|
||
ZINDAGI TERAY DAM SAY HAY Zindagi main aaye sanam yeh her khushi teray dam say hai
Ji raha hoon iss liye keh zindagi teray damm say hay Log kehtay hain wafaaon ki jisay zinda misal Iss zamany main woh rasm-e-dosti tery dam say hai Teray Husn-e-jawedan ki kiya karoon taa'reef abb Chand sa chehra tera yeh chandani teray dam say hay Teri aankhon say hi pee ker raat din madhosh hoon Kiuon talab ho maikaday ki mai kashi teray dam say hay Aik mudat say andhera tha meray mahaol main Meray aangan main darakhshan roshani teray dam say hay Teray hansanay say jahan main aayi hay fasal-e-bahar Maosam-e-gull main mehakti taazagi teray dam say hay Choo liya ho aasman ko jaisay teray piyar main Ishq mai aaisi bulandi waa'qaai teray dam say hay Her taraf bikhray hooay Almas hain jalway teray Inn nazaron main ghazab ki dilkashi teray dam say hay |
||
![]() |
||
![]() |
"TUMHARI ANKHAIN, HAMARI ANKHAIN" Mili jo mehfil main aik din woh tumhari ankhain hamari ankhain
Woh sat pardon say jhankati thi woh neem kash si shakari ankhain Giraye chilman woh uoon thay baithay keh jaisay koi khaber nahein hay Talash jinki hamain thi har dam woh ker rahi thi makari ankhain Yeh kaisi deewangi thi jab jab uthai us nay jhuki nigahain woh dhoondh laiti thi phir bhi mujh ko sharam ki mari kanwari ankhain Misal milti nahein jahan main talash ham nay bohat si ki hay Woh bat hi thi kuch aour us main kuch iss tarah say sanwari ankhain Ajab si halat hooi hay jab say mili hain un say meri nigahain Bhulaein kaisay hamaray dil main jo aa basi hain woh piyari ankhain Tumhain kahan dhoondhtay rahay hain jo apnay charkh-e-kohan kay neechay Na janay kin mushkalon say guzray kis imtehan say guzari ankhain Woh poochtay thay kahan say aaye yeh shab guzari hay kis shagal main yeh kis ki rah par bichi rahi hain yeh neend say kiuon hain bhari ankhain Simat gaya tha zamanay bhar ka jo piyar pehli nazar main us kay Main us pay chahay to ker doon qurban zamanay bhar ki woh sari ankhain Tumharay wahdon pay ham jo Almas din ko jagay na raat soye Jo neend aa jaye gi to phir bhi khuli rahain gi bechari ankhain |
|
|
||
![]() |
||
MUJH KO Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay Almas Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko *********************************************************** BAHAL RAHAY HAINHamray honton pay aj tak woh wafa kay naghmay machal rahay hain Tumhari yadon kay talkh lamhay hamari palkon pay jal rahay hain Yeh rah-e-ulfat kahan hay aasan qadam qadam pay rukawatain hain Lagi jo thokar tumhain to ham bhi tumhari khatir sanbhal rahay hain Raqabton say bharay jahan main her ik nay badla hooa hay chehra Milay bohat log ham ko aisay jo apna ban ker hi chal rahay hain Bicharh kay tum say hay ham nay jana yeh zindagi bhi hay na mukamal Kayi adhooray hamaray arman abhi bhi seenay main pal rahay hain Guzar rahi hay yeh zindagi uoon keh ham ko apni khaber kahan hay Zamany nay jistarah say dhala ham uskay sanchon main dhal rahay hain Hooay thay be abroo kuch aisay nikal kay ham us teri gali say Keh jaisay bagh-e-adan say adam jhuka kay sar ko nikal rahay hain Kuch un kay milnay ki aarzoo main wasal ki Almas chand umeedain Na janay kiss kiss tarah kay aksar khilonay pa ker bahal rahay hain +++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ Drop me a Line or sign my guest book on other pages Steve Almas In Saf'aat ki Ta'meer Jari hay,
|
||
|