Diwaali

by Nazeer Akbarabadi

[1740-1830]




Diwali ; also known as Deepawali literally means rows of lamps. It is usually celebrated after the rainy season on a moonless night. On this dark night people light candles and earthen lamps outside their house to symbolise the victory of light (power of knowledge) over darkness (ignorance). [ tamso maa jyotirgamya]. Laxmi , the goddess of wealth is worshiped in Diwali. People gamble this night to get Laxmi (money) but more often than not they lose and for them Diwali becomes Diwaala. --- Kashif






har aik makaaN meiN jalaa phir diyaa diwaali ka
har aik taraf ko ujaala huaa diwaali ka
sabhi ke dil meiN samaaN bha gayaa diwaali ka
kisi ke dil ko mazaaH kHush lagaa diwaali ka

ajab bahar ka hai din banaa diwaali ka

jahaaN meiN yaaroN, ajab tarah ka hai yeH tyohaar
kisi ne naqad liya aur koi karay hai udhar
khilaunay, khaliyoN, bataasoN ka garam hai bazaar
har aik dukaaN meiN charagHon ki ho rahi hai bahar

sabhoN kofikr hai ja ba ja diwaali ka

miThaiyoN ki dukaneiN lagaa ke halwaai
pukartay haiN keH "lala ! Diwaali hai aai"
bataasay lay koi, barfi kisi nay tulwaai
khilaunay waloN ki unn say zyadaaH ban aai

goya inhoN ke waaN raaj aa gayaa diwaali ka

sirf haraam ki koRhi ka jin ka hai byopar
unhonay nay khaaya hai iss din ke wastay hi udhaar
kahay haiN haNs ke qarz-kHwah se har aik, aikbaar
"diwaali aai hai, sab de chalayeNgay ai yaar

kHuda ke fazal se hai aasra diwaali ka"

makan laip ke, TheliyaaN jo kori rakhwaai
jalaa chiraagH ko, koRhi woH jald jhankai
asal juaari thay, unn meiN to jaan si aai
kHushi se kood uchhal kar pukartay, "O bhai!

shagun pahlay karo tum zaraa diwaali ka"

kisi nay ghar ki hawali giro rakha haari
jo kuchh thi jins muyassar, bana bana haari
kisi nay cheez kisi ki chura chhupa, haari
kisi nay gaThari paRhosan ki apni laa hari

yeH haar jeet ka charcha paRha diwaali ka

jahaaN meiN yeH diwaali ki sair hoti hai
to zar se hoti hai, aur zar bagHair hoti hai
jo haaray, unn peH kHarabi ki fair hoti hai
aur unn meiN aan ke jin jin ki kHair hoti hai

to aaRhay aata hai unn ke diyaa diwaali ka

yeh baateiN sach hain, naH jhooT inn ko janiyoN yaaro
nasihateiN haiN, inhay dil meiN ThaaniyoN yaaro
jahaaN ko jaao, yeh qissa bakhaniyo yaaro
jo juaari ho, naH buraa uss ka maniyo yaaro

NAZEER aap bhi hai juaariya diwaali ka


anam- pahla  safaH bazm- a forum for contemporary Urdu poetry khazana- a treasure for Urdu lovers write to kashif- the webmaster