Sorry, but the page or the file that you're looking for is not here.
Sponsors

Magic 21 -
Free card game. For each "21" you make, you could win up to $4,999 in cash!
Go try your hand »
|
|||||||||||||
FAIZ AHMED FAIZFaiz nay aik naya madrisa-e-shairi qa'im kiya. Unhon nay jis baseerat afroz ahsas, khaloos-o-fankarana chabakdasti say ishqia wardat ko doosray aham samaji masa'il say mutaeliq kerkay paish kiya, yeh Urdu ki Ishqia shairi main bilkul aik nai cheez thi aour qabil-e-qadr thi. ( Firaq Gorakhpoori ) Ahd-e-hazir kay shairon main Faiz tanha shair hay jo tasawrat say khalis husn ka aik dikash ba'hisht paida kerna chahata hay, laikin jis nay husn aour rooman kay sunehri pardon kay uss par haqeeqat ki aik jhalak bhi daikh li hay ( N. M. Rashid ) Faiz ki shairi main angraizi adab kay aik khushgawar asar, jadeed insan kay zahan, aour Aishiai tehzeeb kay qabil-e-qadr anasar ki aik qaos-o-qaza jalwa gar hay. ( Professor Aal Ahmed Saroor ) |
|||||||||||||
![]() |
|||||||||||||
Na ginwao nawak-e-neem kash dil raiza raiza ganwa diya Jo bacahy hain sang samaot lo tan-e-dagh dagh luta diya Meray chara gar ko naweed ho saf-e-dushmanan ko khabar karo Jo wo qarz rakhtay thay jaan par wo hisab aaj chuka diya karo kaj jabeen pay sar-e-kafan meray qatilon ko gum'an na ho Keh gharoor-e-ishq ka banmpan pas-e-mergh ham nay bhula diya Udhar aik harf keh kushtani yahan lakh uzr tha guftani Jo kaha to sun kay urha diya jo likha to parh kay mita diya Jo rukay to koh-e-giran thay ham jo chalay to jaan say guzar gaye Rah-e-yaar ham nay qadam qadam tujhay yadgaar bana diya ( Dast-e-teh-e-sang ) __________________________________________ Teray gham ko jaan ki talash thi teray jaan nisar chalay gaye Teri rah main kertay thay sar talab sar-e-rahguzar chalay gaye Teri kaj adayi say haar kay shab-e-intizar chali gayi Meray zabt haal say rooth kar meray ghamgusaar chalay gaye Na sawal-e-wasl, na arz-e-gham, na hikaitain na shikaitein Teray ahd main dil-e-zar kay sabhi akhtiyar chalay gaye Yeh hamein thay jin kay lubas par sar-e-rah siahi likhi gayi Yehi daagh thay jo saja kay ham sar-e-bazm-e-yaar chalay gaye Na raha janoon-e-rukh-e-wafa, yeh rasan yeh daar karogay kiya Jinhain jurm-e-ishq pay naaz tha woh gonah gar chalay gaye ( Dast-e-teh-e-sang ) July 1959. ________________________________________ KHUDA WOH WAQT NA LAAYE Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho too Sakoon ki neend tujhay bhi haraam ho jaye Teri musarat-e-paiham tamam ho jaye Teri hayat tujhay talkh jaam ho jaye Ghamon say aai'na-e dil gudaaz ho tera Hajoom-e-yaas say baitaab ho kay reh jaye Wafoor-e-dard say seemab hokay reh jaye Tera shabaab faqat khwaab ho kay reh jaye Gharoor-e-husn saraapa niaz ho tera Taweel raton main too bhi qaraar ko tarsay Teri nigah kisi ghamgusaar ko tarsay Khazan raseeda tamana bahar ko tarsay Koi jabeen na teray sang-e-aastan pay na jhukay Keh jins ajz-o-aqeedat say tujhay shaad karay Faraib-e-wahda-e-farda pay ahtmad karay Khuda woh waqt na laye keh tujh ko yaad aaye Woh dil keh teray liye beqarar ab bhi hay Woh aankh jis ko tera inteaar abb bhi hai ( Naqsh Fariyadi ) ________________________________ |
|||||||||||||
404 - Page Not FoundSorry, but the page or the file that you're looking for is not here.Sponsors![]() Magic 21 - ![]() |
|||||||||||||
404 - Page Not FoundSorry, but the page or the file that you're looking for is not here.Sponsors![]() Magic 21 - ![]() |
|||||||||||||
404 - Page Not FoundSorry, but the page or the file that you're looking for is not here.Sponsors![]() Magic 21 - ![]() |
|||||||||||||
|
|||||||||||||
|
|||||||||||||
|