Dil haseen hai to mohabbat bhi haseeN paida kur!
by jigar muradabadi
pahle to husn-e-aml, husn-e-yaqeen paidaa kur
phir isie khaak sey firdaus-e-barieN paidaa kur
yehi duniyaa keH jo butkHanaH bani jaati hai
iss butkHane se kaabe ki zameeN paidaa kur
rooh-e- aadam nigraN kab-sey hai teri jaanib
uTh aur aik junnat-e-jaaved yahiN paidaa kur
kHas-o-khashake tawahum ko jalaa kar rakh de
yaani aatishkadaa soz-e- yaqeen paidaa kur!
gHum mayasser hai to issko gHum-e-kunain banaa
dil haseeN hai to mohabbat bhi haseeN paidaa kur
aasmaan markaz-e- takHayyul va tassavvur kab tak
aasmaaN jiss se kHajil ho woh zameeN paidaa kur [kHajil=
sharminda, ashamed]
dil ke her qatraH meiN tufaan-e- tajjalli bhur de
batan her zarre se ek mahr-e- maheiN paidaa kur
bandagi yuN to her insaan ki fitrut lekin
naaz jiss per karieN sijdey woh jabiN paidaa kur
pasti-e-kHaak peH kub tuk teri bebaal wa pari
phir muqaam apnaa sar-e-arsh bareiN paidaa kur!
ishq hi zindaH va pabandaH haqiqat hai jigar
ishq ko aa'm banaa, zauq-e- yaqeen paidaa kur
|
|
|
![]() |