Idher Ghazal Ki Ibtada Ho Gai

PARSAON KE
By Steve Almas
MUDAT KE BAAD
By Yog Rahi
SHUKRIYA
By Steve Almas
AOURAT
By Steve Almas
EID
Muntakhib Ashaar
KALAM-E-FAIZ
Faiz Ahmad Faiz
INAM YAFTA ASH'AAR
Qamar Jalalwi
TAZA KALAM
By: Steve Almas
MERA GHAR
Another Urdu Poetry Site
MERI PASAND
Urdu Poetry site
COOL TAX
Free Download Tax (Canadian)
URDU MARKAZ/PARDES
Urdu Magazine on the Net
TARZ-E-KALAM
Cool Site for Budding Poets
ACHAA LAGA
By: Steve Almas
FAIZ KA KALAM
By: Faiz
URDUSTAN
Urdu Poetry site by: Kashif

KUCH APNE BARE MAIN

HHAM SE MILIYE
Mulaqat

Nedstat Counter



INTEKHAB-E-GHAZAL

Udher us ne angrhai lee piyar se
Idher Ghazal ki ibtada ho gayi

Urdu has a class of his own. As this language is read, written and spoken by millions of peaople living in Indo-Pakistan and almost every part of the world Urdu Poetry is also not new to us, Which is brought to us through the ages by famous Poets of India and Pakistan, like Mirza Ghalib, Mir Taqi Mir, Alama Iqbal, Bahader Shah Zafer and so many others. Ghazal is still very popular in most of the modern writers of Urdu Poetry. In these pages I will be trying my best to introduce some new writers along with some selective works of famous world reknowned poets.

Appki Tashrif Awari ka Shukrya,
Apnay Izhar kay liye Guest Book kay safaa't istemal karein

Thanks to those over 2000 visitors in previous years.

Sign My Guestbook Guestbook by GuestWorld View My Guestbook

Answer 3 Survey Questions and Win $4,500!

AApki    Khidmat    Main    Aik    ghazal

Aaina Unko bhari mehfil main dikhlaya gaya
Dosti aour dushmani ka farq samjhaya gaya

Bantte phirte the logon main dawa-e dard-e-dil
Unko hi la ker yahan sooli pe latkaya gaya

Bat ke khanjer se usne kat di sanson ki dor
Phir gale main talkhiyon ka zaher tapkaya gaya

Bhar ke paymana diya ghairon ke hathon main magar
Aik qatre ko hamain mehfil main tarsaya gaya

Gher gareebon ke jalaye phir tasali ke liye
Bujhte shohlon per musalsal tail chirhkaya gaya

Zindagi aour maout ki aksar yahan anban rahi
Dastan-e-Ishq ko jab bhi he dohraya gaya

Phir kisi ki izat-o-namoos ka soda howa
Phir kisi dosheeza ka kajal bhi kajraya gaya

Aik main keh mujh se cheeni taqat-e-guftar bhi
Azadi-e-taqreer ka taj unko pehnaya gaya

Zindagi main aaye hain ALMAS kuch aise muqam
Sangdil ke samne hi hath phailaya gaya

Steve Almas

Apne izhar-e-khiyal ke liye Likhiye:

Steve Almas

Pakistan's Internet Directory
Is your business listed in PakMall.Com?