|
||
PASANDEEDA GHAZLAIN Chorh dain gay iss jahan ko jab bhi fermayein gay aap
Waqt Rukhsat meri turbat per to aa jaayein gay aap Phair ker monh gar chalay jayein gay bin daikhay hamain Khud zamanay bhar main herjai to kehlayein gay aap Kiya karogay jab dasain gi raat ki tanhaiyan Din main jab apnay hi saaye say bhi dar jayein gay aap Mil sakay gi jab tumhain na zindagi ki ik khushi Phir bhala kiss kiss kay aagay hath phailayein gay aap Doston ki apni mehfil main raqeebon ka zikar Dushmani main kiya khaber thi had say gir jayein gay aap Chand waa'day aour qasmain yaad hain abb tak mugar Inn khilonon say kahan tak dill ko behlayein gay aap SOCHTA HOON APNAY ANSOO KUCH BACHA KER RAKH HI LOON KUCH TO HOGA PASS APNNAY JISS GHARHI AAYEIN GAY AAP Log jab Almas poochein gay judai ka sabab Kaon sa monh lay kay us mehfill main phir jayein gay aap |
||
![]() |
||
|
SHART-E-WAFA Iss zamaanay say na ham koi gilaa rakhain gay
Dil lagayein gay to na shart-e-wafa rakhain gay Na dikhayein gay kabhi dil pay lagay zakhm unhaein Dard uthay ga magar dil ko daba rakhain gay Jaan day dain gay agar aik ishaara ker dain Ham usay apnay liye bhi na bacha rakhain gay Sab hata dain gay teri rah ki rukawat hamdam Ghar kay darwazay ko her waqt khula rakhain gay Unki her baat ko bhoolay say na bhoolain gay kabhi Unki yaadon ko bhi seenay say laga rakhain gay Toot bhi jaayegi umeed jo teray aanay ki Ik diya phir bhi hawaaon main jala rakhain gay Khak ho jayein gay Almas yeh duniya waalay Jalnay walon ko bhi ham aour jala rakhain gay |
|
DO KHOOBSOORAT KHAYAL *******************
KIYA KAHAIN******************* Doston ki mehrbani kiya kahein Gham diya achi nishani kiya kahein Dil nay to aksar tha samjhaya bohat Ham nay hi uski na mani kiya kahein Bad gumani ka hooi kaisay shikaar Dosti apni purani kiya kahein Aour kis kis bat par royein gay ham Aap aour yeh chairh khani kiya kahein Be wafai kay sunay kisay teray Duniya walon ki zubani kiya kahein Aour kab tak yeh sunein gay log bhi Tootay dil ki ab kahani kiya kahein Dagh daaman per lagay kaisay mitein Na raha ankhon main pani kiya kahein Teray waa'don ki na tooti talkh dor Katt gayi apni jawaani kiya kahein Zakham-e-dil Almas apnay seenay main Aap ki di ik nishani kiya kahein +++++++++++++++++++++++ QAZA LAY URHAY GI+++++++++++++++++++++++ Kahein khushk patay Fizaa lay urhay gi Kahein zinagi ko qazaa lay urhay gi Darkhton say bichrhay hooay zard patay Hawa jab chali to hawa lay urhay gi Hamaaray muqader ki do chaar khushiyan Kisi Ghair ki badd doo'aa lay urhay gi Jawaani ki aankhon ka kajraaya kaajal Zamaany ki tehrhi nigaah lay urhay gi Woh ishq-o-mohabat wafaon kay waa'day Kisi sangdil ki jafaa lay urhay gi Mohabat ka jaaga sa dil main tasawar Kisi khoobroo ki adda lay urhay gi Labon ki woh surkhi woh galon ka ghaza Khulay aam shar-o-haya lay urhay gi Bharosaa hay Almas kiya zindagi ka Jisay maot day ker dagha lay urhay gi |
||
![]() |
||
SAZA DAY RAHA HAY |+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|
Mohabat main koi sazaa day raha hay Keh her zakhm-e-dil abb maza day raha hay Mujhay khatm kernay ki thani hay uss nay Main khush hoon woh sharf-e-qaza day raha hay Kater ker meray bal-o-par keh raha tha Khuli her taraf yeh fizaa day raha hay Jo maqtal main ham nay jhukaya th sar ko Woh samjha Adab-e-raza day raha hay Bharosa hay kaya abb meri zindagi ka Yeh dil be wafa hay dagha day raha hay jhalak ik dikha ker barha teer mara Wafaon ka kaisa sila day raha hay Hay Almas uss ki inayet nawazish Keh deedar waqt-e-nazah day raha hay |+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+|+| STEVE ALMAS App ki Tashreef Awari ka Shukriya
|
||
|