yaad-e-tiflee

[ memories of the childhood]

by Durga Sahay "sarvar jahanabadi"

[ Dec. 1873- 30 Dec. 1910]



< font size="=+1">the meaning of some difficult words will appear when the whole page including the background downloads, so be patient and enjoy the nazm.



kidhar gayaa ? aah ! mera bachpan, nijaat thi jab gHam-e-jahaaN sey
naH dil tha hasrat kash-e-tamanna, naH thi zabaaN aashnaa fugHaaN sey

[ kash= to tolerate, fughaaN= faryaad, nalaaH]

kahaaN gayi woH bahar-e-tiflee? kidhar gaye woH nishaat ke din?
gulaab ka saayaH mera chehra, naH zard tha jab gHam-e-kHizaaN sey

[ nishaat= happiness, zard= pale, kHizaaN= Fall season ]

kabhi tha koyal ka hum-nawaa maiN, kabhi tha maiN hum-sarod-e-qumri
chaman meiN karta tha chheRh pahroN meiN jaa ke murgHan-e-kHushnawa sey

[ hum-nawaa= speaking the same language, sarod-e-qumri= music that makes dead come alive ,murgHan-e-kHushnawa= melodious bird]

maiN dil meiN kHush tha, keH gaa rahi hai meri muhabbat ka yeH taraanaH
khulaa naH tha raaz-e-ishq-e-gul ka jo mujh ko bulbul ki daastaN sey


bahut dinoN hum-safeer tera rahaa hooN bachpan ki sohbatoN meiN
hazaar nagHmey suna kiya hooN maiN O papihey! Teri zabaan sey

[ safeer= voice of the bird ]

kabhi shigufoN ko chumta tha, kbhi tha kaliyoN ko pyar karta
nisaar maiN bhi tha, aah bulbul ! ada-e-gul per hazaar jaaN sey

[ shigufaH= flower buds]

bahaaiN kaagHaz ki maiN-ne naaveiN, bahut lab-e-joo bana bana ker
baras gayi koyi Thandi Thandi jhaRhi jo savan ki aasmaN sey

[ lab-e-joo= river banks]

phisal ke sabzey peH, terey pichhey maiN qawas! doRha kiya hooN aksar
keH jaisey chhuTey kHa-dang-e-kHara shigaaf koi kaRhi kamaaN sey

[ qawas= rainbow, kHa-dang-e-kHara= a small arrow]

kabhi tamanna keH chaand ko maiN ghar apnay laooN bana ke mehmaaN
kabhi yeH hasrat, keH toRh laooN maiN jaa-ke taarey ko aasmaN sey


woH shauq- afza ajab thi rateiN, maiN jab uchakta tha toRhney ko
agarcheH oonchey bahut sitaarey thay dast-o-baazoo-e-natawaaN sey

[ natawaaN= weak in strength]

kabhi jo aainey maiN yakayak, nazar paRhi mujh ko apni soorat
rahaa hooN pahrooN maiN mahw-e-hairat keH pyaari shakl aai yeH kahaaN sey

[ mahw-e-hairat= in a state of amazement]

laboN peH bachpan ki kya naH aayegi ab woH maasoom muskarahaT?
aodhey alfaaz ai jawani ! woH kya naH nikleNgey ab zabaaN sey?


naseem deney ko mujh ko lori naH shaam-e-furqat meiN aayegi kya?
jigar ke TukRhey uRheNgey kab tak hawaa meiN aah-e-sharar fishaaN sey?

[ furqat= loneliness, aah-e-sharar fishaaN= sighs of sparks]

butoN ke teer-e-nazar ka zakHmi naH tha, kHusha rozgaar-e-tiflee !
naH laag shah-rag ko neshtar sey, naH chheRh pahloo ko thi sinaaN sey

[ laag= affinity, shah-rag= blood vein, neshtar= sharp tool, sinaaN= spear]

naH dil ko fikar-e-ma'sh ka gHam, naH marg-e-ahbaab ka tha maatam
lahoo ke aansooN kabhi naH raatoN ko thay rawaaN chashm-e-kHoon fishaaN sey

[ ma'sh= livelihood, marg= death]

naH thi giraaN baari-e-mashaagHil, naH thi yeH pabandi-e-alaaiq
aseer-e-zanjeer-e-gHam naH tha maiN, nijaat thi shorish-e-jahaaN sey

[ mashaagHil= workload, alaaiq= territories, aseer= prisoner, shorish= noise]

mera hinDola tha arsh-e-aazam, merey khilauney thay chaand sooraj
utaar lata tha jaa ke taarey zameeN peH raatoN ko aasmaN sey

[arsh-e-aazam= the great sky]

mera ghironda tha mera aangan, ussi meiN mehmaaN tha mera bachpan
tujhey bulayaa tha kiss ney zaalim shabaab ! tu aa gaya kahaaN sey?

[ shabab= youth]

rahey jo tu ai shabab mehmaaN ba-eeN gHam-o-ranj va yaas va hirmaaN
nahiN hai yeH bhi mujhey tawaqqo tilism-e-nairang-e-aasmaN sey

[ yaas= sadness, hirmaan= hopelessness]

abhi hai tera afshaar baaqi , abhi buRhapa hai aaney wala
falak ko lena abhi hai badley bahut sey ik juzw-e-natawaaN sey

[ afshaar= squeezing (nichoRhna), juzw= a part]

hazaar jhagRhey haiN zindagi ke, hazaar duniya keH haiN bakheRhey
SARWAR ! sadmey uTheiN to kyuN ker uTheiN yeH ik musht-e-natawaaN sey

[ musht= a small thing ( zara si cheez)]


anam- home page bazm- a forum for contemporary Urdu poetry khazana- treasure for Urdu lovers write to the creator of this site


As always your comment and suggestions are welcome- kashif