Sahir Ludhianvi
Duniya ne tajrubaat-o-havaadis ki shakl mein
Jo kuch mujhe diya hai lauTa raha hoo mein

line1.gif (286 bytes)

  1. AndhereN
  2. Kabhi kabhi
  3. Faraar
  1. AndhereN

    1. Kuch aur badh gaye andhereN to kya huwa
      Maayoos to nahi hai tulu-e-sehr (dawn) se hum

    2. Le de ke apne paas fakat ek nazar to hai
      Kyo dekhe zindagi ko kisi ki nazar se hum

    3. Maana is zameeN ko na gulzaar (garden) kar sake
      Kuch khaar (thorns) kam kar gaye, guzre jidhar se hum

    Kabhi kabhi

    Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai....

    Ke zindagi teri zulfoo ki narm cha'aoo mein
    Guzarne paati to shaadaab (delightful) ho bhi sakti thi
    Yeh teergi (darkness) jo meri zist (life) ka muqaddar hai
    Teri nazar ki sha'aoo (rays, beams) mein kho bhi sakti thi

    Ajab na tha ke mein begana-e-alam ho kar
    Tere jamaal (beauty) ki re'naaiyoo (delicacies) mein kho rehta
    Tera gudaaz (well-mixed) badan teri neem-baar (half open) aankhe
    Inhee haseen fasaanoo mein mahoo (engrossed) rehta

    Pukaarti mujhe jab talkhiyaa (bitterness) zamaane ki
    Tere labo (lips) se halaawat (sweetness) ke ghoont pi leta
    Hayaat cheekhti phirtee barhana-sar (uncovered head), aur mein
    Ghaneri zulfoo ke saaye mein chup ke ji leta

    Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
    Ke tu nahi, tera gham, teri justajoo bhi nahi
    Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise
    Isse kisi ke sahaare ki aarzoo bhi nahi

    Na koi jaadah (small/narrow) manzil, na roshni ka suraagh
    Bhatak rahi hai khalaaoo (tunnels) mein zindagi meri
    Inhi khalaaoo mein reh jaooNgaa kabhi kho kar
    Mein jaanta hoon meri humnafas, magar yoohi

    Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai....

    Faraar

    Apne maazi (past) ke tasaavoor se hiraasa (troubled) hoon mein
    Apne guzre huwe ayyaam (days) se nafrat hai mujhe
    Apni bekaar tamanaaoo pe sharminda hoon mein
    Apni be-sood (useless) umeedoo pe nidaamat hai mujhe

    Mere maazi ko andhere mein daba rehne do
    Mera maazi meri zillat ke siwa kuch bhi nahi
    Meri umeedoo ka hasil meri kaavish (research) ka sila
    Ek benaam aziyat (torment) ke siwa kuch bhi nahi

    Kitni bekaar umeedoo ka sahara le kar
    Maine aiwaan (palace) sajaaye the kisi ke khaatir
    Kitni be-rabt (unfulfilled) tamanaoo ke mabham (hidden) khaake (sketches)
    Apne khwaaboo mein basaaye the kisi ke khaatir

    Mujh se ab meri mohabbat ke fasaane na poocho
    Mujh ko kehne do ke maine unhe chaaha hi nahi
    Aur woh mast nigaahe jo mujhe bhool gayi
    Maine un mast nigaahoo ko saraaha (approved) hi nahi

    Mujh ko kehne do ke mein aaj bhi jee sakta hoon
    Ishk nakaam sahi, zindagi nakaam nahi
    Un ko apna-ne ki khawaaish, unhe paane ki talab (thirst, yearning)
    Shauk bekaar sahi, sa'i-gam (to be sad) anjaam nahi

    Wahi ghesoo wahi nazar wahi aarij (lips) wahi jism
    Mein jo chahoo ke mujhe aur bhi mil sakte hai
    Woh kawal (lotus) jin ko kabhi un ke liye khilna tha
    Un ki nazroo se bahut door bhi khil sakte hai

    line1.gif (286 bytes)

Home