Sorry, but the page or the file that you're looking for is not here.
Sponsors

Magic 21 -
Free card game. For each "21" you make, you could win up to $4,999 in cash!
Go try your hand ยป
|
||
Meri Passand Eid kay mao'zoo per Ashaar jo her ik kay dilli Jazbaat ki tarjumani kertay hain |
||
|
Eid Bin Dhaikhay usay ya Rabb yeh Eid na guzray
Ker paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzray Duniya ko dikhaya hay, ik chand jo too nay Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray Steve Almas |
|
|
Rasm-e-duniya Bhi hay..... Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb
Jin kay dam say ham bhi hain aour hay hamaari Eid bhi Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand Eid aayi hay musarat ki payami ban ker Woh musarat jo teri deed say wabasta hay Eid ka din bhi shab-e-matam hay meray wastay Jis khushi main woh na aaye woh khushi achi nahein Iss Eid par bhi mil na sakay ham to kaya hooa jazbon main jo khaloos to Eidain hazar hain Phir aa gayi hay Eid magar dill udas hay Khushiyon ki hay naveed magar dill udas hay Eid kay din na sahi Eid kay kuch ba'ad sahi Eid to ham bhi manayein gay teri deed kay ba'ad Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko Tumhari yad par qurban ker diya main nay Un kay abroo-e-khameeda ka tarah teekha hay Apni aankhon main barhi daer chubha Eid ka chand Ghairon main hay jo shad usay Eid mubarak Ham jis ko nahein yaad usay Eid mubarak Khat main likha tha Eid kab hogi Ham ko tareekh likh kay bhijwayein Choonkeh jhagrha tha iss liye ham nay Likh diya Aap jabb bhi aa jayein Aaj kay din saaf ho jata hay dill aghiyar ka Aao mill lo Eid, yeh maoqa nahein takraar ka Khoob roya main lipat kar gham-e-tanhai say Koi bhi aa kay galay say na laga Eid kay din Meray aangan main dabay paaon naye rog liye sall kay sall koi Eid chali aati hay Kab tery milnay ki taqreeb bana Eid ka chand Teri yaad aayi to dekha na gaya Eid ka chand Dekha hilal-e-Eid to aaya tera khiyal Woh Asman ka chand hay to mera chand hay Kuch musarat mazeed ho jaye Iss bahanay say Eid ho jaye Eid milnay jo aap aa jayein Meri bhi Eid, Eid ho jaye Moyasar jin ko apnay doston ki deed hoti hay Jo sach poocho to duniya main unhi ki Eid hoti hay Kitni palkon say fizaon main sitaray tootay Kitnay afsanon ka unwan bana Eid ka chand Chand jab aaya nazar uss bam par Rashk aaya apni her ikk sham par Eid ka din hay galay aaj to mil lay zaalim Rasm-e-duniya bhi hay, maoqa bhi hay dastoor bhi hay Yeh Eid kay pakwan ka kuch aisa asar hay Mehboob ki zulfain bhi lagti hain sawayan |
|
404 - Page Not FoundSorry, but the page or the file that you're looking for is not here.Sponsors![]() Magic 21 - ![]() |
||
|