Allama Iqbal
Mitaa de apni hasti ko agar kuch martaba chaahe
Ke daana khaak mein mil kar gul-e-gulzaar hota hai


line1.gif (286 bytes)

  1. Sahib-e-imroz
  2. Reh guzar
  3. Khird
  4. Kaza
  5. Musalmaan
  6. Directed to Allah
  7. Bahaara
  8. Mohabbat ka junoon
  9. Ishq ke imtihaan
  10. Nukta-e-sulaiman
  11. Kaafir aur Musalmaan
  12. Dil
  13. Maikhaane
  14. On Muslims
  15. Majnu ne shahr choda hai
  16. Nukta-e-tawheed
  17. Parinde ki faryaad
  18. Saaqi
  19. Azaad bande
  20. KharadmandoN
  21. Na tu zameeN ke liye
  22. Nasheman
  23. Mohammed se vafa
  24. Haqeeqat se khabardar
  25. Khudaa kaa Farmaan
  26. Lab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii

Sahib-e-imroz

  1. Wahi hai saahib-e-imroz (today's master) jis ne apni mehnat se
    Zamaane ke samundar se nikaala gohar-e-fardaN (tomorrows pearl)

Reh guzar

  1. Tu abhi reh guzar mein hai qaid-e-makaam se guzar
    Misar(Egypt)-o-hijaaz se guzar, paares(Paris)-o-shaam se guzar

    [It means that don't confine yourself to any one particular place, you
    are in a proccess/transit of learning and therefore visit different places
    without desire reward.]

  2. Jis ka amal hai be-gard, us ki jaza kuch aur hai
    Hur-o-khayam se guzar, baadh-o-jaam (wine) se guzar

    [One who does deeds without the desire of janat (hur & wine), he will get
    higher rewards. Although he will also get both the things, but do things
    without keeping these points in mind.]

  3. Tera imaam be-huzoor, teri namaaz be-suroor
    Aisi namaz se guzar, aise imam se guzar

Khird

  1. Khird (dimaag) ke paas khabar ke siwa kuch aur nahi
    Tera ilaaj nazar ke siwa kuch aur nahi

    [This is referred to Allah that our brains have nothing but
    information about you. But if we could see you then all the problems
    of believing would be solved.]

  2. Har makam se aage makaam hai tera
    Hayaat zoq-e-safar ke siwa kuch aur nahi

    [Always keep travelling in search of new goals because life is nothing
    but a pleasurous journey.]

  3. GiraN baha (costly price) hai to hifz-e-khudi (preservation of self) se hai warna
    Gohar mein aab-e-gohar ke siwa kuch aur nahi

    [A pearl is just a drop of water which has preserved itself in a shell.
    It is because of this preservation ability that it is so costly or else
    it is just a drop of water. It implies that one should guard his khudi
    to become valuable in the sight of others.]

Kaza

  1. Teri dua se kaza to badal nahi sakti
    Magar hai is se yeh mumkin ke tu badal jaye.

    [Although you can not change your destiny, you can change yourself.]

  2. Teri dua hai ke ho teri aarzoo poori
    Meri dua hai teri aarzoo badal jaaye.

Musalmaan

  1. Hum mashriq ke musalmaano ka dil maghrib mein jaa atka hai
    Waha kuntar (glass) sab billori (crystal) hai, yaha ek puraana matka hai

  2. Is daur mein sab mit jaayenge, haN baaqi woh reh jaayega
    Jo qaayam apni raah pe hai, aur pakka apni hut (maqsad) ka hai

  3. Ay! Sheikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-baseerat (witnessers) kehte hai
    GardoN (storms) ne kitni bulandi se un qaumo ko de patka hai.

    [People have witnessed the doom of great empires, kingdoms and kings. So those
    countries who are off track are bound to face annihilation.]

Directed to Allah

  1. Ghaisoo-e-taabdaar (lustrous hair) ko aur bhi taabdaar (lustrous) kar
    Hosh-o-khird shikar kar qalb-o-nazar shikar kar.

    [Its implied meaning is that Allah make your signs more & more powerful.
    Make my mind & heart your captive such that they are used only for your
    purpose.]

  2. Ishq bhi ho hijaab mein husn bhi ho hijaab mein
    Ya tu khud aashkaar (visible) ho ya mujh ko aashkar kar

    [My origination is also unseen (unknown) and you are also unseen.
    Either you make yourself visible or make my purpose of origination clear.]

  3. Baag-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyon
    Kaar-e-jahaaN daraz hai ab mera intezaar kar

    [Why did you ask me to leave the garden of paradise. Now, I am so busy with the
    activities of this world, that I am not willing to come back to you.]

  4. Roz-e-hisaab jab mera pesh ho daftar-e-amal
    Aap bhi sharmsaar ho, mujh ko bhi sharmsaar kar

    [When my book of deeds is bought in the open on the day of judgement, it will bring
    shame to both you and me.]

Bahaara

  1. Mumkin hai ke tu jisko samajhta hai bahaara
    AuroN ki nigaaho mein ho mausam woh khizaaN ka

  2. Shayad ke zamiN hai woh kisi aur jahaN ki
    Tu jisko samajhta hai falak apne jahaN ka

Mohabbat ka junoon

  1. Mohabbat ka junoon baki nahi hai
    Musalmaano mein khoon baki nahi hai

  2. SafeN kaj, dil pareshan, sajda bezook
    Ke jazba-e-androoN baki nahi hai

  3. RagoN mein lahu baki nahi hai
    Woh dil, woh aawaaz baki nahi hai

  4. Namaaz-o-roza-o-qurbaani-o-haj
    Yeh sab baki hai tu baki nahi hai

Ishq ke imtihaan

  1. Sitaro se aage jahaan aur bhi hai
    Abhi ishk ke imtihaan aur bhi hai

  2. Tahi (only yours) zindagi se nahi yeh fizaae
    Yaha saikdooN kaarvaaN aur bhi hai

  3. Kina'at (contentment) na kar aalam-e-rang-o-bu par
    Chaman aur bhi, aashiyaan aur bhi hai

  4. Agar kho gaya ek nasheman to kya gham
    Makaamat-e-aah-o-fagaaN (weeping and crying) aur bhi hai

  5. Tu shaheen hai parwaaz hai kaam tera
    Tere saamne aasmaaN aur bhi hai

  6. Isi roz-o-shab mein ulhaj kar na reh jaa
    Ke tere zamaano-o-makaaN (destinations) aur bhi hai

  7. Gaye din ki tanha tha mein anjuman mein
    Yaha ab mere razdaan (confidantes) aur bhi hai

Nukta-e-sulaiman

  1. Hai yaad mujhe nukta-e-sulaiman-e-khush ahang
    Dunya nahi mardaan-e-jafakash ke liye tang

    [I still remember the words of Suleman, the (man) with good voice
    that "the world is not small for a hardworking person", he can get work
    anywhere.]

  2. Cheetah ka jigar chahiye shaheen ka tajassus
    Jee sakta hai be-roshni daanish-o-farhang

    [You need the housla (courage) of a cheetah and good research like the
    falcon. (The falcon sees its prey on land far-away from the sky, because
    of its research/finding/study of the land). And if u have these two qualities
    then you can survive (live) without the light of intelligence and understanding.]

  3. Kar bulbul-o-taoos ki takhleed se tauba
    Bulbul fakat awaaz hai, taoos fakat rang

    [Do not imitate the bulbul or the peacock. As bulbul has nothing but good
    voice, and peacock has nothing but good color. Yyour inner self is more
    important.]

Kaafir aur Musalmaan

  1. Pooch us se ke maqbool hai fitrat ki gavaahi
    Tu saahib-e-manzil hai ke bhatka huwa rahi

  2. Kaafir hai musalmaaN to na shahi na fakiri
    Momin hai to karta hai fakiri mein bhi shahi

  3. Kaafir hai to shamseer (sword) pe karta hai bharosa
    Momin hai to be-tegh (sword) bhi ladta hai sipaahi

  4. Kaafir hai to taab-e-taqdeer musalmaaN
    Momin hai to woh aap hai taqdeer-e-ilaahi

Dil

  1. Dil zinda-o-bedaar (alert) agar ho to ba-tadreej (gradually)
    Bande ko ata karta hai chashme-nigraaN (way to look) aur

    [If your heart is alive and alert then gradually Allah gives his banda
    different ways (perspective) to look at things.]

  2. Alfaz-o-maani mein tafawat (difference) nahi lekin
    Mullah (religious person) ki azaaN aur, mujaahid (holy warrior) ki azaaN aur

    [The mullah and the mujaahid both utter the same words Allah-O-Akbar,
    but there is a difference in the forcefulness of each.]

  3. Parwaaz hai dono ki isi ek fizaaN mein
    Karghaz (vulture) ka jahaN aur hai, shaheen (falcon) ka jahaaN aur

    [The vulture and the falcon fly in the same sky, but both have different
    ways of living. A vulture eats carrion while a falcon preys. So which is more
    majestic and awesome.]

Maikhaane

  1. Bahut dekhe hai maine mashriq-o-maghrib ke maikhaane
    Yaha saqi nahi paida, wahaN be-zook (tasteless) hai sehba (wine)

    [I have visited numerous wine-houses in the east as well as west.
    Here I find no saqi and there the wine has no taste.]

  2. Na iraN mein rahe baaki, na turaaN mein rahe baaki
    Woh bande fikr tha jin ka hilaak qaisar-o-kasra

    [Neither in Iran nor in Turkey there remains the like of those who could
    conquer the two thrones (qaisar-o-kasra)]

On Muslims

  1. Sar shak(tears)-e-chashm(eyes)-e-muslim mein hai nesaaN ka asar paida
    Khalilullah (Moses) ke darya mein hoNga phir gohar (pearl) paida

    [Iqbal says, I see the tears in the eyes of muslims which shows that
    they are begining to realise themselves. The magnitude of tears are
    compared to nesaaN (month of rain).]

  2. Agar usmaaniyoo (Turks) par koh-e-gham toota to kya gham hai
    Ke khoon-e-sad hazaar anjum (stars) se hoti hai sehr paida

    [Usmaaniyoo are the turks who were very strong at one time. In Urdu it is
    referred to as the Daur-e-Usmaaniyaa, in English, the Great Ottoman Empire.
    Iqbal says, so what if they were defeated. The day breaks only after the death
    of a hundred-thousand stars (ie. after the passing away of the night).]

  3. Hazaaro saal nargis (a flower) apni benoori (blindness) pe roti hai
    Badi mushkil se hota hai chaman mein deeda-e-war (intellectual) paida

    [Nargis is a name of a white flower, which has the shape of an eye.
    So, although it has the shape of an eye, it does not have vision, therefore
    it is called benoori. But the sheyr, just means that it really takes a long
    long time, only after which one deeda-war (intellectual, gehri nazar rakhne-wala,
    daana) is born.]

  4. Noha (sorrow) paida ho, ae! bulbul, ke ho tere tarannum (melody) se
    Kabootar ke tan-e-nazuk (weak body) mein shaheeN ka jigar paida

    [Here Iqbal is refering to himself, as a bulbul, and is saying that
    Iqbal brings so much sorrow in his shairs, that even a weak pigeon gets
    the daring of a falcon. (It refers to weak muslims)]

Majnu ne shahr choda hai

  1. Majnu ne shahr chhoda hai sahra bhi chhod de
    Nazaare ki hawas ho to Laila bhi chhod de
    Majnu has renounced the world, let him renounce the wilds too
    If he seeks the vision sublime (God), let him forsake Laila too

  2. Waaiz kamaal-e-tarq se milti hai yaaN muraad
    Duniya jo chhod di hai to uqba bhi chhod de
    Complete self surrender, priest, is the price of the goal
    Abandon too the world to come (Uqba), not this world alone

  3. Taqlid ki rawish se to behtar hai khud kashi
    Rasta bhi dhoondh, Khizr ka sauda bhi chhod de
    Suicide is better than servile imitation,
    Go, find your own path, look not for a Khizr
    [Khizr is a person referred to in the Quran, who was highly
    knowledgeable (even more knowledgeable than the prophets who lived
    during his times), and who also lived an extraordinarily long life.]

  4. Shabnam ki tarah phoolon pe ro aur chaman se chal
    Is bagh mein qayaam ka sauda bhi chhod de
    Weep like dew over the flowers then quit the grove
    Give up the idle dream of a permanent stay

  5. Saudaagri nahin, yeh ibaadat Khuda ki hai
    Ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhod de
    It's not dealing, but it is worship divine
    Eschew, ye ignorant, even the hope of reward

  6. Achha hai dil ke saath rahe pasbaan-e-aql
    Lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhod de
    Good, if reasoning of the mind controls the heart
    But let it (heart) have it's own way, once in a while

  7. Jeena woh kya hai jo ho nafas-e-ghair par madaar
    Shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhod de
    'Tis no life that sustains/depends itself on others
    Give up dependence on life of earthly fame

  8. Waiz sabut laae koi mai ke jawaaz mein
    Iqbal ko yeh zid hai ke peena bhi chhod de
    Should the priest produce evidence against the wine
    Iqbal too will pledge to give up drinking

Nukta-e-tawheed

  1. BayaaN mein nukta-e-tawheed aa to sakta hai
    Tere dimaag mein but khaana ho to kya kahiye

    [You can speak of tawheed (belief in the unity of God), but what to say
    about the shirk (setting up partners in worship with God) that you have at
    the back of ur mind.]

  2. Makam-e-fakr (darwaish) hai kitna buland shaheen (royalness) se
    Ravish (attitude) kisi ki gadaayana (katoora) ho to kya kahiye

    [The position of a fakir, darwaish is higher than that of a king. But, what to
    say about a fakir who has taken up the attitude of asking for money.]

Parinde ki faryaad

  1. Aata hai yaad mujhko guzraa huwa zamaana
    Woh baag ki bahaare woh sab ka chechahana

  2. Azaadiyaa kaha woh ab apne ghosle ki
    Apni khushi se aana, apni khusi se jaana

  3. Lagti hao chot dil par, aata hai yaad jis dam
    Shabnam ke aasuoo par kaliyoo ka muskuraana

  4. Woh pyaari pyaari surat, woh kaamini si murat
    Aabad jis ke dam se tha mera aashiyaana

  5. Aati nahi sadaayee us ki mere kafas (cage) mein
    Hoti meri rihaahi ay kaash mere bas mein

  6. Kya bad-naseeb hoo mein ghar ko taras raha hoon
    Saathi to hai watan mein, mein kaid mein pada hoon

  7. Aayi bahaar, kaliya phoolo ki has rahi hai
    Mein is andhere ghar mein kismat ko ro raha hoon

  8. Is kaid ka ilaahi, dukhda kise sunaoo
    Dar hai yahee kafas mein, mein gham se mar na jaooo

  9. Jab se chaman choota hai yeh haal ho gaya hai
    Dil gham ko kha raha hai, gham dil ko kha raha hai

  10. Gaana ise samajh kar khush ho na sunnewale
    Dukhe huwee diloo ki faryaad, yeh sada hai

  11. Azaad mujh ko kar de oh qaid karne wale
    Mein bezoobaa hoon qaidi, mujhe chod kar dua le

Saaqi

  1. Nasha pila ke giraana to sab ko aata hai
    Maza to jab hai ke girto ko thaam le saaqi

  2. Kahi khaali pyaale hai kahi saaGhar (wine) labaalab hai
    Yeh kya daur hai saaqi, yeh kyaa taqseem (distribution) hai saaqi

Azaad bande

  1. Tere azaad bandon ki na yeh duniya na woh duniya
    Yaha marne ki paabandi vahaan jeene ki paabandi

KharadmandoN

  1. KharadmandoN (intellectuals) se kya poocho ke mera ibtada (beginning) kya hai
    Ke mein is fiqr mein rehtaa hooN mera intehaa (end) kya hai

  2. Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
    Khuda bande se khud pooche, bataa teri razaa kya hai

Na tu zameeN ke liye

  1. Na tu zameeN ke liye hai na aasmaaN ke liye
    Jahaan hai tere liye tu nahi jahaaN ke liye

  2. Nishaane raah dikhaate the jo sitaaroN ko
    Taras gaye hai kisi mard-e-raahdaaN ke liye

Nasheman

  1. Nasheman par nasheman is qadar taamir karta jaa
    Ke bijli girte girte aap khud bezaar ho jaaye

Mohammed se vafa

  1. Ki Mohammed se vafa tune to hum tere hai
    Yeh jahaaN cheez hai kya loh-o-qalam tere hai

Haqeeqat se khabardar

  1. Tu agar apni haqeeqat se khabardaar rahe
    Na siyaah roz rahe phir na siyaahkaar rahe

  2. Gaafil na ho khudi se kar apni paasbaani
    Shayad kisi haram ka tu bhi hai aashiyaana
  1. Dil sauz se khaali hai nigaah paak nahi hai
    Phir isme ajab kya ke tu bebaak nahi hai

Khudaa kaa Farmaan

uTTho merii duniyaa ke Gariibo.n ko jagaa do
Khaak-e-umaraa ke dar-o-diivaar hilaa do
[Khaak-e-umaraa = palace of rich people]

garmaao Gulaamo.n kaa lahuu soz-e-yaqii.n se
kunjishk-e-phiromaayaa ko shaahii.n se la.Daa do
[soz-e-yaqii.n = warmth (passion) of belief/faith]
[kunjishk-e-phiromaayaa = ; shaahii.n = falcon]

sultaanii-e-jamahuur kaa aataa hai zamaanaa
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaye miTaa do
[sultaanii-e-jamahuur = rule of the people]
[naqsh-e-kuhan = old structures (ways/traditions)]

jis khet se dahaqaa.N ko mayassar nahii.n rozii
us Khet ke har Khoshaa-e-gundam ko jalaa do
[dahaqaa.N = farmer; mayassar = available/get]
[Khoshaa-e-gundam = ear of wheat]

kyo.n Khaaliq-o-maKhaluuq me.n haayal rahe.n parde
piiraan-e-kaliisaa ko kaliisaa se haTaa do

[Khaaliq = creator; maKhaluuq = creation]
[piiraan-e-kaliisaa = church officials]

mai.n naaKhush-o-bezaar huu.N mar_mar ke silo.n se
mere liye miTTii kaa haram aur banaa do
[mar_mar = marble]

tahaziib-e-navii.n kaar_gah-e-shiishaagaraa.N hai
aadaab-e-junuu.N shaayar-e-mashriq ko sikhaa do
[tahaziib-e-navii.b = new culture; kaar_gah-e-shiishaagaraa.N =
factory of glass makers]
[shayaar-e-mashriq = poets of the East]

Lab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii

lab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii
zindagii shammaa kii surat ho Khudaayaa merii

duur duniyaa kaa mere dam se a.Ndheraa ho jaaye
har jagah mere chamakane se ujaalaa ho jaaye

ho mere dam se yuu.N hii mere vatan kii ziinat
jis tarah phuul se hotii hai chaman kii ziinat

zindagii ho merii paravaane kii surat yaa rab
ilm kii shammaa se ho mujh ko muhabbat yaa rab

ho meraa kaam Gariibo.n kii himaayat karanaa
dard_mando.n se za_iifo.n se muhabbat karanaa

mere allaah buraa_ii se bachaanaa mujh ko
nek jo raah ho us raah pe chalaanaa mujh ko

[ziinat = decoration/enhancing the beauty of; ilm = knowledge]
[himaayat = sympathize; za_iif = old/infirm/weak]

line1.gif (286 bytes)

Home