taraana-e- kHizaaN

- Firaq Gorakhpuri



yuk lakHt badalti hui aalum ka samaN chal

ik aag lagayi hui larzaaN va tapaN chal

jaati hui dunia-e-chaman ki nigraN chal

aati hui raNginiyoN sey jalwaH fishaN chal

ai baad-e-kHizaaN, baad-e-kHizaaN, baad-e-kHizaan chal

ai baad-e-kHizaaN chal

gHunche ko chaman meiN jo chatakna ho chatak ley

jiss rang ko gulshan meiN chamakna ho chamak ley

gar husn-e-gulistaN ko damakna ho to damak ley

kuchh din kamar-e-baad-e-bahaari lachak ley

ai baad-e-kHizaaN, baad-e-kHizaaN, baad-e-kHizaan chal

ai baad-e-kHizaan chal

badmastiyoN ka daur guzar jai, guzar jaaye

barg-o-gul va sabzaH ka charHa nasha utar jaaye

yeh bazm-e-chaman soo-e-adam kHaak basar jaaye

sheeraazaH-e-gulzaar bikhar jaaye, bikhar jaaye

ai baad-e-kHizaaN, baad-e-kHizaaN, baad-e-kHizaaN chal

ai baad-e-kHizaaN chal

phooloN ke chiragHaaN ko bujha dey to bujha dey

aatey hi gulistaaN meiN ik andher machaa dey

har phool ko ik nikhate-e-barbaad bana dey

gulzaar ka gulzaar lutaa dey to lutaa dey

ai baad-e-kHizaaN, baad-e-kHizaaN, baad-e-kHizaan chal

ai baad-e-kHizaaN chal

arbaab-e-chaman ko kafan-e-kHaak urHati

baaleedgi har zarrey meiN aati hai chhupati

tu marg-e-nibataat hai to rooh-e-nibaati

ya jaan-e-namo mauj-e-fana ban ke hai aati

ai baad-e-kHizaaN, baad-e-kHizaaN, baad-e-kHizaan chal

ai baad-e-kHizaaN chal




a nazm a month

khazana-e-urdu

bazm-e-urdu