Chehragi

Who sabke dil mein base, ban ke Aitbaar-e-Wafa

Ye ek khaas adaa, Be-Misaal hai uski

Nazar kisi ki tarf, aur dil kisi ke saath

Ajab Siyaasat-e-husn-e-Jamal hai Uski

 

  Tehkik (khoj)

Simat saka na kabhi Zindgi ka phailaav

Kahi bhi khatm, gham-e-aashiqui nahi hota

Nikal hi aata hai koi na koi gun`jaayish

Kisi ka pyar kabhi aakhiri nahi hota

 

  Character

Us se bichday huwe, to ek zamaana beeta…

Lekin is baat se, Takleef mujhe hoti hai

Kar gayee jiske liye, Tarq-e-talluk mujhse

Paa liya usko, to aab mere liye rotee hai….

 

  Dilaasa

Yakeenan ye anhokah haadsa hai..

Ke hum milte hi phir se bant gaye hai..

Kasak si reh gayee hai dil mein lekin

Chalo kuch din to achchay kat gaye hai…

 

  Kabr-e-Anaa

Uski haseen raato ka jo le sake hisaab

Kehti hai who abhi koi paidaa nahi huwa..

Ya usne dil kisi ko diya hi nahi abhi

Ya uska aaj tak koi shaidaa nahi

 

  Tareekan

Haasil raha ho jo tark-e-sukoonat se peshtar

Sabne who imtiyaaz bhi apna gawa diya

Laalach mein hirniyaan kisi dariyaa mein jaa basee

Aur machliyo ne dasht mein maskan bana liya