Koi yeh kaise bataye keh woh tunha kyun hai

 

Koi yeh kaise bataye keh woh tunha kyun hai
Woh jo apna tha wohi aur kisi ka kyun hai
Yehi dunya hai phir aisee yeh dunya kyun hai
Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyun hai

Ek zera haath berha dain to paker lain damen
Us ke seene mein sama jaye humari dherkan
Itni qurbat hai to fasila itna kyun hai

Dil-e-berbaad se nikla naheen ab tuk koi
Ek lote gher pe dya kerta hai dustak koi
Aas jo toot gayee phir say bandhata kyun hai
 

Tum musarat ka kaho yah isse ghum ka rishta
Kehte hain pyar ka rishta hai janm ka rishta
Hai janm ka jo yeh rishta to badelta kyun hai

 

Next >>

 

Home | Sign My Guest book  | My Hobbies | E-Mail | Free Education |  MP 3  |  Some Great Nazms
What is a Ghazal ? Shayari  | Pakistan some cool web sites |
  Mehfil-e-Ghazal |  Karachi |  Other Cities

Designed by Muhammad Aamir Khan