1.    Teri yaad say larta houn
       Dekh to mera pagal pan

2.   Meri zindagi to guzri hai tere hijr ke sahaare
      Meri Mout ko bhi pyare koi chahiye bahana

3.   Ruk jaain ager aansoo to ban jaate hain nasoor
      Acha hai keh do chaar nikal aate hain her rooz

4.  Aansoo hi muqaddar hain to ker lain ge gawara
     Kashkool lye bheek na maangain ge khushi ki

5.  Khowab tote thay agar tere bhi meree hi tarha
     Boojh kuch teree bhi palkon ne uthaya hota

6.  Tujh ko pooja teree dehleez peh sajda na kya
     Voh mera ishq tha, yeh meri khuddari hai

7.  Itnee khwahish na ker meri aaseri ke-lye
    Tu kaheen mera giraftaar na sumjha jaye

8.  Tofaan kar raha tha mere azm ka tawaaf
     Dunya sumjh rahi thi keh kashti bhanwar main hai

9.  Tere baghair bhi to ganimat hai zindagi
     Khud ko ganwa ke koun teri justaju kare

10.  Rukhsat huwa to aankh mila kar naheen gaya
       Voh kyun gaya hai yeh bhi bata kar naheen gaya

11.  Tum to shayar ho Qateel aur woh ek aam sa shakhs
       Us ne chaha bhi tumhain aur jataya bhi naheen

12.  Lakh be-mahr sahi dost to rakhte ho "Faraz"
      Un ko dekho keh jinhain koi sitamgar na mila

13.  Kuch purshish-e-yaraan ke bhi andaaz ajab thay
       Kuch hum ko tere zakhm dikhane bhi na aaye

14.  Iqbal tere ishq ne sub bal dye nikaal
      Muddat say aarzo thee seedha kare koi

15.  Hans hans ke zindagi ki dua de gaya mujhe
       Woh shakhs bhi ajeeb saza de gaya mujhe

16.  Her eid pe lut jatee hai armanon ki dunya
       Her eid pe khul jaate hain zakhmon ke khazane

17.  Apna to kisi tour guzer jaye ga yeh din
       Tum jis say milo aaj usse eid mubarak

18.  Meri baylous mohabbat ne duboya hai mujhe
       Itna mukhlis houn ke her dil main utter jaata houn

19.  Main bheegti aankhon say usse kaise hataon
       Mushkil hai bohat abar main deewar uthani

20.  Uthti naheen hai aankh kisi aur ki taraf
       Pa-band kar gayee hai kisi ki nazar mujhe

21.  Main ne apni zindagi main hath say jaane na dee'n
      Kis ke ghar jain gi mere baad yeh ruswaiyan

22.  Bhoole hain rafta rafta unhain muddaton main hum
      Qistoon main khudkushi ka maza hum say pocheeye

23.  Dunya to dostee ka sila de chuki mujhe
      Tu bhi mera khuloos mere mu pe maar de

24.  Khowab ho, Dil ho, Sitara ho, koi Wada ho
       Tutne wali kisi shay pe bharosa na karo

25.  Itne qareeb aa ke bhi na jaane kis liye
      Kuch ajnabi say aap hain kuch ajnabi say hum

26.  Aaj phir totain gi tere ghar ki naazuk khirkiyan
      Aaj phir deewana tere shaher main dekha gaya

27.  Lout aaye na kisi rooz woh aawara mizaaj
      Khol rakhte hain is aas pe dar shaam ke baad

28.  Khushyun hi pe mouqoof naheen ronak-e-mehfil
      Ghum bhi to barha deta hai insaan ka darja

29.  Kehte hain haath main taqdeer hua kerti hai
      Kal younhi haath pe ek naam likha dair talak

30.  Tumhare bas main ho agar to bhool jao humain
       Tumhain bhulane main humain shayad zamane lagain

31.  Kisi ka shouq baharhaal ho gaya poora
      Zamana meri tabahee pe shadmaan hi sahi

32.  Jab us ka naam aaye kisi ki zubaan par
      Us waqt ghour say mere chehre ka haal dekh

33.  Yeh husn, yeh ada, yeh nazaket, yeh aankhain
      Sub khubiyan hain magar bewafa hai tu......!

34.  Ghairon ki be-rukhi ka gila kab kya tha hum ne
      Apno ki shafqaton ke sataye huye hain hum

35.  Waise to zinda dil hain magar phir bhi
       Ek dard hota hai humari hansi ke sath

36. Hum ba-wafa thay is lye nazron say gir gaye
     Shayad tumhain talash kisi be-wafa ki thee

37.  Main ro dya to mujhe yaad aayeen shiddat say
      Kabhi kabhi teri mujboriyan kabhi kabhi tu....!

38.  Yeh wafa ki sakht rahain yeh tumhare paye nazuk
       Na lo intaqam mujh say mere sath sath chal kar

39.  Us ka sitam bhi adal say khali naheen nadeem
       Dil le kay shayari ka saleeqa dya mujhe

40.  Kuch woh bhi na tha waqif-e-adaab-e-mohabbat
      Kuch mujh ko bhi raas na aasaka pyar ka mousam

41.  Dhalne lagi thee raat ke tum yaad aagaye
       Us  ke  baad  raat  baree  dair  tak  rahi

42.  Sir jis pe na jhuk jaye usse der naheen kahte
       Her der pe jo jhuk jaye usse sir naheen kahte

43.  Kuch tu hi mere qurb ka mafhoom samajh le
      Hansta  hua  chehra  to  zamane  ke  lye  hai

44.  Tu ne kaha tha na ke main teri kashti ka bojh houn
       Chehre ko ab na dhanp mujhe doobta bhi dekh

45.  Pichle baras tha khouf tujhe kho na doun kaheen
      Ab ke baras yeh dua hai tera saamna na ho

46.  Kal raat barasti raheen sawan ki ghataain
      Aur hum bhi teri yaad main dil khol kar roye

47.  Ab dil ke afsaane ko bayaan karte hain aansoo
      Ab hum say tere ghum ki hifazat naheen hoti

48.  Qasam na khao taghaful say baaz aane ki
       Ke is dil main ab naheen taqat sataye jaane ki

49. Muddat ke baad aaj usse dekh kar Munir
      Aik baar to dil dharka magar phir sumbhal gaya

50.  Bhool jana to rasm-e-dunya hai
      Aap ne koun sa kamaal kya ...!
 


                                                     Next >>

Home | Sign My Guest book  | My Hobbies | E-Mail | Free Education |  MP 3  |  Some Great Nazms
What is a Ghazal ? Shayari  | Pakistan some cool web sites |
  Mehfil-e-Ghazal |  Karachi |  Other Cities

Designed by Muhammad Aamir Khan