Dil bhii karataa hai yaad chhup ke tujhe
Dil bhii karataa hai yaad chhup ke tujhe
Naam leti nahi zubaan tera..
Kii se poochonga mein khabar teri
Kaun batlaaiga, nishaan tera..
Teri Ruswaaiyo(n) se darrta hoon,
Jab tere shehar se guzarta hoon
Haal-e-dil bhi na keh sakaa gar`che
Tu rahi muddato(n) kareeb mere
Tum mujhe Chod ke chali bhi gayee…
Khair kismat meri, naseeb mere
Aab mein kyon tujhko yaad karta hoon!
Jab tere shehar se guzarta hoon…
Vo Zamaana teri mohabbat ka…
Ek bhooli huwi kahani hai
Kis tamanna se tujhko chahaa thaa…
Kis mohabbat se haar maani hai
Apni Kismat pe naaz karta hoon,
Jab tere shehar se guzarta hoon
Na Shikaayate(n) na Gilaa Kare!
Na Shikaayate(n) na gilaa Kare,
Koi aisa shaks huwa kare!
Jo mere liye hi sajaa kare!
Mujh hi se baate(n) kiya kare…
Kabhi roye jaae voh be-panah,
Kabhi be-tahaasha udaas ho,
Kabhi chupke chupke dabe qadam,
Mere peechay aa ke hansaa kare
Meri Qurbate(n) meri Chaahate(n)
Koi yaad kare qadam-qadam
Mein Taveel safar mein hoon agar,
Meri waapsi ki duaa kare….
Har Be-Zubaan ko Sho`la Nawa, keh liya karo!
Har baizabaN ko sho'la-nawa keh lia karo
yaro sukoot hi ko sada keh lia karo
Khud ko fareb do kay na ho talkh zindagi
har sangdil ko jaan-e-vafa keh lia karo
Yaro ye daur, zauf-e-basarat ka daur hay
Aandhi uthay to is ko ghata keh lia karo
Insan ka agar qad-o-qamat na baDh sakay
tum is ko nuqs-e-aab-o-hawa keh dia karo
Apnay liay ab aik hi raah-e-najaat hay
har zulm ko raza-e-Khuda keh lia karo
Lay day kay ab yahi hay nishan-e-zia Qateel
jab dil jalay to usko dia keh lia karo
Jab Meri Hakeekat ja ja kar
Jab meri haqeekat ja ja kar, unko jo sunayee logon nay,
Kuch sach bhi kaha kuch jooth kaha, kuch baat banayee logon nay !
Dayain hain hamesha zulm-o-sitam, duniya nay mohabaat waalon par,
Do dil ko kabhi milnay na diya, deewaar uthayee logon nay !
Aankhon say na aansoo poch sakey, hothon pay khushi dekhi na gayee,
Aabaad jo dekha ghar mera, to aag lagayee logon nay !
Tanhayee ka saathi mil na saka, rusvai mein shaamil shaher hua,
Pehlay to mera dil tod diya, phir Eid manayee logon nay !
Is daur mein jeena mushkil hai, ae `Ashq' koi aasaan nahin,
Har ik kadam par marnay ki, ab rasam chalayee logon nay !
Khuli jo aankh to woh tha na woh zamaana tha
Khuli jo aankh to woh tha na woh zamaana tha,
Dehakti aag thi tanhayee thi fasaana tha !
Gamon nay baant liya hai mujhay yun aapas mein,
Ki jaisay main koi loota hua khazana tha !
Yeh kya ki chand hi kadmon pay thak kay baith gayey,
Tumhay to saath mera door tak nibhana tha !
Mujhay jo meray lahoo mein bigo kay guzra hai,
Woh koi gair nahin yaar ik purana tha !
KahiN shair-o-naghma ban ke kahiN aasuoaN meN dhal ke
Khumar barabankavi
KahiN shair-o-naghma ban ke kahiN aasuoaN meN dhal ke
Woh mujhe mile to laiken mile soorateN badal ke
Yeh wafa ki sakht raheN, yeh tumhaare paae nazuk
Na lo inteqaam mujh se, mere saath saath chal ke
Wahi aankh bebaha hai jo ghamae-jahaN meN roaye
Wahi jam jam-e-jum jo baghair-e-farq chalke
Yeh chirag-e-anjuman to haiN eak shub ke mehmaaN
Tu jala woh shamma aiy dil jo bujhe kabhi na jal ke
Na to hoash se taarruf, na junooN se aashnai
Yeh kahaN pahunch gaye hum teri bazm se nikal ke
Koi aiy Khumaar unko mere shair nazr karde
Jo mukhalifeen-e-mukhlis nahiN motarif ghazal ke
Nahi ki milane milaane kaa sil-silaa rakhanaa
Nahi ke milne milaane ka silsila rakhna
Kisi bhi satah pe koi to raab`taa rakhna
Madad ki tum se tawakko to khair kya hogi…
Ghareeb-e-shahar-e-sitam hoon, mera pataa rakhna
Marenge aur hamaare siwa bhi tum pe bahot
Ye jurm hai to phir is jurm ki saza rakhna
Naye safar pe rawaana huwa hai az-sar-e-nau
Jab aaoonga to mera naam bhi naya rakhna
Hisaar-e-shauk utthaana "Zafar" zarorr magar
Kisi tarf se nikalne ka raasta rakhna
mom kii zindagi ghulaa karanaa
Bashir Badr
Mom ki zindgi ghulaa karna!
Kuch kisi se na Taskara karna
Mera bachpan thaa aainay jaisa
Har khilone ka moo, taka karna
Chehraa chehraa meri kitaabe(n) hai…
Padhne walo! Mujhe padhaa karna
Ye Riwaayat bahot puraani hai
Neend mein rait par chala karna!
Raate mein kayee khandhar honge!
Shah-Sawaaro(n) waha ruka karna
Jab bahot hans chuko to chehray ko!
Aansoo(n) se bhi dho liya karna
Phool Shaakho(n) ke ho, ki aankho ke…
Raaste raaste chunaa karna!
Kisi Kali ne bhi dekha na aankh bhar ke mujhe
Kisi kali ne bhi dekha na aankh bhar ke mujhe!
Guzar gaya jaras-e-gul udaas kar ke mujhe…
Mein so raha thaa kisi yaad ke shabistaan mein…
Jaga ke Chod gaye qaafile sahar ke mujhe!
Mein ro raha thaa mukaddar ki sakht raaho(n) mein
Udaa ke le gaya jadoo teri nazar ka mujhe…
Mein teri dard ki tugiyaaniyo(n) mien doob gaya
Pukaarte rahe taare ubhar ubhar ke mujhe!
Tere Firaak ki raate(n) bhi na bhoolengi mujhe!
Maza milay inhi raato(n) mein umr bhar ke mujhe
Zara si dair theharnay de ai gham-e-duniyaa
Bulaa raha hai koi baam se uttar ke mujhe
Phir aaj aai thee ek mauj-e-hawaa-e-tarab
Sunaa gayee hai fasaane idhar udhar ke mujhe!
Bazm-e-dushman mein bulaate ho, ye kya karte ho?
bazm-e-dushman me.n bulaate ho ye kyaa karate ho
aur phir aankh churaate ho ye kyaa karate ho
baad mere ko_ii mujh saa na milegaa tum ko
Khaak mein kis ko milaate ho ye kyaa karate ho
cheentay paani ke na do, neend bhari aankho(n) par
sote fitne ko jagaate ho ye kyaa karate ho
ham to dete nahi kyaa ye bhi zabardastii hai
chheen kar dil liye jaate ho ye kyaa karate ho
ho na jaai kahi daaman kaa churaanaa mushkil !
mujh ko deewaana banaate ho ye kyaa karate ho ?
Aaj Ki raat bhi guzri hai meri kal ki tarha
aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal ki tarha
haath aaye na sitaare tere aa.nchal ki tarha
raat jalatii huwi ek aisii chitaa hai jis par
terii yaade(n) hai(n) sulaghte huye sandal ki tarha
tu ki dariyaa hai magar merii tarah pyaasaa hai
mein tere paas chalaa aaoonga baadal kii tarha
mein hoon ik Khwaab magar, jaagatii aankho(n) ka "Ameer"
aaj bhii log gavaa(n) de na mujhe kal kii tarah
Dil mein kis darjaa be-dilee hai abhi
Dil mein is darjaa be-dili hai abhi
Har khushi jaise ajnabi hai abhi..
Phir Badhe hai kadam teri jaanib
Tere gham mein bhi dil-kashi hai abhi
Mein bhi tujh se bichaad ke sar-gardan
Teri aankho mein bhi nami hai abhi
Mein ne manaa bahot andhera hai
Phir bhi thodi si raushni hai abhi
Angdaai bhi vo lene na paai, uthaa ke haath!
Ang`daai bhi vo lene na paya utthaa ke haath
dekhaa mujhe to chho.D diye muskuraa ke haath
Be-saakhtaa nigaahe jo aapas mein mil gayee…
Kyaa mooh pe us ne rakh liye aankhe(n) churaa ke haath
Vo zaano(n) pe seena chupana simat ke haai!
Aur phir sambhaalnaa vo dupataa, churdaa ke haath..
Dena vo uska saaghar-e-may yaad hai "Nizaam"
Mooh pher ke udhar ko, idhar ko badhaa ke haath
Phirate huye kisii kii nazar dekhate rahe
Phir`tay huwe kisi ki nazar dekhte rahe
Dil khoon ho raha thaa magar dekhte rahe
Kuch din ye bhi rang raha intezaar mein..
Aankh utth gayee jidhar, bas udhar dekhte rahe..
Jab aashiyaan ki yaad aseeri mein aa gayee…
Udd`tay huwe havaa mein sharar dekhte rahe..
Suntay rahi ki dekh liya jalwa be-hijaab
Apna bhi sab fareb-e-nazar dekhte rahe
Is waaste ki aur ghate mol jins ka..
Matalub un ko dil thaa jigar dekhte rahe
Samaan-e-sad-hazaar tamashaa thi be-khudi
Aankhe(n) thee band aur "Asar" dekhte rahe
Daagh Duniyaa ne Diye, zakhm zamaane se mile!
daaG duniyaa ne diye zaKhm zamaane se mile
ham ko ye tohafe tumhe.n dost banaane se mile
ham tarasate hii taraste hii tarasate hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile
Khud se mil jaate to chaahat kaa bharam rah jaataa
kyaa mile aap jo logo.n ke milaane se mile
kaise maane ke unhe.n bhuul gayaa tuu ai 'Kaif'
un ke Khat aaj hame.n tere sarahaane se mile
Ajeeb tajrubaa thaa, bheed se guzarne ka
ajiib tajurbaa thaa bhii.D se guzarane kaa
use bahaanaa milaa mujh se baat karane kaa
phir ek mauj use khii.nch le ga_ii tah-e-aab
tamaashaa Khatm huaa Duubane ubharane kaa
[tah-e-aab = underwater]
mujhe Khabar hai ki rastaa mazaar chaahataa hai
mai.n Khastaa-paa sahii lekin nahii.n Thaharane kaa
[Khastaa-paa = tired]
thamaa ke ek bikharataa gulaab mere haath
tamaashaa dekh rahaa hai vo mere Darane kaa
ye aasmaa.N me.n siyaahii bikher dii kis ne
hame.n thaa shauq bahut is me.n ra.ng bharane kaa
bas ek chiikh girii thii pahaa.D se yakalaKht
ajab nazaaraa thaa phir dhu.ndh ke bikharane kaa
Giriftaa-dil hai.n bahut aaj tere diivaane
Nasir Kazmi
giriftaa-dil hai.n bahut aaj tere diivaane
Khudaa kare ko_ii tere sivaa na pahachaane
miTii miTii sii ummiide.n thake thake se Khayaal
bujhe bujhe se nigaaho.n me.n Gam ke afasaane
hazaar shukr ke ham ne zubaa.N se kuchh na kahaa
ye aur baat ke puuchhaa na ahal-e-duniyaa ne
baqadr-e-tashnaa-labii pursish-e-vafaa na hu_ii
chhalak ke rah gaye terii nazar ke paimaane
Khayaal aa gayaa maayuus rahaguzaaro.n kaa
palaT ke aa gaye ma.nzil se tere diivaane
kahaa.N hai tuu ke tere i.ntazaar me.n ai dost
tamaam raat sulagate rahe dil ke viiraane
ummiid-e-pursish-e-gamkis se kiijiye ‘Nasir’
jo mere dil pe guzaratii hai ko_ii kyaa jaane
Vo dil navaaz hai nazar shanaas nahii.n
Nasir Kazmi
vo dil navaaz hai nazar shanaas nahii.n
meraa ilaaj mere chaaraagar ke paas nahii.n
ta.Dap rahe hai.n zabaa.N par ka_ii savaal magar
mere liye ko_ii shayaan-e-iltamaas nahii.n
tere ujaalo.n me.n bhii dil kaa.Np kaa.Np uThataa hai
mere mizaaj ko aasuudagii bhii raas nahii.N
kabhii kabhii jo tere qurbme.n guzare the
ab undino.n kaa tasavvur bhii mere paas nahii.n
guzar rahe hai.n ajab marhalo.n se diidaa-o-dil
sahar kii aas to hai, zi.ndagii kii aas nahii.n
mujhe ye Dar hai ki terii aarazuu na miT jaaye
bahut dino.n se tabiyat merii udaas nahii.n
kyaa bhalaa mujhako paraKhane ke natiijaa nikalaa
Muzaffar Warsi
kyaa bhalaa mujhako paraKhane ke natiijaa nikalaa
zaKhm-e-dil aap kii nazaro.n se bhii geharaa nikalaa
to.Dakar dekh liyaa aaiinaa-e-dil tuune
terii suurat ke sivaa aur bataa kyaa nikalaa
tishnagii jam gaii patthar kii tarah ho.nTo.n par
Duub kar tere dariyaa me.n mai.n pyaasaa nikalaa
kaash Khwaabo(n) hi mein aa jaao bahot tanha hoon
Nyay Sharma
kaash Khwaabo(n) hi mein aa jaao bahot tanha hoon
Ya mere zehan se yaado(n) ke diye gul kar do..
mere ahsaas ki duniyaa ko mitaa do hum-dum..
raat taare nahi, angaare liye aati haiin
baraste huwe sholo(n) ko bujhaad o hum-dum
dil ki dharkan ko sulaa jaao, bahot tanha hoon
Andheri rat mein jab chaadn khilne lagta hai
tumhaare pyaar ke deepak jalaa ke rota hoon..
Tumhaare aane ki jab aaas jaane lagtee hai..
mien in chiraago(n) ko khud hi bujhaa ke rota hoon
Zindgi aisi mita jaao bahot tanha hoon
Sochte Sochte, jab soch bhi marr jaati hai
waqt ke qadmo(n) ki aahat to sunaa karta hoon
ashq tham`te hai to aaho(n) ko sunaa karta hoon
Raat bhar yu hi tadaptaa hoon jalaa karta hoon...
Baar-e-Gham kuch to ghataa jaao, Bahot tanhaa hoon
Mere aansoo`on pe nazar na kar, mera shikva sun le khafaa na ho
Kaif Akrami
Mere aansoo`on pe nazar na kar, mera shikva sun le khafaa na ho
Us se zindgi ka bhi haq nahi, jise dard-e-ishw milaa na ho
Ye Inaayate(n), Ye nawaazishe(n), mere dard-e-dil ki davaa nahi…
Mujhe us nazar ki talaash hai jo adaa shanaas-e-wafaa na ho…
Tujhe kya bataao mein be-khabar, ki hai dard-e-ishq mein kya asar,
Ye hai voh latfeef si kaifiyat, jo zubaan tak aaye, adaa na ho…
Ye sharaab rez-e-haseen ghataa jo hai "kaif" naazish-e-may`qadah..
Kisi tashna-kaam ki arzoo, kisi tashna lab ki duaa na ho..
Ek cheharaa saath saath rahaa jo milaa nahee
Bashir Badr
Ek Chehraa saath saath raha, jo milaa nahi
Kisko Talaash karte, rahe, kuch pataa nahi
Shiddat ki dhoop, tez hawaao(n) ke ba-wajood
Mein shaakh se giraa hoon, Nazar se giraa nahi
Aakhir ghazal ka taaj mehal bhi hai makbara
Hum zindgi thay humko, kisi ne jiya nahi..
Jiski mukhaalifat huwi, mashoor ho gaya
In pattharo(n) se koi parindaa giraa nahi
Taareekiyo(n) mein aur chamakti hai dil ki dhoop
Soorat tamaam raat yehaan doob`taa nahi…
Kisne jalaai bastiyaan, bazaar kyon lute…
Mein chaand par gaya thaa, mujhe kuch pataa nahi
muhabbato.n me.n dikhaave kii dostii na milaa
Bashir Badr
muhabbato.n me.n dikhaave kii dostii na milaa
agar gale nahii.n milataa to haath bhii na milaa
gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohade the
bahut talaash kiyaa koii aadamii na milaa
tamaam rishto.n ko mai.n ghar pe chho.D aayaa thaa
phir isake baad mujhe koii ajanabii na milaa
bahut ajiib hai ye qurbato.n kii duurii bhii
vo mere saath rahaa aur mujhe kabhii na milaa
Khudaa kii itanii ba.Dii qaayanaat me.n mai.n ne
bas ek ShaKhs ko maa.Ngaa mujhe vo hii na milaa
Ye chiraaG benazar hai ye sitaaraa bezubaa.N hai
Bashir Badr
ye chiraaG benazar hai ye sitaaraa bezubaa.N hai
abhii tujhase milataa julataa koii duusaraa kahaa.N hai
vahii shaKhs jisape apane dil-o-jaa.N nisaar kar duu.N
vo agar Khafaa nahii.n hai to zaruur badagumaa.N hai
kabhii paa ke tujhako khonaa kabhii kho ke tujhako paanaa
ye janam janam kaa rishtaa tere mere daramiyaa.N hai
mere saath chalanevaale tujhe kyaa milaa safar me.n
vahii dukh bharii zamii.n hai vahii Gam kaa aasmaa.N hai
mai.n isii gumaa.N me.n baraso.n ba.Daa mutma_in rahaa huu.N
teraa jism betaGaiyyur hai meraa pyaar jaavidaa.N hai
[mutma_in = satisfied; betaGaiyyur = unchanged; jaavidaa.N = eternal]
u.nhii.n raasto.n ne jin par kabhii tum the saath mere
mujhe rok rok puuchhaa teraa hamasafar kahaa.N hai
chaa.Nd ke saath kaii dard puraane nikale
Amjad Islam Amjad
chaa.Nd ke saath kaii dard puraane nikale
kitane Gam the jo tere Gam ke bahaane nikale
fasl-e gul aaii phir ik baar asiiraan-e-vafaa
apane hii Khuun ke dariyaa me.n nahaane nikale
hijr ki choT ajab sa.ng-shikan hotii hai
dil kii befaiz zamiino.n se Khazaane nikale
umr guzarii hai shab-e-taar me.n aa.Nkhe.n malate
kis ufaq se meraa Khurshiid na jaane nikale
kuu-e-qaatil me.n chale jaise shahiido.n kaa juluus
Khvaab yuu.N bhiigatii aa.Nkho.n ko sajaane nikale
dil ne ik iiTh se taamiir kiyaa taaj-mahal
tuu ne ik baat kahii laakh fasaane nikale
dasht-e tanahaaii-e-hijraa.N me.n kha.Daa sochataa huu.N
haae kyaa log meraa saath nibhaane nikale
mai.n ne "Amjad" use bevaastaa dekhaa hii nahii.n
vo to Khushbuu me.n bhii aahaT ke bahaane nikale
dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai
Amjad Islam Amjad
dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai
itanaa besimt na chal laut ke ghar jaanaa hai
us tak aatii hai to har chiiz Thahar jaatii hai
jaise paanaa hii use asl me.n mar jaanaa hai
bol ai shaam-e-safar ra.ng-e-rihaaii kyaa hai
dil ko rukanaa hai ki taaro.n me.n Thahar jaanaa hai
kaun ubharate hue mahataab kaa rastaa roke
usako har taur suu-e-dasht-e-sahar jaanaa hai
mai.n khilaa huu.N to isii Khaak me.n milanaa hai mujhe
vo to Khushbuu hai use agale nagar jaanaa hai
vo tere husn kaa jaaduu ho ke meraa Gam-e-dil
har musaafir ko isii ghaaT utar jaanaa hai
mastii bharii nazar kaa nashaa hai mujhe abhii
ye jaam duur rakh do pii luu.Ngaa phir kabhii
dil ko jalaa ke bazm ko raushan na kiijiye
us mahajabii.n ko aane me.n kuchh der hai abhii
ham ne to ashk pii ke guzaarii hai saarii umr
ham se Khafaa hai kis liye aaKhir ye zi.ndagii
jaam-e-subuu ko duur hii rahane de saaqiiyaa
mujh ko utaaranaa hai kal kaa nashaa abhii
Tarz jiine kaa sikhatii hai mujhe
Khalil Ur Rahman Azmi
Tarz jiine kaa sikhatii hai mujhe
tashnagii zahar pilaatii hai mujhe
raat bhar rahatii hai kis baat kii dhun
na jagaatii hai na sulaatii hai mujhe
ruuThataa huu.N jo kabhii duniyaa se
zi.ndagii aake manaatii hai mujhe
aa_iinaa dekhuu.N to kyuu.Nkar dekhuu.N
yaad ik shaKhs kii aatii hai mujhe
ba.nd karataa huu.N jo aa.Nkhe.n kyaa kyaa
roshanii sii nazar aatii hai mujhe
ko_ii mil jaaye to raastaa kaT jaaye
apanii parachaa_ii Daraatii hai mujhe
ab to ye bhuul gayaa kis kii talab
des parades phiraatii hai mujhe
kaise ho Khatm kahaanii Gam kii
ab to kuchh nii.nd sii aatii hai mujhe
Ishq kya cheez hai, ye poochiye parvaane se…
Ishq kya cheez hai ye poochiye parvaane se…
Zindgi jis koi mayassar huwi jal jaane se…
Maut ka khauf ho kya ishq ke deewaane ko…
Maut khud kaamp`tee hai ishq ke deewaane se..
Ho gaya dher wahi aah bhi nikli na koi
Jaane kya baat kahi shamma ne parwaane se…
Husn be-ishq kahi reh nahi sakta zindaa
Bujh gayee shamaa bhi parwaane se jal jaane se
Khaaye jaati hai nidaamat mujhe is ghaflat ki…
Hosh mein aa ke chalaa aaya hoon maikhaane se…
Kar diya gardish-e-aiyaam ne ruswaa "Saahir"
Mujh ko shikwaa hia yagaane se na be-ghaane se..
Haadsay kya kya tumhaari berukhi se ho gaye….
Haadsay kya kya tumhaari berukhi se ho gaye
Sari duniya ke liye hum ajnabi se ho gaye….
Gardish-e-dauraa(n), Zamaane ki nazar aankho(n) ki neend
Kitne dushman ek rasm-e-dosti se ho gaye…
Kuch tumhaare geysoo(n) ki barhami ne kar diya
Kuch andhere mere ghar mein raushni se ho gaye…
Yu to hum aagaah thay, saiyaad ki tadbeer se..
Hum aasir-e-daam-e-gul apni khudi se ho gaye..
Har qadam "Saagar" nazar aane lagi hai manzile(n)
Marhaley tay meri kuch aavaragi se ho gaye…
hairat se tak rahaa hai jahaan-e-vafaa mujhe
Sagar Nizami
hairat se tak rahaa hai jahaan-e-vafaa mujhe
tum ne banaa diyaa hai mohabbat me.n kyaa mujhe
har ma.nzil-e-hayaat se gum kar gayaa mujhe
mu.D mu.D ke raah me.n vo teraa dekhanaa mujhe
kaif-e-Khudii ne mauj ko kashtii banaa diyaa
hosh-e-Khudaa hai ab na Gam-e-naaKhudaa mujhe
saaqi bane huye hai.n vo "Sagar" shab-e-visaal
is vaqt koii meri kasam dekhtaa mujhe
yuu.N na rah rah kar hame.n tarasaa_iiye
Saghar Nizami
Yu ne reh-reh kar hume Tarsaaiye..
Aaiye, aa jaaiye, aa jaaiye…
Phir wahi daanista thokar khaaiye…
Phir meri aagosh mein girr jaaiye…
Meri duniya muntazir hai aapki…
Apni duniya chod kar aa jaaiye…
Ye hawa, "Saaghar ye halki chaandi,
Jee mein aata hai yahee marr jaaiye…
Pyaas voh dil ki bujhaane kabhi aaya bhi nahi
Qateel Shifaai
Pyaas voh dil ki bujhaane kabhi aaya bhi nahi
Kaisa baadal hai jis ka koi saya bhi nahi
Berukhi is se badii aur bhalaa kya hogi...
ek muddat se hume us ne sataaya bhi nahi
Roz aata hia dar-e-dil pe vo dastak dene
Aaj tak humne jise paas bulaaya bhi nahi
Sun liye kaise khudaa jaane zamaane bhar ne
Voh fasaane jo kabhi humne sunaaya bhi nahi
Tum to shaayar ho "qateel" aur voh ek aam sa shaks...
us ne chahaa bhi tujhe aur jataaya bhi nahi
garmii-e-hasarat-e-naakaam se jal jaate hai.n
Qateel Shifai
garmii-e-hasarat-e-naakaam se jal jaate hai.n
ham charaaGo.n kii tarah shaam se jal jaate hai.n
bach nikalate hai.n agar aatih-e-sayyaad se ham
sholaa-e-aatish-e-gulafaam se jal jaate hai.n
Khudanumaa_ii to nahii.n shevaa-e-arabaab-e-vafaa
jin ko jalanaa ho vo aaraaam se jal jaate hai.n
shamaa jis aag me.n jalatii hai numaa_ish ke liye
ham usii aag me.n gumanaam se jal jaate hai.n
jab bhii aataa hai meraa naam tere naam ke saath
jaane kyuu.N log mere naam se jal jaate hai.n
rabtaa baaham pe hame.n kyaa na nahe.nge dushman
aashanaa jab tere paiGaam se jal jaataa hai
Intezaar
raat bhar diidaa-e-Gam-naak me.n laharaate rahe
Makhdoom Moinuddin
raat bhar diidaa-e-Gam-naak me.n laharaate rahe
saa.Ns kii tarah se aap aate rahe, jaate rahe
Khush the ham apanii tamannaao.n kaa Khvaab aayegaa
apanaa aramaan bar-afga.ndaa naqaab aayegaa
[bar-afga.ndaa = without covering/unveiled]
nazare.n niichii kiye sharmaaye huye aayegaa
kaakule.n chehare pe bikharaaye huye aayegaa
[kaakule.n = curls of hair]
aa ga_ii thii dil-e-muztar me.n shakebaa_ii sii
baj rahii thii mere Gam-khaane me.n shahanaa_ii sii
[muztar = restless; shakebaa_ii = peace]
shab ke jaage huye taaro.n ko bhii nii.nd aane lagii
aap ke aane kii ik aas thii ab jaane lagii
subah ne sej se uThate huye lii a.ngaraa_ii
o sabaa tuu bhii jo aa_ii to akele aa_ii
[sabaa = breeze]
mere mahabuub merii nii.nd u.Daane vaale
mere masajuud merii ruuh pe chhaane vaale
[masajuud = to whom one bows/worships]
aa bhii jaa taake mere sajado.n kaa aramaa.N nikale
aa bhii jaa ke tere qadamo.n pe merii jaa.N nikale
____________________________________________________________
aaj tum se bichha.D rahaa huu.N
Sudarshan Faakir
aaj tumse bichad raha hoon,aaj kehtaa hoon phir miloonga tumse...
aaj mera intezaar karti raho...
aaj ka aitbaar karti raho
Log Kehtay hai waqt chaltaa ha
iaur insaan bhi badaltaa hai
kaash ruk jaaye waqt aaj ki raat...
aur badle na koi aaj ke baad
Waqt badle, ye dil na badlega,tum se rishtaa kabhi na tootega...
tum hi khushboo ho meri saanso(n) ki..
tum hi manzil ho mere sapno ki...
Log Bu`ntay hai pyaar ke sapne
aur sapne bikhar bhi jaate hai..
ek ehsaas hi to hai ye wafa..
aur ahsaas marr bhi jaate hain...
fal-safe ishq me.n pesh aaye savaalo.n kii tarah
Sudarshan Faakir
fal-safe ishq me.n pesh aaye savaalo.n kii tarah
ham pareshaa.N hii rahe apane Khayaalo.n kii tarah
shiishaagar baiThe rahe zikr-e-masiihaa lekar
aur ham TuuT gaye kaa.Nch ke pyaalo.n kii tarah
jab bhii a.njaam-e-muhabbat ne pukaara Khud ko
vaqt ne pesh kiyaa ham ko misaalo.n kii tarah
zikr jab hogaa muhabbat me.n tabaahii kaa kahii.n
yaad ham aaye.nge duniyaa ko havaalo.n kii tarah
_______________________________________________________________________
jis mo.D par kiye the ham intazaar baraso.n
Sudarshan Faakirfaakir.html
jis mo.D par kiye the ham intazaar baraso.n
usase lipaT ke roe diivaanaavaar baraso.n
tum gulasitaa.N se aae zikr-e-Khizaa.N hii laae
hamane kafas me.n dekhii fasl-e-bahaar baraso.n
hotii rahii hai yuu.N to barasaat aa.Nsuuo.n kii
uThate rahe hai.n phir bhii dil se Gubaar baraso.n
vo sa.ng-e-dil thaa koii begaanaa-e-vafaa thaa
karate rahe.n hai.n jisakaa ham intazaar baraso.n
merii zubaa.N se merii daastaa.N suno to sahii
Sudarshan Faakir
merii zubaa.N se merii daastaa.N suno to sahii
yaqii.N karo na karo meherbaa.N suno to sahii
chalo ye maan liyaa mujrim-e-mohabbat hai.n
hamaare jurm kaa hamase bayaa.N suno to sahii
banoge dost mere tum bhii dushmano.n ek din
merii hayaat kii aah-o-fuGaa.N suno to sahii
labo.n ko sii ke jo baiThe hai.n bazm-e-duniyaa me.n
kabhii to unakii bhii Khamoshiyaa.N suno to sahii
kahoge vaqt ko mujarim bharii bahaaro.n me.n
jalaa thaa kaise meraa aashiyaa.N suno to sahii
hamaare un ke maraasam kii baat mat puuchho
Wajida Tabassumwajida.html
hamaare un ke maraasam kii baat mat puuchho
ye silasilaa to kahii.n duur jaa.N se milataa hai
hai apane muqaddar kii baat kyaa kahiye
hamaare zaKhm ko maraham kahaa.N se milataa hai
hamaare pyaar ke qisse galii galii bikhare
ye maratabaa ba.De suud-o-ziyaa.N se milataa hai
sitaro.n jaisii ye aa.nkhe.n ye chaa.Nd sa cheharaa
tumhaaraa silasilaa kuchh aasamaa.N se milataa hai
hamaaraa zikr kitabo.n me.n Dhuu.NDhane vaalo
hamaaraa zikr to sare jahaa.N se milataa hai
aage ba.De na qissaa-e-ishq-e-butaa.N se ham
Altaf Husain Hali
aage ba.De na qissaa-e-ishq-e-butaa.N se ham
sab kuchh kahaa magar na khule raazadaa.N se ham
ab bhaagate hai.n saayaa-e-ishq-e-butaa.N se ham
kuchh dil se hai.n Dare hue kuchh aasmaa.N se ham
ha.Nsate hai.n usake giriiyaa-e-beiKhtiyaar par
bhuule hai.n baat kahake koii raazadaa.N se ham
ab shauq se bigaa.D kii baate.n kiyaa karo
kuchh paa gaye hai.n aap kii tarz-e-bayaa.N se ham
jannat me.n tuu nahii.n agar ye zaKhm-e-teG-e-ishq
badale.nge tujhako zi.ndagii-e-jaavidaa.N se ham
mariiz-e-muhabbat u.nhii.n kaa fasaanaa
Qamar Jalalvi
mariiz-e-muhabbat u.nhii.n kaa fasaanaa
sunaataa rahaa dam nikalate nikalate
magar zikr-e-shaam-e-alam jab bhii aayaa
chiraaG-e-sahar bujh gayaa jalate jalate
iraadaa thaa tark-e-muhabbat kaa lekin
fareb-e-tabassum me.n phir aa gaye ham
abhii khaake Thokar sambhalane na paaye
ki phir khaa_ii Thokar sambhalate sambhalate
u.nhe.n Khat me.n likhaa thaa dil muztarib hai
javaab un kaa aayaa muhabbat na karate
tumhe.n dil lagaane ko kisane kahaa thaa
bahal jaayegaa dil bahalate bahalate
vo mehamaa.N rahe bhii to kab tak hamaare
hu_ii shammaa gul aur Duube sitaare
"Qamar" is qadar un ko jaldii thii ghar kii
vo ghar chal diye chaa.Ndanii Dhalate Dhalate
tark-e-muhabbat par bhii hogii unko nidaamat ham se ziyaadaa
Shamim Jaipuri
tark-e-muhabbat par bhii hogii unko nidaamat ham se ziyaadaa
kis ne kii hai kaun karegaa un se muhabbat ham se ziyaadaa
hamane maanaa aap me.n hogii sabr kii taaqat ham se ziyaadaa
dekhiye lekin utarii hu_ii hai aap kii suurat ham se ziyaadaa
uff vo tabassum halkaa halkaa haaye vo bhiigii bhiigii palake.n
vaqt-e-ruKhsat un pe giraa.N thaa lamahaa-e-ruKhsat ham se ziyaadaa
ko_ii tamannaa ko_ii masarrat dil ke qariib aane hii na dii
kisane kii hai ishq me.n yaaro.n Gam se muhabbat ham se ziyaadaa
na Khauf-e-barq na Khauf-e-sharar lage hai mujhe
Malikzada Manzoor
na Khauf-e-barq na Khauf-e-sharar lage hai mujhe
Khud apane baaG ke phuulo.n se Dar lage hai mujhe
[Khauf = fear; barq = lightning; sharar = spark of fire/ember]
ajiib dard kaa rishtaa hai saarii duniyaa me.n
kahii.n vo jalataa huaa makaa.N apanaa hii ghar lage hai mujhe
mai.n ek jaam huu.N kis kis ke ho.nTh tak pahu.Nchuu.N
Gazab kii pyaas liye har bashar lage hai mujhe
[jaam = wine goblet; Gazab = very strong; bashar = human being]
taraash letaa huu.N us se bhii aa_iin-e-"Manzoor"
kisii ke haath kaa patthar agar lage hai mujhe
[taraashanaa = to shape or carve]