Aap Ke Zaoq ki Taskeen ke liye
Taskeen-e-Samaaat ke Rang
|
![]() Get Sponsored
Kitne tanhaiyon ne zulm dhaye hain
Toor ke pas ho ga na unka jawab
Apne hathon se hi aaj chun lijiye
Ab to hone laga raat ka kuch guman
Kitni viranian theein mare her taraf
Rooth ker ja rahi thei meri zindagi
Jhank lati he jhat besharam chandani
Ham ne ALMAS qadmon ki her chaap per
Izhare khiyal ke liye likhiye![]()
Khuda ne ajab cheez aourat banai
Kahein per mohabat ka paker he yeh
Kahein husn ka he yeh shahkar bhi
Kabhi tapta sehra balla ka he yeh
Kabhi he yeh fitna kharabat ka
Kabhi doobte ka sahara bane
Yeh chahe to nadiyon ka rukh maorh de
Kabhi chand taron bhari rat yeh
Yeh shahon ke tajon ki zeenat rahi
Yeh maan, Behn, beti ke rishte ka maan
Mohabat ki taza kahani bhi he
Dharhakte dilon ki hararat bhi he
Hanse to baharon ka maosam bane
Wajood is ka he to phir he kainat
Mohabat main tan man ki qurbani de
Haya ki mujasam yeh tasweer he
Kabhi rat main chandani ka saroop
Jo sar charh ke bole talisam he yeh
Nasha zindagi ka adda dilruba
Agar koi ALMAS ise piyar de
|